In the Quest of the Truth!!!

583 38 28
                                    

She picked the call and sat on the bed...

P- Hello!

N- Hi Pakhi!

P- Kya baat hai aaj itne time baad meri yaad?

N- Strange na?
Par Tujhe khush dekhkar accha laga..

P- Tune mujhe kab dekha?

N- Areee...sun ke..theek hai?

P- Hmm...
Mai kuch soch rahi thi!

N- Kya?

P- Neha mai life me aage badhna chahti hoon...mai is ghar me nahi rehna chahti!
Aur Itna kuch maine galat kiya hai uske baad to bilkul bhi nahi!

N- Matlab?

P- I want to remorse for all the sins I did....mai to nagpur me bhi nahi rehna chahti...you know...mai Soch rahi thi ki...
(Continued her plan)

N- Pakhi....tu sahi me bilkul meri bestie hai!matlab...maine tujhe aise hi kaam se call Kara tha!

P- Matlab?

N- Sunn.....(told her plan)

P- Ok...not bad...infact bahut accha hai!...thank u thank u thank u..

N- Bas aram se!...

(After this they continued their random talks)

After cutting the call....

(Pakhi was thinking how to execute her plan.....and she hatched a plan)

Next day......

Everyone was sitting in the dining table when Mansi suddenly started crying....

Ash- Mansi Tai....kya hua?
Aap achanak ro kyun Rahi hain?

P(worried)- Aai....(patted her back)
Aai...kya hua Aai?

M- Kuch nahi!
Mai apne kamre me jaa rahi hoon!

(She went to her room)

BK- Pata nahi ye sab kab theek hoga...Humara Samrat jabse gaya hai...Tabse...
Patralekha...

P- Ji badi mami!

BK- Jao...dekho Mansi ko...aur khana bhi le jao!

P- Ho!

(She took the breakfast in her room)

P- Aai?

M- Patralekha.....tu jaa!
Mujhe bhookh nahi hai!
Mai kuch nahi khana chahti..

P- Aai...mai yahan apko khilane nahi aayi hoon!mai to soch rahi thi apke saamne baith kar kha loon!
To kya mujhe iski ijazat hai?

M- Aaja!

(She locked the door)

P- Aai....pehle to aap ye Pani pijiye..

(Gave her water)

P- Hmmm...ab mai aur aap is plate me se Khayenge...

M- Par maine abhi kaha na mujhe nahi khana!

P- Aai....agar mai apke sath baithungi...to akele kaise khaungi...mujhe accha nahi lagega na!
Aur mujhe accha nahi lagega to mai nahi khaungi..aur mai nahi khaungi...to mai beemar pad jaaungi...aur phir iska dosh bhi apke sar par..hmm?

M- Hmm!

P- To chaliye ab muh kholiye...aur kha lijiye!

(She started feeding her with her hands)

P- Good!
Ab boliye Aai kya hua?

M- Aaj ke din Samrat ke baba hum dono ko chod ke gaye the...waise to mujhe unki bahut yaad aa rahi hai...par is waqt mai bas Samrat ke baare me soch rahi hoon!

Tere Bina Jiya Jaye NaWhere stories live. Discover now