SiMi

1.4K 82 16
                                    

The hanger area of PSAF is beautifully decorated. There are numerous commandoes, high ranking officers, and ministers all around. The family members of the cadets are seated there too and why not afterall its the convocation ceremony of the first batch of Ghar Ghar Mein Soldiers Programme. All the trainers are standing with proud faces and all the cadets are standing in uniforms.

Batra Sir is standing on the stage giving a speech....

B: A very warm good morning ladies and gentlemen. Jab maine yeh mission Ghar Ghar Mein Soldiers program ko start kiya tha, tab maine yeh toh socha tha ki isse kamyabi zarur milegi but voh kamyabi itne bade parmane pe milegi yeh nahi socha tha. Iss programme ki success ka shray agar kisi ko jata hai toh voh hai mere iss programme ke trainers jinhone na sirf isse successful karne ke liye din raat mehnat ki hai balki apni jaan dekar bhi isse salamat rakha hai. Jab yeh safar shuru hua hum sab alag alag the par aaj jab hum manzil pe pahunche hain toh ek parivaar ki tarah hai. Haan humne aapne kuch sadasyon ko raaste mein khoya hai lekin hum unki shahadad ka jashn manate hain. Ab mein stage pe bulana chahunga iss training programme ke best cadet ko aur mantri ji se anurodh hai ki voh isse sammanit karein.

Then Minister Sir came on stage and a staff brought a trophy.

B: So please welcome on stage the Best Cadet of Ghar Ghar Mein Soldiers Programme Mr. Siddharth Ganju.....

Siddharth marched upto the stage and took the trophy. After that minister sir went back to his seat whereas all others were giving standing ovation to the best cadet.

B: Now I would handover this mic to Mr. Siddharth Ganju who will be sharing a few words with us.

Siddharth then went to the pedestal and started his speech....

S: Good morning everyone. Aaj main bahut khush hoon isliye nahi kyunki aaj mujhe best cadet ka award mila hai, balki isliye kyunki aaj maine apna voh vada pura kiya hai jo maine aapne aap se kiya tha : Apni Monu Bro ke best cadet banne ka sapna pura karne ka. Aaj mere yahan khade hone ke piche do logon ka haath pehei meri best friend meri jaan meri Monu Bro aur dusre Karan Sir aur badkismati se aaj yeh dono hi mere saath nahi hai. Lekin inke na hone ka dukh manake main inke desh ke prati apne jivan ke balidan ko chota nahi karunga. Yeh best cadet ki trophy jitne ke bare mein maine kabhi socha nahi tha kyunki yeh main janta tha ki yeh trophy Monami Mahajan ke naam ki hai. Aur aaj yeh mere pass hai kyunki Monami Mahajan ko isse bhi zyada kimti cheez mil gayi. Usse voh tiranga mil gaya jiske liye hum sab jite hain, jismein lipatne ka sapna hum humari ankhon mein sajate hain aur dushmano ko jadh se ukhadte hain. Hum 4th standard mein the jab pehli baar mile. Monu naak mein ungli daalke khidki ke bahar dekh rahi thi. Uss din humari dosti ki shuruaat hui 2nd July 2002, haan aaj coincidentally humari 20th friendship anniversary bhi hai. Aur yeh trophy mera apni 20th friendship anniversary pe Monu ko gift hai. Bachpan se usne emotionally bahut struggle kiya par vahi meri sabse badi strength thi. Actually aaj bhi hai. Meri mom ki death ke baad it was she jo meri life ki iklauti roshni ki kiran thi. Usne mujhe na kabhi akela choda na kabhi mom ki kami mehsus hone di. Dad se har baar jhagda hone ke baad jab main udaas hota tha tab voh thi jo mujhe sukoon deti thi. Mom ke jane ke baad jab bhi unki yaad aati thi it was she jo mujhe apni godh mein sulati thi. Uska ek hi sapna tha apni mumma ke jaisa banna. Voh Juhi maa ki tarah ek army doctor banna chahti thi desh ke liye kuch karna chahti thi. Uska army doctor banne ka sapna toh pura nahi hua lekin desh ke liye kuch karna ka lakshya usne bakhubhi paaya hai. Jab Ghar Ghar Mein Soldiers Programme announce hua maine usse kaha tha ki voh yahan janr ke badle kisi adventure camp chali jaye. But she was determined enough. Voh Walnut, I mean apne papa se jab academy aane ki permission nahi maang paa rahi thi tab maine usse kaha tha ki usse duniya ki best fattu ka award milega ekdin. Tab usne meri ankhon mein ankhe daal ke kaha tha ki ek din usse best fattu ka nahi balki best cadet ka award milega. Uss din uski ankhon mein ek aag thi. Uske jane ke baad uski shahadat pr roke main uska mazak nahi banana chahta tha isliye uski shahadat ko celebrate karne ke liye aaj maine yeh best cadet ki trophy jiti hai. Monu Bro aaj tu jahan bhi hai I know tu mujhe vahan se dekh paa rahi hai. So please dekh maine tere best cadet banne ka sapna pura kiya. Aaj bhale hi tu physically humare saath nahi hai but jab tak tera Sid Bro zinda hai uski Monu Bro bhi zinda hai. Meri har saans joki aab iss desh aur desh wasiyon ke naam samarpit hai usmein hai. Mere dil mein hai jo aaj desh prem se desh ke prati nishtha se bhara hai, meri uniform mein lage har stars mein hai jo meri garima hai aur aage main jo bhi karunga usmein bhi tu rahegi kyunki mujhmein yeh sare emotions tune dale hain varna main toh ghar mein aag lag jane pe bhi sofe pe baitha baitha Mohan kaka ko awaaz lagata rehta ki Mohan kaka aag lagi hai bujha do. It was you jisne mujhe Siddharth se Sid banaya tha aur phir tuhi mujhe chodke chali gayi. Mujhe Sid se vapas Siddharth banke. But I am grateful ki meri life mein jaate jaate tune khud ek roshni ki kiran di desh seva ke lesson ke roop mein. Agar tu aur Karan sir nahi hote toh aaj main khudke potential ko na pehchan pata nahi nalayak se best cadet Siddharth Ganju bann pata. Karan sir voh insaan the jinhone mujhe mauka diya khudko prove karne ka voh bhi tab jab mujhe khudpe confidence nahi tha. Voh hamesha kehte the ki ladkiya ladkon se kahi zyada mazboot hoti hai. Aur Monu bro se better example mujhe nahi pata jo iss baat ko prove kar sake. So now I would conclude my speech with a song dedicated to my Monu Bro urf Late Cadet Dr Monami Mahajan.....

Kisse KahaniWhere stories live. Discover now