CONFESSION

2.7K 118 8
                                    

AAROHI - dikhadiya na tune aapna rang chinliya na mere Abhi ko mujhse. Tujhse meri khushi bardas nahi hoti na Akshara. Yesahi ek mandir mey tune meri mumma ko chinah tha aur aaj fhir ek mandir met tune mujhse mera sabkuch chinliya Akshara. I hate you Akshara I hate you.

ABHI (in loud tone) - Bas karo Aarohi. Himmat kyasi hui meri Akshu se yese baat karne ki. Chinih woh jati hain jo aapna hota hain aur mein tumhara tha kab. Aur ek baat mein tumhara Abhi nahi tumhara Abhimanyu nahi hu tumhare liye mein sirf Abhimanyu hu samjhi. Tum janti bhi ho pyaara kah matlab pyaar ki ABCD bhi pata hain tumhe agar pata hota toh aapni behen kah tyag uska pyaar dikhaideta tumhe. Tumna sirf swarthi besaram aur self-obessed ho Aarohi. Aur aap sab suniye aapni Doctor Aarohi ki jhut k kisse yeh na besaram hain inhe aadat hain dusro k credit khud lena kah mujhe uss camp k aag se Akshu ne bachaya tha na ki Aarohi ne. Maa k sehat k liye puja Akshu ne karai thi Aarohi ne nahi. Ruby k case mey Aarohi ne Akshu ko nahi bheja tha Akshu khud sab k khilaf ja k aai thi mujhe bachane. Aur aaj shaadi k din aapki yeh doctor beti nahi nahi actually aapki yeh besaram beti MD ki exam dene gai thi aur Akshu ko samne kardiya aapne jhut par parda dalne k

MANISH - kya yeh sach hain Aarohi

ABHI - yeh nahi bolegi aakhir galti jo samne aagai inki

MIMI - humey tumse yeh ummed nahi thi Aaru itna bada jhut

AAROHI - chinliya na sabkuch mujhse aur kya chinegi tu mujhse. Tujhse meri khushi bilkul bhi bardas nahi hoti hain na. Jab tak tu yaha nahi thina mein bahot khush thi lekin jabse tu aai hain na meri sari khushiya barbaad hogai hain

AKSHU - Bas kar Aarohi kitna zeher uglegi bachpan se leke aajtak bahot boli hain tu aur bahot suni hu mein lekin aab bas. Aab mein bolungi aur tu sunegi kya kaha tune meine teri maa chinhi toh ek baat acche se samajh le Aarohi woh tujhse pehle meri maa thi aur mujhse pehle Kairav bhaiya ki. Jitna hak tera unke pyaar pe tha na utna mera aur bhaiya kah bhi tha. Unhe tujhse pehle maa meine aur Kairav bhaiya ne banaya tha. Aur har baar tujhe sirf mujhe blame kyu karna hota hain kyuki mein tujhe kuch nahi kehti isliye. Tera yeh blame game mein bachpan se dekhti aur sunti aai hu lekin aab aur nahi.

Agar aaj Sirat maa hamare sath nahi hain toh uski wajha tu hain Aarohi mein nahi. Tu bachpan se itni ziddi hain ki tune kabhi bhi khud ki galti accept nahi ki tu dusro ko galti ginane mey expert hain lekin jab aapni galti accept karne ki pali aai toh blame mujhpar daldiya. Tujhe iss family k har ek member ne mana kiya tha na bahar jane se kyuki bahar ki weather kharab thi toh tu bahar kyu gai. Tu agar mumma k sath puja karna chahti thi toh tu ruksakti thina ghar pe lekin tu nahi ruki. Tujhe bas aapni jidd puri karni thi. Agar ussdin tu ghar se bahar nahi jati na Aarohi toh aaj mumma hamare sath hoti. Agar mumma k death k liye kisi ko blame karna hain toh khud ko kar. Bachpan se bahot suna hain meine ki meri mumma ki mout teri wajha se hui hain lekin aab aur nahi sunungi mein. Aab tu sunegi ki hamari mumma ki jaan teri wajha se gai hain Aarohi teri wajha se

Meine tujhse nahi lekin tune mujhse bahot kuch chinah hain Aarohi. Yeh family tujhse pehle meri thi lekin teri khushi k liye meine aapni family ko tak xoddiya lekin tujhe yeh dikhai nahi diya. Tune Abhi se jhut bola ki usse aag se tune bachaya tera naam kharab na ho iske liye bhi mein chuprahi lekin woh tujhe dikhai nahi diya. Tere liye mein aapna pyaar kurbaan tak kar rahi thi lekin woh bhi tujhe nahi dikha. Tere khushi k liye bachpan se leke aajtak aapni har ek pyaari chiz meine tujhe diya. Meine aapni har ek chiz tere sath share ki hain Aarohi lekin aab aur nahi. Aab pani sar k uppar se jachuka hain aur aab mein aur nahi sahungi. Aaj tu MD k exam dene tu gai thi lekin fhir bhi meine tera sath diya tujhe har problem se meine bachaya lekin aab aur nahi. Bade papa aap jante hain Aarohi ne 40 lakh kyu magha tha toh suniye isne paise de k MD k exam par aapni seat reserve karwai. Mein isse rokne gai thi tabhi mera accident huwa tha

AAROHI - nahi yeh sach nahi hain

AKSHU (in loud tone) - Yehi sach hain yeh baat tu maan ya na maan mujhe koi farak nahi parta

Aur ek baat mere Abhi se durr rehna this is my first and last warning to you Miss.Aarohi

Haa mein Abhi se pyaar karti hu aur Abhi se shaadi karna chahti hu. Bade papa i am sorry

MANISH (in loud tone) - maat kaho mujhe bade papa agar bade hone kah laaz nahi rakhsakte toh kyu kehte ho bade papa

ABHI - uncle aap Akshu par kyu chillarahi hain galti sirf Akshu ki nahi hain galti Aarohi ki bhi hain. Agar chillana aur daatna ho toh dono ko daatiye sirf ek ko nahi. Aur jab meine usse kaha tha ki mein sirf Akshu se pyaar karta hu toh usne shaadi k liye haa kyu kiya. Isliye na ki woh Akshu ko dikhasake k usne mujhe paliya lekin sach toh yehi hain aur rahega ki agar meri shaadi Aarohi se ho bhi jati na tab bhi mein Akshu se pyaar karta. Bachpan se jante hain aap Akshu ko iske liye khudse pehle family ki khushi hoti hain yeh hamesa khud se jyada family k bare mey sochti hain. Sayad isliye bhi isne aapne pyaar ko haa karna thik nahi samjha. Please uncle manjaye na Akshu ki khushi k liye kyuki mein janta hu Akshu aaplogo k aasirwaad k bina shaadi k liye haa nahi kahegi

MANISH - hum issbare mey baad mey baat karenge chalo Akshu

AKSHU EYES GETS WET WHICH WAS CLEARLY SEEN BY EVERYONE. KAIRAV ASSURES HER EVERYTHING WILL BE FINE. GOENKAS AND BIRLAS LIVE FOR THEIR HOME

MANISH - yeh tumne thik nahi kiya Akshu yeh jo bhi huwa bahot galat huwa

AKSHU - I know bade papa mujhe pehle kehna chaiye tha ki mein Abhi se pyaar karti hu lekin Aarohi ki khushi k liye chup rehgai. Mujhe laga ki Abhi doctor hain aur Aarohi topper they are made for each other but I was wrong. Meine bahot kosis ki bade papa ki mein Abhi se durr rahu lekin nahi hopaya. Meine bahot kosis ki Aarohi aur Abhi ko pas lane ki lekin nahi huwa.

AAROHI - haa tujhe toh galat lagega hi na akahir tujhe aadat jo hain mujhse sab kuch chinne ki tu kuch bhi keh le lekin sach yehi hain ki meri mumma ki mout teri

KAIRAV (in loud tone) - Bas Aarohi bas bahot hogaya kabse sunrah hu meri mumma meri mumma sirf teri akeli ki mumma nahi thi woh samjhi. Aur tu Akshu par bhadak kyu rahi hain jhut tune bhi bola hain Aarohi. Tere jhut k liye tujhe syabasi chaiye medal la k du mein tere inn sab kam k liye. Akshu se jyada teri galti hain inn sab mey agar tu humey pehle sach batadeti toh aaj jo huwa woh nahi hota. Akshu ne tujhse nahi tune Akshu se chinah hain sab kuch. Teri khushi k liye Akshu ne aajtak bahot se sacrifices kiye hain lekin aab nahi aab mein Akshu ki khushiyon k bich kisi ko aane nahi dunga kisi ko nahi. Mein Kairav Goenka karaunga aapni behen Akshara Goenka ki shaadi Dr.Abhimanyu Birla se. Akshu Abhimanyu ko call karke kal yaha nahi Sighaniya sadan par aane ko bolo. Kal Naksh mamu aur Keerti Bua aarahe hain baat wohi hogi yaha kisi ko teri khushi ki pari nahi hain

AKSHU - Lekin bhaiya

KAIRAV (strictly) - Akshu mujhe koi bhes nahi sunni jo kaha hain woh karo

AKSHU - jii bhaiya..

AKSHU TELLS ABHI TO COME TO SIGHANIYA SADAN AS HER PARENTAL UNCLE & KAIRAV WANTED TO TALK TO HIM. ABHIMAYU AGREED HAPPILY

ABHIRAजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें