Chapter 48

4.4K 504 74
                                    

"I loved you from childhood, when I didn't even know actual meaning of love I used to do anything to make you smile from achieving good marks to listening to elders, not bunking classes to behaving like a good girl. I always followed ur foot steps, I never cared about others their likes or dislikes didn't matter cause you were my only reason of happiness. I wanted to do everything to make you feel proud of me, I would demand anything since you were there to fulfil mera dil khush hojata tha aapke upar haq rakh ke" she beams in happiness, talking about their memories her pretty orbs differently sparkles, sidharth noticed.

"I prayed for your healthy and successful life, mera hota tha ke sidharth jeete kabhi na haare, duniya mein kisi ki awqaat na ho aapko harane ki phir chahe exams ho ya phir badminton kyunke aap sabse best haina, born winner right babe ?" sidharth agreed, reminiscing school days, she used to argue with his classmates for taking over his position. 

"Tu kaise ladte thi moti kiran se yaad hai ?" she giggled, resting on his heart. 

"Of course, uske himmat dekhe baar baar aap se competition karte thi jante huwe ke mera dil dukhta tha aapko disappointed dekh" she kissed him. 

"Is duniya mein kisi ki awqaat nahin aapke jagah laine ki mere pyaare shone puttu kisi ne lekar dekhaye toh hamesha ki tarha phaad ke rakh dunge" well aware of her protective and possessive nature, kissed her cheeks, she spoke further more "aapko pata main dil ki baat bayan karne se sharmate thi kaafi waqt tak mohabbat ka ehsaas bhi na tha attachment samajh kar chup rahe" 

"I realised my feelings during ramadan .. darr rehta tha kahin aapko mujhse koi cheen na le isliye chaand raat ko maine upar wale se duaa kare joh mera hai woh hamesha mera rahe" cupping his beautiful face. 

"Maine har duaa aur namaz mein sirf aapko maanga hai" affectionately, his heart fluttered, how purely and deeply she loved him, he wondered. 

"Aap ne jis din baahir mulk jaane ki baat kare mera dil toota sidharth bohut takleef huwe kyunke aap ne mujhse durr jaane ki baat kare, selfish hoke na rokne ka socha lekin shehnaaz apne sidharth ki khwaab kaise tod sakte thi, khud ko maar kar ... tod kar maine aapko jaane diya. I had intuitions many insecurities overpowering my decision, lekin mohabbat ke samne deemag ghutne gaya, dil ke haathaun majoor jaane diya, andha bharosa karke jane diya is umeed se ke aap wahi mere wale sidharth bann kar ayenge" 

"Jisko apne best friend ki khushi aur udaasi ka khayal hota tha, jisko chote bataun ka bhi andaza hota tha, jisko sirf apne naaz se matlab hota tha, kisi dusre ke hone ya phir na hone se aapko fadak nahi padta tha" 

"Jisko sirf aur sirf mujhe pyaar aur attention daina yaad hota tha, mere liye surprises plan karna yaad rehta tha, mujhe special feel karwana, mid night sneak out karke ice cream ki craving pure karna, meri tareef karna, ghaade rehaan se ladna, ladkaun ko mujhse durr rakhna, pehle salary se diamond wale jhumke dil ana, mere liye chudiyaan khareed na" 

"Aap mere sab kuch thai na phir kaise badal gaye sidharth ?" getting out of protective embrace feeling distressed, his heart clenched. 

"I am sorry .." that's all sidharth could utter breathing heavily, blood boiled reminiscing painful or gut-wrenching past, their dreamy world had terribly  collapsed down, why did sidharth attract to another women ?

"Kaise saman ki taraf attract huwe, kya main uske jaise khoobsurat nahin, bataye sidharth us mein aisa kya tha joh mujh mein nazar nahi aya aapko ankahe mohabbat ka ehsaas kyun nahi huwa ?" she yells, grabbing collar fisting palms started hitting him and crying loudly. 

"I am sorry meri jaan, mohabbat jaise khoobsurat feeling ka andaza kabhi huwa na tha, maine tujhe hamesha bestfriend ki nazar se chaha soch nahi hamare beech dosti se kahin gehra rishta hai, I swear warna kabhi bhi tere behan se shaadi na karta, trust me sirf pasandh kiya tha, hamare likes aur dislikes kaafi milte thi, we were getting along too well, she proposed me, I didn't had any reason to reject" clasping shehnaaz, opened up constantly kissing top of head and reassuring actual reason behind his decision. 

"Sache ?" catching breath innocently asked, hopefully looking at him. 

"Of course, mera bacha never loved her shehnaaz tu mera pehla aur akhri pyaar hai, please samajh us waqt tune kaunsa apne dil ki baat bataye ?" it exasperated her "main aye khud ko samjha kar yeh jaante huwe bhi ke ho sakta hai aapke dil mein saman ke liye kuch hai" she bitterly, uttered. 

"Aapke badle huwe andaaz ... uske khushi ke liye mujhe dukhe karne wale tareekaun ne mujhe pal pal maara ... khatum karta gaya 💔😭" she sobs .. unable to control herself every fucking memory is slashing like sharp knife. 

"I didn't mean to hurt you 🥺" his voice choked, unable to view her crying. 

"Aap me phir bhi kiya usne apne maa baap khoye isliye aap ne uske khushi chune mujhe apne best friend ko afsurda (upset) kiya tolerate kiya lekin us waqt ehsaas huwa ke aap achanak kitne ajnaabe hogaye hain, saman hum dono ke beech kabhi nahi aye thi aap usko lekar aye thai" she screamed. 

"Mere hote huwe bhi usko dekhne lage, mere hote huwe bhi usko attention daine lage, mere hote huwe bhi uske tareef karne lage, mere hote huwe bhi uske favourite cuisine try karne lage aapke wajah se woh aise behave karte jaise mujhse zayada aapko jaante ho" she keeps talking, venting out, every piece of information to make him realise what he unknowingly did. 

"Aapke hote huwe khud ko akela mehsoos karne lage, besharmo ki tarhan birthday wale din subah subah aapke darwaaze par propose karne aye, na jaane kyun mere andar umeed thi, kya pata mera sidharth bhi karta ho, ho sakta hai galat fehmi hogaye ho lekin mujhe aap dono ka proposal dekhne mila us din mera dil phatt gaya, I couldn't breath, you broke me forever" 

.

.

.

.

.

Done ❤️🤗 keep loving and supporting my work :) 

Do follow 

Do vote 

Do comment 

ANKAHE ALFAAZ (COMPLETED)Onde as histórias ganham vida. Descobre agora