Yaadein

102 25 10
                                    

Continued:
.
.
.
.
Subah se haweli mein chahel-pehel thi... Bachchein khush the ke mela ghumane jaana hai. Sab taiyyar hoke neeche aaye pr Naniji,Maa aur Anjali ne aane se mana kr diya.... Veer bhi kisi kaam ka bahana banake ghar se nikal gaya. Sabhi gaadi mein baith ke mele ke liye nikal padein. Bachchone Bua, Sudha,Daksh aur Chandani di ko apne saath bitha liya aur Haathi ko Baba ke saath bitha diya. Daksh tilmila utha,ye dekh ke Dhwani driving kr rahe Mukhiji ke saath baith gayi pr bechara kuch na kr saka.

Mela gaav ke baahar laga tha to jaate jaate firase ek baar pura gaav ghumne ka majja sabne luta. Aate jaate log bade pyaar se Mukhiji aur gaadi mein baithe sabko Namaste keh rahe the, has rahe the.

Dh:Mukhiji, ek baat kahun...?? Main jabse aapke gaav aayi hun ye sabkuch mujhe jaana-pehchana saa lag raha hai... Pata nhi kyu pr aisa lagata hai inn galiyon se, inn raston se meri kuch YAADEIN judi hai...

M:Yo to badi acchi baat hain... Shayad mere gaav se hi aapko aapke bhuli hui jindagi ki kuch kadiyaa mil jaaye... Aapki yaadasht laut aane mein madat ho jaye... Ke kehti hai Namarata....?

NB: Haaa... Bhaiji... Ye to bade acche signs hai Dhwani ke tum iss jagah se relate kr rahi ho... Thodi aur koshish karogi to tumhein shayad tumhara past yaad aa jaye...

D:Koi jaroorat nhi hai past yaad aane ki... Humein bss apna future khubsurat krna hai...

Dh:Ye kya bol rahe ho tum Daksh...?

D:Thik hi bol raha hun main Dhwani...

J&Ma:Baba... Buddhi ke baal...

M:Yaha nhi... Mele mein jaake khana... ab bsss 5 min dur raha hai...

Mukhiji ye keh rahe the pr Daksh ki baat se wo bechain the. Jaha unhone socha tha ke Purvi ka yaadasht wapas laane mein Daksh unki madat karega wohi Daksh aaj aisi baatein kr raha tha.

Purvi to kisi chhoti bacchi ki tarah apne aaspaas ki cheezein dekh rahi thi uske chehare ki halkisi muskaan Mukhiji ke har chinta ko uda le jaati thi... Aaj bhi uss muskan ne wahi jaadu kiya, Mukhiji ke dimaag se Daksh ko lekar aayi hui tension Purvi uss muskan ne gayab kr di...
.
.
.
.
.
Mele ke jagah pahunchate hi bachhon ke andar jaise toofan saa aa gaya... Har dukaan, har thele, har game ke pass unhe apne Haathi aur apne Baba ko leke jaana tha... Un dono ka haath pakad ke bachchein unhe mele mein ghuma rahe the...
Yaha Chandani Di, Namarata Bua aur Sudha aise gappe lada rahi thi jaise saalon baad kuch saheliyaan mili ho aur Daksh bechara akela pad gaya, tilmilakr gusse se aag aagbabula hone laga, pr bechara karata hi kya...? Gaadi to Mukhiji chala kr laye the,gaav ke raaston ke baare mein pata nhi tha aur Dhwani ko chhod ke bhi kaise jaata wo...? Ab usse bss ek kaam krna tha... Jaha jaha Mukhiji aur Purvi jaaye unke pichhe jaana...

Mukhiji pehele bachchon ke saath khelane gaye,Purvi bhi saath mein thi...
Bachchon ko jhula mein bithaya jaise pichhele baar kiya tha... Bachchein upar jhule mein upar jaate aur neeche Baba ko aur Haathi ko awaj dete... Unhe yun khush dekhkar Purvi ki kali khil gayi aur apne pariwar ko khush dekhkar Mukhiji bhi muskura uthein...
Wo dimplewali smile aa gayi unke chehare pe....☺️

Manas jidd kr baitha ke usse patang udani thi to Baba ne uski jidd puri ki.
Manas-Baba aur Juhi-Purvi aisi do teams ban gayi aur unki patangbaazi chalu ho gayi. Jaise dono patang hawa mein unche udane lage sabke chehare pe khushi ka rang chadhane laga aur Daksh ke chehare ka rang utarane laga.

Khelate khelate patang ki dori ne Purvi ke ungli ko chir diya... Juhi chillayi "Baba, Haathi ke ungali se khoon aa raha hai..." Patang chhod kr Mukhiji aur Manas Purvi ke paas daud ke gaye... Mukhiji apne pocket se rumaal nikala aur Purvi ke haath pr baandh diya...

Paani-Puri khaate waqt Purvi ko haath mein baadhi patti ke wajah se ho rahi pareshanni ko dekh bachche aur Mukhiji baari baari usse Pani-Puri khilane lage... Daksh haath malata reh gaya...
Uska dil keh raha tha ke unhe rok doon... Uska dimaag keh raha tha jo ho raha usse hone doon... Ab tk wo kuch tay nhi kr paa raha tha... Subah usne kaha jaroor tha ke usse Dhwani ka past yaad karane ki jaroorat nhi hai pr Dhwani ko Rewari mein yun khush dekhkar usko kya krun ye samajh mein nhi aa raha tha...

Sabane ladies milake kuch sundar design wale duppatte khareedein, Mukhiji ne nayi pagadi khareedi, ek to Daksh ko bhi pehena di, bachchon kuch toys khareedein, buddhi ke baal khaye aur aise pura din mele mein beet gaya.

Ghar lautkar sab aaram karane chale gaye... Purvi aaj bahut khush thi... Bahut dino baad usne aisi cheezein enjoy ki thi... Pure din mein ki hui masti usse yaad aane lagi aur waisihi kuch ghatnaaye usse dikhani lagi jab jab wo aankhein band krne lagi... Aaj jaise Pani-Puri khilayi thi waisehi kisine pehele bhi khilayi thi, waisehi patang pehelebhi udayi thi, waisa hi jhula pehelebhi dekha tha pr waha jo log the wo pehchaan mein nhi aa rahe the...

"Kaisa raha aaj ka din...?" Namarata jiji ne darwaje se andar aate aate pucha...

Dhwani ne ekdam se aankhein kholi aur boli... "Aaaaan... Haaa bahut achcha tha... Sabkuch... Bada majaa aaya... Genda aur Khargosh bhi kitane khush the aur Mukhiji bhi..."

NB:Haaan... Pr aap aise khoye khoye kyu lag rahe ho...?

Dh:Ji.... Haann... Pata nhi kyu pr mujhe aise lag raha hai aisa din,ye sabkuch main pehelebhi jee chuki hun...

NB: Shayad tumhari purani family ke saath....

Dh: Haaaan.... Aankhen band kr rahi hun to lag bhi dikh rahe hai pr unke chehare nhi samajh aa rahe hai... Dhundalisi YAADEIN hai saari....
Kon hai wo log pata nhi....

NB:Aayenge... Chehare bhi nazar aayenge... Sab thik hoga... Chinta mt kro... Maine kaha tha na tumase Rewari jaate hi uss mahaol mein tumhe madat hogi... Shayad wo hi ho raha hai... Ab aaram kro thoda...
.
.
.
.
Mela ghumkar sab ghar to aa gaye pr unke piche yaha haweli mein kya hua iski kisiko kanokan khabar nhi thi...
Aur aapko bhi ye jaanne ke liye padhana padega story ka agla part...
.
.
.
To be continued.....

MolkkiWhere stories live. Discover now