Chapter 5

490 10 10
                                    

This chapter is going to be VERY long, so enjoy 😄

[On the phone]

Y/N: Jaffar---

Jaffar: Hello? Y/n!? Tum kaisi ho? Tum mere calls aur messages ka answer kyun nahi kar rahi thi? Tum theek toh ho na?

Woh dheere se ek worried tone mein puchta hai taaki koi sun na le.

Y/N: Calm down, Jaffar, calm down. Mai bilkul theek hoon. Woh papa ne mera mobile cheen liya tha, abhi mumma ne diya hai papa se chipa kar.

Jaffar: Thank God tum theek ho. Mai bohot darr gaya tha. Raat bhar 50 baar phone check kiya maine ki shayad tumne ek phone kiya ho, koi message bheja ho.

Y/N: Uske liye sorry... badi mushkil se maine tumhe kuch batane ke liye phone kiya hai, meri baat dhyan se suno.

Jaffar: Haan, bolo.

Y/N: Apna kuch saman pack karlo aur taiyar ho jao.

Jaffar: Kis liye?

Y/N: Hum kal yahan se bhaag jayenge.

Jaffar: Y/n, tum pagal ho gayi ho kya!? Yeh kya bol rahi ho?

Y/N: Jaffar, hamara pyaar koi nahi samajh payega... koi apni dushmani nahi bhulaega. Yeh log Hindu Muslim mein atke rahenge aur hamare pyaar ko kabhi nahi samjhenge lekin tum toh meri baat ko samjho.

Jaffar: Yeh kya bole jaa rahi ho? Agar tumhare parents ko pata chala toh kya hoga socha hai?

Y/N: Mumma ne hi mujhe bhaag jaane ko bola hai.

Jaffar: Par mai nahi aa paunga... ammi ko bohot bura lagega---

"Jaa"
Jaffar awaaz sunke peeche mudta hai aur apni ammi ko uske room ke darwaze pe khada dekhta hai. Vo turant call cut karta hai.

Jaffar: "Ammi?"

Rukhsana: "Haan, mai samajhti hoon tera pyaar. Mera saath aur ijazat dono tere saath hai."
She smiled.

Jaffar: "I love you, ammi!"
Jaffar happily hugged her.

Rukhsana: "I love you too, beta. Chal ab apna saman pack kar le."

Jaffar: "Pack ko toh vacation manane jaa rahe hai hum."
He bitterly chuckled.

Rukhsana: "Vacation manane nahi lekin ek nayi zindagi ki shuruaat karne jaa rahe ho."

Next Day
At 4:00 am
Note: Please play 'Ranjha' to make ff more enjoyable.

Jaffar apne ghar ke peeche wale darwaze se nikalta hai.

Rukhsana: "Apna khayal rakhna aur khabardar jo meri bahu ko kabhi rulaya toh."
She let out a sad chuckle.

Jaffar: "Aap aisa mera mood accha karne ke liye keh rahi hain na?"

Rukhsana: "Nahi, mai toh isliye keh rahi hoon ki kahin tu meri bahu ka khayal na rakhe toh?"
She was now on the verge of crying.

Jaffar: "Zaroor rakhunga khayal, apna bhi aur Y/n ka bhi."
He sadly smiled.

Rukhsana hugs Jaffar and cries silently.

Jaffar: "Aap toh aise ro rahi ho jaise ladki ko vida kar rahi hain."

Rukhsana: "Hatt, badmash!" She wipes her tears and smiles a little. "Chal, jaa ab. Khayal rakhna, haan?"

Jaffar Rukhsana ko (shayad) aakhri baar gale lagata hai aur chala jata hai.

𝐒𝐡𝐢𝐝𝐝𝐚𝐭-𝐄-𝐈𝐬𝐡𝐪 ✔Donde viven las historias. Descúbrelo ahora