Mera dil keh raha hai...

97 28 3
                                    

Continued:

"Haathi... Haathi...."

M:Ye to Juhi aur Manas ki awaj hai...

Darwaza khol ke dekha to bachche unki Haathi ko haweli mein dhundh rahe the... Itni raat ko bachche soye kyu na ye sochte hue Mukhiji un tk pahunche...

M:Ke hua Juhi-Manas...? Itni raat ko tum kyu jaag rahe ho...??

J:Baba... Hum Haathi ko dhundh rahe hai... Abhi aayi thi wo aur mujhe keh ke gayi ke Khargosh tumhare pasand ka Halwa banaya hai aur Genda bhai ke liye Alu-Gobi ki sabji... Baba lagata hai Haathi ko sab-kuch yaad aa gaya... Warna Manas ki Alu-Gobi ki sabji wo kaise banati...? Bol rahi thi chale khane... Maine kaha bhi raat ho gayi hai... Abhi nhi khana hai...  Ab dekho na khi dikh hi nhi rahi...

Ma:Humnein kitchen mein bhi dekha... Didi ko boli thi humein khana khilayegi... Pata nhi lekin kaha chali gayi hai ab...?

Mukhiji ne dono ko gale laga liya... Unhe samajh aya Juhi ne sapana dekha tha... Dono bachche apni Haathi se bahut pyaar karate the... Uske jaane ke baad Mukhiji se jyaada ye dono ki haalat buri thi... Bade log baatein samajh sakte hai pr inn dono ko kya samjhaye,kya logic bataye??

M:Juhi-Manas... Haathi ab tk naa ayi haweli... Kal subah aanewali hai wo... Juhi tumne sapana dekha hai meri bachchii... Abhi aao hum so jaate hai... Subah uth ke Haathi se milna hai na... Chalo mere saath... Aaj raat mere pass so jao...

Aur dono ka hath pakad ke Mukhiji unhe apne room mein leke aaye...
Unhe bed pe sulaya...

J:Baba... Haathi yaha aa jayegi to usse hum sab yaad aa jayenge na...??

Ma:Haaa Baba... Wo Daksh uncle humein unke saath khelane bhi nhi dete.... Haathi ko sab yaad aa gaya to hum uske saath khel sakte hai... Fir Daksh uncle bhi humein nhi rokenge naa...?

M: Haaa... Haathi ko yaha aane ke baad sab yaad aa jaye aisa manne bhi lagata hai... Pr issliye humein Kanhaji se prarthana krni hogi... Tum dono kaho unse... Manne suna hai bachchon ki baatein wo jaldi sunn lete hai...

J&Ma: Kanhaji plz hamari Haathi ko sabkuch jaldi yaad dila do... Humein ab aur wait nhi karna hai...😭

M(self):Kanhaji... Mere liye na pr hamare bachchon ke liye Bawari ki yaadasht lauta do... Dusari baar hamare bacchon ki Maa unse mt chhino... Ek baar Bawari ki Daksh ke saath shaadi ho gayi na to cheezein aur mushkil ho javengi...

"Ankhein band karo apni... So jao dono..."-Mukhiji

Bachchon ke sir ko sehlaate hue Mukhiji ki bhi aankh lag gayi...
.
.
.
.
.
.
Subah-subah aj haweli mein alag hi raunak thi... Haweli Malkin jo laut aa rahi thi... Mukhiji, Namarta Jiji, Sudha saari vyavastha dekhne mein vyast the... Bachchon ne garden se Haathi ke pasand ke ful chun-chun ke laye the...
Pr ye sab dekh ke Anjali, Prakashi devi aur Veer ke dil mein maano aag si lagi thi... Unke chehare ye saaf-saaf dikha rahe the... Namarata jiji Prakshi Maa ke vyavhar se thodi jyada hi surprised thi... Jiji ne kabhi socha bhi na tha ke Maa itni badal jayengi... 'Veer aur Anjali ka kuch pata na tha, pr Maa to aisi na thi kabhi... Yaa fir aisi hi thi, humein hi dikha nhi...'Aise vichar Namarata jiji ko khaye jaa rahe the... Pr apne Bhaiji ke saamne ye baat usne naa boli... Wo pehelehi pareshaan the... Aisi baatein bolkar unhe aur pareshaan krne se kuch haasil na honewala tha...

M:Sudha, Bawari ki saari cheezein,uski tasveerein thik se chhupa di hai...??

S:Haaa Mukhiji...  aap chinta na kijiye...

NB:Bhaiji... Sudha ne sab thik se kiya hai... Pr ye sab dekhane mein aap apni taraf dhyaan dena mt bhuliye... Kuch khaake apni tablets lijiye... Aapki tabiyat kharab hui to aapki Bawari humein taane maaregi ke main 2-4 mahine kya nhi thi ghar mein kisine mere pati ka khayal na rakha...

Aur Mukhiji muskuraye... Sudha ye dekh ke dang rahe gayi... Pichhle 6-7 mahino mein peheli baar Mukhiji aise muskuraye the shayad... Sudha ka rishta Mukhiji se Sasur-Bahu ka tha lekin Purvi ke wajah dosti ka hi mahol hua karata tha ghar mein kabhi...

S:Haaa main abhi kuch nashta bhijwati hun..
NB:Main bhi aati hun kitchen mein... Waha ka kaam dekhati hun...

In kitchen:

S:Bua... Sach kahu... Aapki baatein sunkar abhi Mukhiji jaise muskuraye waisi unki hasi pichle 6-7 mahino mein gum si ho gayi thi... Maano Purvi unki hasi-unke chehre ki raunak apne saath le gayi ho... Aaj Purvi ke aane ke khabar ke saath unki hasi laut aa gayi...

NB:Sudha... Kitna sochati ho tum un dono ke baare mein... Purvi bada achcha naseeb likhwaake layi hai... Bhaiiji jaisa pati aur tum jaisa dost usne paya hai... Pr pata nhi ye aisi dooriyaan kyu likhi hai hum sabke naseeb mein...

S:Dooriyon ka kehna Bua... Purvi dur hokar bhi pass thi aur koi pass hokar bhi dur hai..(aur uski nazar Veer pr jaakr ruki...Ye baat Namarata bua ke aankhon se naa chhuti. Pr iss baat pr abhi kuch bolna thik nhi aisa sochke unhone topic badal diya...)

NB: Are ye dono kaha reh gaye...? Juhi-Manas... Aao baba ke saath naashta kr lo jaldi... Aayiye Bhaiji...

Juhi-Manas,Mukhiji, Veer, Anjali, Prakashi Maa, Namarata Jiji aur Sudha sabhi nashta krne baith gaye... Khaate hue bhi Mukhiji ka naukarano ko kaam batana ruka nhi tha... Ye karo, wo karo..
Chalu hi thaa...
.
.
.
.
.
D:Dhwani, yaha kyu aana tha?? Aise gaav mein nhi karni hai mujhe meri shaadi... Hum laut chalate hai wapas...

Dh:Nhi Daksh... Dekho na kitna sundar gaav hai... Sab-kuch kitna pyaara hai... Sab-kuch itna jaana pehchaana saa lag raha hai... Log bhi aise namaste kr rahe hai jaise humein barso se jaante ho...

Daksh ye baatein sun kar man hi man dar gaya... Agar Dhwani ko ye sab dekhake apna past yaad aa gaya to mera shaadi ka sapna tut jayega...

D:Dhwani... Ye kuch jaana-pehchana nhi hai... Koi nhi jaanta hai tumhein yaha... Yaha humein aana hi nhi chahiye tha... Meri baat suno Dhwani... Hum wapas jaate hai... Yaha shaadi mein utna maja nhi ayega jitna Delhi mein ayega...

Dh:Nhi... dekhana Daksh tumhein yaha bahut maja ayega... Aisa karo yaha se daayi taraf lo... Hum seedhe Mukhiji ke haweli pahuchenge...

"Dhwani tumhein kaise pata ke Mukhiji ki haweli yaha se daayi taraf hai...??" Chandani di ne puchha...

Dh: Di, mujhe nhi pata hai ke kaise pr mujhe lag raha hai ke yaha se daayi taraf hi Mukhiji ki haweli hai...

D:Di... Aap shant nhi reh sakti kuch waqt...??

Dh:Daksh, gaadi daayi taraf lo... Iss gali ke end mein hi Mukhiji ki haweli hogi dekhana... MERA DIL KEH RAHA HAI...
.
.
.
.
Aur daayi taraf ki gali ke end mein Mukhiji ki haweli thi... Haweli kya- kisi raja ka RajMahal tha wo... Badi badi gadiyaan parking mein lagi hui thi... Garden mein lage fountain ne sabka dhyaan kheech liya tha... Ab Bachchon ki Haathi-Rewari ki Mukhiyani-Haweli ki Malkin-Mukhiji ke dil ki Rani-unki Bawari apne haweli pahunch gayi thi...
.
.
.
.
To be continued....

MolkkiWhere stories live. Discover now