Chapter 1

539 9 5
                                    

Kahani shuru hoti hai ek ladke se jo Masjid mein khada apne hi khayalon mein dooba hua tha. Aaiye, milte hain usse.

Jaffar's POV

Assalamualaikum, main Jaffar Khan. Ek seedha saadha pyaara sa Muslim ladka. Vaise toh mai yeh Hindu Muslim jaisi cheezon ko nahi maanta, mera maanna hai ki hum sab ek jaise hain. Hindu, Muslim, Christian jaise naam de kar toh insaanon ne hi humein alag alag mazhab mein baata diya hai. Khuda ne toh hum sab ko ek sa hi banaya hai. Magar mere Abbu ke khayal mujhse bohot alag hai. Na jaane kyun unhe Hinduon se itni nafrat hai?

Khair, aapse mil kar accha laga. In sab baaton ko chhodiye main aapko batata hoon ki mai kahan hoon aur kya kar raha hoon.

Mai yahan masjid mein uss anjaan ladki ka intezaar kar raha tha... abhi tak toh aa jaati hai pata nahi aaj kyun itni der ho rahi thi?

Jab tak woh aati hai mai aapko batata hoon ki mai kiska intezaar kar raha hoon aur yahan kyun aaya hoon?
Toh mamla kuch aisa tha ke....

{Flashback}

Jaffar: "Ammi, kya har Jumme ko masjid jaana zaruri hai?"

Rukhsana: "Haan, ab jaa jaake naha le aur siwak se daat bhi brush kar lena aur haan nakhun bhi kaant lena"

Jaffar: "Thik hai, ammi."

A few moments later

Maine woh sab kar liya jo jo ammi ne bataya tha aur ab kapde pehen ne ke baad mai masjid ke liye rawana hone wala tha ki mujhe mera dost mil gaya.

Jaffar: "Khala ne masjid jaane ko bola?"

Tousif: "Haan"

Jaffar: "Wow! What a timing"

~Tousif Sheikh~Jaffar's bestfriend~Handsome, cute and caring

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

~Tousif Sheikh
~Jaffar's bestfriend
~Handsome, cute and caring.

Jaffar: "Ammi, Khala, hum masjid ke liye jaa rahe hain."

Uzma (Tousif's mom) & Rukhsana: "Theek hai, jaao."

Masjid mein

Masjid mein

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
𝐒𝐡𝐢𝐝𝐝𝐚𝐭-𝐄-𝐈𝐬𝐡𝐪 ✔Where stories live. Discover now