The pain

2K 166 57
                                    

A shattered Anubhav was sitting on his bed holding a photo frame in his hand.

Anubhav's POV:
Kyun hota Hain humare saath aisa...kyun Hume wapas yaha aana pada..socha tha sabke dil mein Apne liye nafrat paida karke hum bohut dur chale jayenge..par ab jab sab Humse nafrat karte hain hum kyun nahi bardhasht kar parahe hain..(he punched hard on the bed)

Humari Haseenaji..humari Jaan humse nafrat karti hain..humare pyar ko fareb samajhti Hain..(he caressed The frame containing her picture.Stayed silent for a whil then spoke..)

Yahi toh chahte the na tum Anubhav Singh..Haseenaji k dil mein apne liye nafrat paida karna..ab jab woh nafrat karti hain tumse toh kyun nahi sahen ho raha tumse..

Hum kya karein bhagwan kya karein..humse yeh pidha aur nahi sahi jaati...kyun milwaya Hume Haseenaji se agar unse dur hi Karna tha toh..hum toh patthar dil hi thik the kyun karwayi Hume unse itni mohabbat..(he broke down into tears.)

Jinki ek kharoch dekhar bhi humari Jaan Nikal jati hain unki aankhon mein aansoo the sirf aur sirf humari wajah se..kyun kiya bhagwaan apne aisa..kya galti ki thi humne jiski yeh saza Hume naseeb hui...
---------------------------

Jaywant has been ringing Anubhav's door bell since last 20 minutes.He put his phone back in his pocket after several attempts to call him but he didn't picked it up.

Ks: Arey Jaywant Bhaiyya ka hua yaha bahar kahe khade hain.(she asked parking her bike.)

Jaywant: arey yeh tera bhai pichle 20 minute se ghanti Baja Raha Hun yeh darwaza nahi kholraha..phone bhi utha raha..

Ks: kaa bat karrahe Hain?Shayed Ghar nahi laute honge.. headquarter phone kiye aap?

Jaywant: Arey khud usse baat hui hain 3ghante pahele..kaha ki nikal gaya Hain ghar k liye..

Ks: rukiye humare paas iss Ghar ki extra chaabi Hain bhaiyya kal hi diye the..(KS opened the door and they barged in..)
-----------------------------
Anubhav's sleep broke with someone continuously calling his name and shaking him.He sat up straight rubbing his eyes.His head was throbbing with pain.He groaned.

As: Bahena!Jaywant?Ap dono itna shor kyun kar rahe hain?Ahhh...(hold his head in hand.)

Jaywant: shor kar rahe hain matlab?Tujhe pata Hain kab se tere ghar ki ghanti Baja Raha hu..kitna pareshan ho gaye the hum dono..aur yaha dekho janab astable beche kar so rahe hain..(he went downstairs)

As: Sorry..Zara aankh lag gayi thi thakan ki wajah se..

Ks:thakan ki wajah se aankh lag gayi thi yaa rote rote so Gaye?(she asked with serious expression.)

As: Nahi bahena..aisa kuch nahi hain.(he said hiding his eyes)

Jaiwant entered with a cup of freshly brewed coffee and handed it over to AS.

Jaywant: ise pii aur apna jhoot Apne paas rakh..koi baccha bhi teri yeh soojhi hui ankhein dekhkar kahe sakta Hain ki tu ro raha tha..

Ks: Aur yeh tasveer abhi side mein rakhhiye..(picked the photo frame up from the bed and passed it to Jaywant.)

As: Aram se!

Jaywant looked at the photo frame and was shocked.

Jaywant: Abey tu Haseena se pyar karta hain?!

Ks: Aapko nahi pata tha?!

Jaywant: Nahi!Naa toh isne kabhi apne premika ka naam bataya na hi tasveer dikhayi..waha har officer k bag mein unke priyajano ki tasveer thi..Apne patni ya premikao ki tasveer thi siwaye inke!Inn Mahanubhav ko dar tha kahi kisi ko inke priye k baare mein pata chal gaya toh uski Jaan ko khatra hoga..(KS looked at her brother emotionally....she can't even think how much this man loved her Maddam sir.Haseena Malik is really lucky she thought.)

As: tum dono Zara dhire baat karoge..humara sir phata jaa raha hain.(he said slowly)

Jaywant: Shukar mana ki tu mera dost Hain warna Haseena jaisi pyari ladki ko taqleef dene k liye na maine tera qatal kar dena tha..tu pagal hain Anubhav itni acchi ladki ko khud se dur kar raha hain?

As: sach mein woh bohut acchi hain(smiled thinking about her).isiliye Bahetar Hain woh humse dur rahe aur Khush rahe..

Jaywant slapped his forehead while Karishma rolled her eyes frustrated..

Ks: Anubhav bhaiyya kahe aisa kar rahe ho...baat karo na Maddam sir se..aur kitni taqleef jheloge..kaa bachpana Hain yeh?Khudko aur Maddam sir ko donoko dukh de rahe hain aap..

As: Aisa nahi hain Bahena..hum humare plan mein safal hue hain..Haseenaji nafrat karti hain humse..unhone khud humse kaha Hain aaj.(he smiled.But the pain reflected in that smile crushed both ks and Jaywant's heart.)..dekhna ab sab thik ho jayega..woh move on kar lengi..bohut strong Hain humari Haseenaji.

Ks: par bhaiyaa..(he didn't let her finish)

As: Bas!Hume iss bare mein koi baat nahi karna..hum niche jaa rahe hain ratribhojan ki Taiyaari karne..(he went to kitchen.)

Ks and Jaywant shared a helpless look.They sighed and followed him..
--------------------------------
Precap: Karishma spills the truth.
--------------------------------
Anubhav is still adament to conceal the truth from Haseena.What will Karishma and Jaywant do to help him?
---------------------------------
Do vote and comment if you like the chapter.
Thank You.

ANUSEENA-I See My Future In Your Eyes✓जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें