Regret - 2

2.7K 149 4
                                    

F - Arré aap log ek doosre ko jaante hai ?

M & K- Nhi

They both shook their heads.

K(still looking at Monami) - Faizi , tu baat kar , main upar jaake bethta ho .

Faizi nods his head.

Later ,
That evening.

They returned back home after having a conversation.

In the academy :

Faizi and Karan were sitting in their room.
While faizi was on call , and Karan was listening to his talks.

F- Ji ammi , kahiye na kya baat hai ?

A - Beta , tumhe voh ladki pasand aayi ?

F- Nhi ammi , voh toh kaafi self centred ladki hai , usse sirf paiso se matlab hai , ameer ghar ki hai na , isliye puri money minded hai. Humne iss rishte ke liye mna kar diya hai.

Karan fisted his hand in anger , listening to Faizi's talk.

K(in mind) - Yeh Faizi , meri Monami ke baare me kya bakwaas kar rha hai !? Meri Monami toh sabse achi hai , self centred aur money minded toh bilkul bhi nhi hai . Khud se pehle doosro ki emotions ko samjhti hai. Yeh aisa kyu bol rha hai !?

A- Par beta , humne khud baat ki thi , uske papa se  , voh toh kaafi bhale insaan lag rhe the. Tum , tum sach keh rhe ho na !?

F- Ammi , aapko humari baat par vishwas nhi hai. Hum sach keh rhe hai.

A- Acha beta , ek baar Karan ko phone doge.

F- Ji ammi.

Faizi gave Karan his phone.

K- Namaste Aunty !

A - Namaste beta ! Karan , tum humari ek baat manoge.

K- Ji kahiye na.

A- Hume lag rha hai faizi jhut bol rha hai , tum ek baar usse baat karo , ki voh iss rishte ke liye mna kyu kar rha hai .

K- Ji aunty  , main baat karta ho usse.

They hung the call up.

F - Karan kya keh rhi thi ammi ?

K- kuch nhi , Faizi sach sach bta tu iss rishte ke liye mna kyu kar rha hai ?

F - Karan , hum btange toh tum humara vishwas nhi karoge.

K- Aisa kya hua hai, Faizi ?

F - Karan , hume voh mohtarma bahut pasand aayi , self centred aur money minded toh bilkul bhi nhi lagi , par usne jo humse kaha ,

Flashback :

Few hours back
In the cafe -

M- Faizi , isse pehle aap kuch kahe , mujhe aapse kuch baat karni hai.

F - Ji kahiye na mohtarma. Kya baat hai ?

M- Voh Faizi ,  main kisi aur se pyaar karti ho.

F(acts maturely ) - Acha , tu phir aap humse milne kyu aayi , aap apne papa ko bta deti ki aap kisi aur ko pasand karti hai.

M- Ji , voh actually , main jisse pyaar karti ho , ab voh mere saath nhi hai , matlab humne 2 saal pehle mutually yeh decide kiya tha ki hum breakup kar lenge. Par , abhi tak main usse bhula nhi paayi ho , aur main aage kisi aur se pyaar bhi nhi kar paungi. Toh isse main apni zindagi ke saath saath aapki zindagi bhi barbaad kar dungi. Isliye acha yahi hoga , ki aap iss shadi ke liye mna karde. Kuch bhi excuse bna dijiye , ki main self centred ho ,ya money minded ho .

Till you are with me - Moran Storiesजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें