Mere Marz Ki Dawa

11 2 7
                                    

Kabhi Aao toh Meri Mobabbat ki galiyon Mein
Tumhe khud se Mohabbat na hojaye toh kehna

Almost ek mahina ho gaya tha aur maryam ne zahid ko thanks kehna bhi munasib nahi samjhi, aur kaise kehti? Unke bich kuch boundaries aur limits the jo maryam cross nahi kar sakhti thi.

Zahid bhi bohot ajeeb ho gaya tha atleast for his friends, zahid adha time padhai mei masroof rehna laga tha aur adha time Rab Ta'ala ki ibadato mein, unke paas ki masjid mei bhi ilme deen course  ho raha tha Alhamdulillah jaise zahid ke liye ilm amal ke raste khulte ja rahe the, par din ba din uske dil ki tadap bhi gehri hote ja rahi thi wo tadap jis chahat ko usne Aapne Rab Ta'alah ke bharose chor diya tha,aakhir mohabbat karne wale shikayat nahi karte.

'zahid?' bazil aur shahzaib ne fikr ki nazro se zahid ko pukara jo ki books padh raha tha, zahir ne unke taraf tawajju di zahid ne transparent specs lagaye huve the aur uski chehere ki thakan saaf nazar aa rahi thi, uski aankho mei nennd thi par zubaan par ek thak jane ka naam nhi.

'haan?'
'zahid kya baat hain?' shahzaib ne pucha
'mai samjha nahi?' 'agar tujhe ye lagta hain ki teri ye khamoshi hame samjh nahi ayegi toh itne saal ki dosti ko yuhi hawa mei urhane ki toheen na karo' bazil ne gusse kaha..
Aur zahid apne pyare dosto ki fikr pe muskuraya 'aesi baat nahi mere bhai, exams aa rahe hai na' 'exams har saal aate hai zahid abhi finals ko bhi time hain aur tu kabse seriously lene laga ye sab?' shahzaib ne pucha par zahid kya kehta? Wo khudko us heere ke qabil hi nahi samjhta tha jis heere pe uski nazr toh thi aur tawajju bhi par door se hi.

'yaar toh ab banda padhna chahata hain toh padhne do na hadd hain, padho toh problem nahi padho toh problem' zahid ne irritate ho kar kaha ki shayad dono chup ho jaye.

'baat padhne ki nahi hai zahid, hame shararti sa zahid ab nazr nahi aata, ek khamosh sa banda hai na jane apne andar konsa tufaan liye baitha hai' shahzaib ne kaha par zahid sirf muskuray uske logic pe 'yaar idhar aao' zahid ne ek hath bazil aur dusra hath shahzaib ke shoulders pe rakh kar kaha 'mere pyare bhaio, mai thk hu Bilkul Alhamdulillah, thk hai?' zahid ne un dono ki taraf dekha jo ek dusre ko dekh rhe the'toh meri fikr na karo sab thk hai'zahid ne bade pyaar se kaha

Shahzaib aur bazil dekhte the khoye khoye rehne wale  zahid ko, kya ye maryam ki wajah se tha? par kisi ki himmat nahi thi is baare mei baat karne ki kyunki unko pata tha ki zahid taal denga aesa nahi ki wo manega nahi par uski kuch aapni soch thi, ki kaha wo pakiza khatoon aur kaha mujh jaise gunehgaar.

2 months yuhi guzar rahe sab students dil laga kar aur koi sar meaning padhna toh tha forcefully padh rahe, next weak exam tha aur hall mei important announcement ke liye bulaya tha jisme girls aur boys hostel ke sab log shamil the, ek corner mei zahid dusre dusre wall ke corner mei maryam.

lecturer lecture de raha tha par upar ke fan ki khat khat awaaz sabko bohot pareshan kar rahi thi finally lecture khatam hua aur sab jane nikle, maryam aur uski friends first row mei the is wajah se last nikal rhe the aur zahid uske dost middle mei the zahid ke kandhe par shahzaib ka hath tha wo support dene ke liye jo support wo zubaan se keh bhi nahi raha tha jabhi zahid aur maryam ka ek dusre se samna hua par zahid kuch aur dekh raha.

'maryamm sambhal ke!!' shahzaib ne awaaz di, maryam usi fan ke niche khadi thi par maryam samjh nahi paayi isse pehle samjh paati zahid uski taraf bhagte huve samne khada hua jo fan maryam pe girna tha wo zahid ke peeth par gir gaya aur maryam hairaan hogayi

Shahzaib aur bazil bhagte huve aaye zahid ke upar se fan uthaye aur zahid ka sar injure ho gya tha back se khoon bhi nikal rha tha aur zahid unconscious ho gaya tha.
Maryam samjh hi nahi paayi ek dum se kya ho gaya?  bas zahid ko unconscious dekh kar uski aankho se bht ashq nikal rhe the

case no 39Where stories live. Discover now