PART 7

660 63 6
                                    

In art studio

Shivaay enters and sees nihu sleeping keeping her head on gauri's lap and om was caressing her. They see shivaay who smiles seeing nihu sleeping peacefully clutching gauri's hair.

Om gives shivaay space. Shivaay sits. As soon as shivaay sits nihu keeps her legs on him. Omru smiles.

Rudra- bhaiya i can't believe jo shivaay singh oberoi sab par rule karta tha aaj usi par ek che saal ki bacchi ne apne pair rakhe hai

Om chuckles- and most importantly shivaay singh oberoi kuch bol bhi nahi paa raha...teri height se bada attitude kaha gaya shivaay

Rudra teases- are o attitude nahi tadi

Om teases- oh yes tadi...shivaay where is your tadi

Shivaay glares at them both.

Rudra- aur o aapne notice kiya shivaay bhaiya aaj kal har baat par sorry bolte hai...pehle thankyou aur sorry bolne me unhe do mahine lagte the

Om chuckles. Omru hi-fi.

Shivaay smiles- ok...just stop it ok

Bhavya- bhaiya aapne solution nikaal liya

Shivaay looks at her and nods.

Om- shivaay what was the solution

Shivaay looks at nihu- kal anika aa rahi hai...aur parso raat ko main nihu aur anika vapis london chale jayenge...jo tickets next week ki thi maine parso raat ki kara li aur jo kaam india me tha mujhe vo main tab tak kar lunga...ham vapis chale jayenge...vaha nihu ko koi pareshan karne wala nahi hoga...she can stay freely jo yaha possible nahi hai

Om angrily- u know what rudra sahi keh raha hai tu bohot badal gaya shivaay...kyoki jis shivaay ko ham jante the na usme bohot tadi thi lekin vo shivaay kabhi problems se bhaagta bhi nahi tha...usme musibat ka saamna karne ka jazbaa tha...jo is shivaay me nahi hai

Shivaay looks at om- vo shivaay musibat ka saamna apni family ke liye karta tha aur aaj jo shivaay tere samne hai vo bhi apni family ke liye hi yaha se ja raha hai...main nahi badla om tera nazariya badal gaya hai logo ko judge karne ka

Om gets speechless.

Shivaay caresses nihu- agar tumhe lagta hai main problems se bhaag raha hu toh sochte raho vaise...i don't care

Gauri softly- aur jab nihu ko pata chalega ki uske papa ne musibat ka samna nahi kiya toh vo kya sochegi...is baat se bhi aapko fark nahi padta bhaiya

Shivaay looks at gauri.

Gauri continues- bade bhaiya hamne omkaraji aur baaki sab se aapke baare me jitna suna hai aur aaj aapko jitna dekha hai ham jante hai aap me aaj bhi sabke samne aakar ladne ka hausla hai lekin aapko dar is baat ka hai ki nihu par in sab ka kya asar padega...aap nahi chahte ki nihu ka bachpan bhi aap teen bhaiyo ke bachpan ki tarah ladaiya dekhkar nikle

Shivaay- jab tum samajh gayi mere jane ki vajah toh kyo rok rahi ho mujhe

Gauri- kyoki hamne dekha hai omkaraji aur rudy bhaiya ko aapko yaad karte huye...ghar ke har kone me aapke obro moments yaad karte huye...roz dadi mandir me aapke vapis aane ki prarthna karti hai...jab bhi khana khati hai toh unki aankhe nam ho jati hai kyoki hamesha aap teeno unke sath khana khate the...prinku jab bhi phone par baat karti hai toh aapka naam lete hi rone lag jati hai...maaji hamesha kehti hai ki agar unka bada beta unke sath hota toh vo aur aap barfili jagah ghumne jate...choti maaji roz aapko yaad karti hai...

Shivaay interrupts- gauri in sab ki kadra hai mujhe...lekin tum log ye kyo nahi samajh rahe ki ab meri life me anika aur nihu bhi hai

Om- shivaay vo dono bhi ab oberoi family ka part hai...they are oberois

Shivika ff: pyaar ho hi gayaWhere stories live. Discover now