part 4 : Kuch Alag Chai pe Charcha

975 58 12
                                    

Here comes the last part, hope you like it and please share your comments and vote for it.

---------------------------

Anu: Anuj, ek baar phir soch li jiye, aap sahi nahi kar rahe hai. Mere nahi, par apni behen Mukku ke bare main sochiye. Wo yaha aise rahegi, kahi kisi ne uska fayda utha liya to. Us ke saath kya hua hai, aap jante hai, wo bahut bhawuk hai

Anuj: Kaun fayda uthayega uska, Vanraj hai na uska partner.

Anu: Haan, par Mr Shah, uske bhai nahi hai, wo Anuj nahi hai. Parivaar ke bahar koi bhi ho, kabhi us pe aankh band kar vishwas nahi karna chahiye. Mukku ka parivaar aap hai, sirf aap.

Anuj: Mukku ke parivaar main tum bhi ho Anupama.

Aur tum khud Mr Shah ko apna parivaar manti ho, use ek achcha beta, achcha pita manti ho. Tum ne hi to mujhe us din samjhaya tha ki wo ghatiya insaan nahi hai.

Anu: Phir bhi waqt badalte der nahi lagti, aur waqt ke saath kai baar insaan bhi badal jate hai. Aap bahut selfish aur gair zimmedar (irresponsible) bhai honge agar aap is tarah Mukku ko chod ke chale jayenga

Anuj after a long pause: Nahi chodunga, Mukku meri sabse pehli zimmedari hai. main use kabhi chod nahi sakta.

Anu, cautious with checked feelings asked: to aap videsh nahi jayenge.

Anuj: maine aise nahi kaha.

Anu: matlab?

Anuj: Mukku bhi mere saath wapas USA chal rahi hai. Aapne project, Mr Shah aur bhai main se, us ne aapne bhai ko chuna hai. Hum itne saal dur rahe hai, ab aur nahi.

Mere haath main intezaar ki lakeer kuch zyada hi lambi hai. Maine 10 saal mukku ke bina guzaare hai, par ab nahi, Mukku ab hamesha mere saath hi rahegi.

Maine tumhara bhi 26 saal intezaar kiya hai, aaj bhi kar raha hu, tum mera pyaar ho, chodna to main tumhe bhi nahi chahta, par mera tum pe koi haq nahi.

Anu wanted to say, that Anuj has all haq on her but, she yet again stopped herself. She never wanted to come between the siblings.

-----------------------------------

Anuj: main janta hu tumhe Mr Shah ki chinta ho rahi hogi. Us ki partnership, us project ka kya hoga.

Anu: nahi wo main...

Anuj: koi baat nahi, main samjhta hu. Ye rishte kuch zyada hi ulajh se gaye hai. Dont worry, I will fund his project, he will get 2 years to start showing profit. Every quarter, my team will review his financial reports and progress. Haan agar aise nahi hua, to main wo project band kar dunga. Mr Shah capable hai, but kai baar uska ego beech main aa jata hai, wo cafe almost band hone pe hai. Anuj Kapadia ko bhi investors ko jawaab dena hota hai.

Anu: Anuj, aap bahut achche hai. Mukku ke chodne ke baad bhi, aap uske partnership ka dhyan rakh rahe hai.

Anuj: mujhe ye karna hi tha, do wajah se.

Ek, main nahi chahta wo Mukku ko business circle main irresponsible bole. Investors ne Vanraj ko nahi Anuj Kapadia ki behen ko haan bola tha. I need to protect Mukku's reputation.

Aur doosra, main janta hu, aaj bhi tumhari jaan us ghar main basi hai. Aur Mr Shah ka wo dream toot ta to Baa, Toshu aur tumhe bhi bura lagta. Aur ghar ke finance bhi thik nahi rehte.

-----------------------------------

Anuj: ek request hai tumse. Main nahi janta mere jane ke baad, yaha kya hoga. Tum wo restaurant complete karna chahogi, ya phir shayad wapas Shah house jana chaho.

Main tum pe koi dabav nahi daluanga. Par haan, ye restaurant maine mere Mummy Papa ko dedicate kiya tha. Isliye, main kabhi ise band hote nahi dekh sakta. Ye ek CSR initiative hoga, isliye tumhe kabhi ise Profit main chalane ka koi pressure nahi hoga.

Kuch Pal MaAn Ke SangWhere stories live. Discover now