SamraKhi's Conversation

535 36 14
                                    


HELLO GUYS!!

HOPE YOU ALL ARE FINE. HERE IS THE NEW CHAPTER.

LET'S START THE STORY.

...................................................................................................................................................................................................................................

Same day at Night

In Samrakhi Room.......

Samrat came in room and saw pakhi is reading a book while sitting on sofa he goes and change his clothes and came back

Pakhi: Samrat woh mujhe apko thank you kehna tha car gift ki apne uske liye...thank you so much mujhe bahut achi lagi and infact woh meri dream car hai

Samrat: oh wow yeh mujhe nahi pata tha but that's great and yeah thank you ki zarorat nahi hai I am glad ki apko pasand ayi.......aa waise hamari shadi ko 1 week se upar hogaya hai lekin humne ab tak ek dusre se sahi se bat nahi ki hai na ek dusre ke bare mai kuch jante hai toh if you don't mind kya aj bat kare

Pakhi: why not infact mai bhi yehi soch rahi thi ke apse aj bat karungi agar ap free honge toh

S: that's great toh sall we begin

P: ofcource phele beth jaye ap

Samrat sit on sofa beside pakhi and their convo start

S: so apne bare mai bataye kya hobbies hai like dislikes wagera

P: first thing first kya hum friends ban sakte hai

S: why not kyu nahi zaror ban sakte hai

P: Toh friends ek dosre ko ap nahi kehte hai

S: (smiles) okay so mai aj se tumhe pakhi kahnoga and same rule tum par bhi apply hoga

P: done aj se mai bhi tumhe samrat kahongi sirf... ap nahi

S: yeh hui na bat toh chalo ab toh batao apne bare mai

P: Well mujhe travelling karna bahut pasand hai yeh toh apko pata chal chuka hai iske ilawa photography blogging yeh sab bhi pasand hai maine electrical engineering ki hai.....aur jaise tumhare liye rishi hai waise hi mere liye neha hai bas fark itna hai ke neha se dosti meri college mai hui thi school mai nahi

S: kya bat hai...travelling mujhe bhi pasand hai lekin itni zyada nahi actually bussiness trip ki wajah se hoti rehti hai isley kabhi alag se shok nahi hua jane ka

They chit chat with each other share their funny college and school moments then pakhi asked

P: samrat ek bat puchu tumse

S: ha pucho

P: jis din se shadi hui hai hamari maine notice kiya hai baba apko zyada pasand nahi karte hai waise toh baki sab gharwale bhi apko bate sunate hai lekin baba ko maine sangeet ke din bhi notice kiya tha woh apse us din bhi rudely bat kar rahe the jaise mano woh apko pasand nahi karte ho aisa hai kya ya mera veham hai

S: nahi tumhara veham nahi hai aisa hai baba mujhe pasand nahi karte

P: Lekin kyu baki gharwale apse naraz hai kyu ke apne unki marzi ke bagair mujhse shadi ki lekin baba apko pasand kyu nahi karte

S: acutually kafi lambi story hai lekin ab tumne puchi hai toh chalo bata deta ho.........virat hamesha se baba ka favourite beta raha hai mujhse bhi pyar karte the baba hamesha se nafrat nahi thi unhe mujhse lekin virat se zyada pyar tha bara beta tha na lekin mai hamesha is bat ko ignore karta tha kyu ke aai mujhe zyada pyar karti thi..... ek din aai aur baba mai behes horahi thi baba aai par chila rahe the kisi bat ko lekar jhgara horaha tha dono mai tab mai waha se guzar raha tha aur maine dekh liya mai 7-8 sal ka tha us waqt aai se humesha mai attach raha ho toh jab maine dekha ke baba aai ko suna rahe hai toh mujhe gussa aya aur mai room mai chala gaya aur jakar baba ko bola ke woh meri aai se aise bat nahi karsak te dono ne mujhe danta aur jane ko kaha mai ja bhi raha tha lekin phir maine suna ke unki larayi bhvani kaku ki wajah se horahi hai aur mujhe aur gussa agaya mujhe hamesha se kaku thori pasand nahi thi kyu ke baba har waqt ji vahini karte the aur aai ko bate sunate the isley mujhe gusa aya aur maine thori uchi awaz mai boldiya baba ko gussa aya aur unhone ne mujhe thappar mara ke maine unse batamezi ki aai ne mujhe bachaya aur bhej diya waha se us din se mujhe baba se aur unko mujhse nafrat hone lagi....virat hamesha se baba ka chahita tha jo woh bolte shiva who karta baba ka sara pyar use aur sari dant mujhe milti.....ahiste ahiste waqt guzara hum bare hue jab college jane ka waqt aya toh baba ne hamesha se kaha tha ke virat police mai aur mai army mai jaonga lekin maine hamesha se socha tha ke mujhe apna bussiness karna hai mujhe insab mai interest nahi hai.....aur jab maine yeh bat sabko batayi toh baba bahut gussa hue unhone mujhe khub danta aur kaha ke mujhe army hi join karni paregi unhone kaha ke woh apne circle mai kaha hai ke unke dono bete force join karege ab mai nahi karunga toh badnami hogi virat toh tayar tha lekin maine saf mana kardiya kyu ke mujhe jana hi nahi tha....is mai nagesh kaka ne mera sath diya unhone baba ko samjhaya ke agar mai nahi jana chahta hu toh chordo zabardasti karne ki zaraorat nahi hai sab ki apni marzi hoti hai jaise taise baba man gaye lekin mera bad luck mere admisson se phele kaka saheb shaheed hogaye aur phir baba ne announce kiya mere admission ke time ke woh na toh meri college fees pay karenge aur na hi mere bussiness ke liye paise denge

P: KYA fees dene se mana kardiya

S: ha tab maine socha ke mai apna startup kaise shuru karonga bina paiso ke aur us se bhi phele fees kaise pay karunga....mere man mai khayal aya ke kahi galat faisla toh nahi leliya maine yeh bat rishi ko batayi aur usne apne baba ko batayi aur unhone ne mujhe kaha ke apne sapno ko pura karne ka faisla kabhi galat nahi hota hai bas niyat saf aur mehnat lagti hai aur fees ki tension lene ki mujhe zarorat nahi hai woh meri fees denge jab unhone mujhse yeh bat kahi toh mujhe himmat ayi aur maine unhe mana kardiya aur deceide karliya ke mai apne faisle par rahonga aur sapne pure karonga baba paise nahi denge toh zindagi nahi ruke gi maine admission liya aur scholarship ke liye apply kiya aur phir puri prahayi scholarship se ki ab bach gaya tha business ke liye paisa toh uske liye maine apne 1st year mai hi part time job shuru kardi college se direct job par jata tha aur us salary ko invest karna shuru kiya jo mujhe long time profit de take waqt ane par ek huge amount ho mere pas aur 4th year mai apna startup shuru kiya kafi amount jama hochuki thi mere pas tab tak aur shayad aai ki dua lagai aur meri mehnat dono ne rang dikhaya aur mera business succesful hogaya aur aj pure india ke har bare shehr mai mere brand ke outlets hai even mai ab ek aur business shuru karne wala hu techonology ki duniya mai abahut jald woh bhi shuru hojaye ga process mai hai abhi

P: I can't believe chavan niwas ke bete ki itni struggling life hai I mean jaha ek taraf sare bache ghar ke college se akar sote the khana kha kar wahi ek beta rat der tak part time job karta tha.....tum toh waqai zero se hero bane ho...self made business man jise family se koi support nahi mili....tum toh sach mai tareef ke kabil ho ....you are a star

S: thank you for the compliment

P: ek bat batao agar tum job karte the toh parhayi kab karte the

S: rat mai 11-11.30 tak ghar akar parhayi karta tha phir sota tha...un char salo mai chand ghanto ki hi neend milti thi mujhe hardly3-4 ghanta woh bhi mushkil se even weekend par mai full time job karta tha toh mujhe us din bhi rest nahi milta tha

P: waise kabhi laga nahi ke itni mehnat se acha tha baba ki bat man leta

S: ek do bar khayal aya tha lekin phir maine bhula dia kyu ke maine kahi parha tha ke "Success never comes from Comfort Zone" toh agar success chahey toh apna comfort zone chorna hoga aur maine wahi kiya...........pata hai shuru ka 1 month aai jagti thi mere liye ke mai aao aur woh mujhe garam khana de lekin maine mana kardiya ke 2-4 din ki bat nahi hai yeh salo ki bat hai woh bimar par jayegi isley sojya kare lekin hai toh aai rat mai check karti thi ke maine kahaya hai ya nahi aksar mai bina khana kahye sojata tha toh woh mujhe uthakar khila ti thi

P(smile): aai waqai bahut achi hai.....lekin koi nahi atlast All Your Hardwork Pays off

S: hmm yeh toh hai.....toh yeh thi woh bat jiski wajah se baba mujhse nafrat karte hai aur yeh kehte hai ke mai apni marzi karta hu....shuru mai bura lagta tha lekin ab band hogaya hai

P: waise maine suna hai ke apka koi apna bunglow hai jo apne nagpur ke ouutskirts mai khareda hai aisa kyu ghar toh yeh hai apka 

S: ha actually waha ghar isley banay maine kyu ke mujhe apni bussiness meeting get together kuch events wagera karne hote hai aur woh mai yaha nahi karsakta isley woh ghar liya hai

P: ohh toh yeh bat hai

S: jee....chalo ab sojate hai bahut rat hogayi hai

They went to sleep

..................................................................................................................................................................................................................................

THAT'S IT FOR TODAY. HOPE YOU LIKE IT.

VOTE AND COMMENT.

WILL MEET YOU ALL SOON 

BYE!!

Hum Marjayenge Tere BinWhere stories live. Discover now