𝑰𝒛𝒉𝒂𝒓

419 19 80
                                    

Woh dono bethi kuch baatein Kar rhi thi ke kuch sochne pe sara boli

"Zohra beta tumhe us larke ke ghr ka kuch pata hai"

"Nahi tou aunty"
Zohra ne jawab diya

"phr unko bulaye ge kese"

"Ap fikar na kre aunty when Zohra is here so no worries"

"bharosa hai mujhe Zohra tum pe"

"shukriya aunty bas humesha ye bharosa kayam rakhna"

"konse bharoso ki baatein horhi hai yaha"
Waha Aati Amira ne in sey pucha

"Kuch bhi tou nhi"
Zohra muskura Kar boli

"Zohra tum chup hi raho ami ap bataye"

"Zohra ne kaha tou hai kuch bhi tou nhi"

"ami ap bhi matlb paka ap dono ki team bani huwi hai "

"Aunty and Zohra ki team always best"
Tang aake Amira waha se chali gyi
......
Bakery se bahir nikate huwe Amira ki nazar phr se us shaks pe pari jo Ke ajj neele rang ki shalwar kameez sth mai kale rang ka chasma phene huwe khara tha.
"ye tou wahi haina"
Amira ne Zohra ko sar ghoshi ki

"Arey ap yaha"
Apni ankho se kala chasma utarte huwe muskuraht chehre pe sajaye huwe bola

"Jee aur ap yaha"

"Shukar ap mujhe yaha mil gyi, us din ke baad dikhi hi nhi ap "

"Kyu ap mujhe dhud rhe thy"

"Han yun hi samjiye"

"kya matlb"
Amira kuch na samjhi se boli

"Mujh se shaadi kre gi"

"Kya"
Amira ki ankhe phati ke phati reh gyi

"yahi ke mujh se shaadi kre gi"

"kya kaha apne"
Amira ko ab tak yaqeen na aya tha woh Kya bol raha hai

"Miss Amira Zaouf kya ap Zayd khan se Nikkah kre gi, kya ap zayd khan ki izzat ban na chahe gi kya ap Zayd khan ke dil ki hukarmarani krna pasand kre gi, kya Ap is shaks ko apna shohar Qabool kre gi"

"Jawab dijiyega hum apke jawab ke muntazir hain"
Uske kehne ki dair thi ke Amira kuch soche samjhe bagair waha se bhaagne lagi

"arey ap bhag kyu rhi hain jawab tou dete jaye"
Bina kuch kahe Amira waha se bhag gyi.

"ye lo"
Zohra ne ek choti si chiiti Zayd ke hath thamayi

"ye kya hai"

"apki manzil"

"Shukriya Behn"
Muskurahat ke sth kaha
......
Ghr aate Amira sidha apne kamre mai chali gyi aur yaha waha thelte huwe sochne lag gyi.
Amira waha se isliye bhagi thi ke shyd uske pas usko jawab dene ke liye koi alfaz nhi thy, Haan us shaks ne Amira ke dil mai jhaga zaroor bana li thi magar ajj yun uska Amira se shadi krne ka puchne ne Amira ko herat mai Daal diya tha kyu tha ye shaks itna acha kyu itni izzat se pucha isne.

"kyu aye tum meri zindagi kyu mere is dil Ko apna bana liya kyu tumhe dekhne ke baad mere hosh ud jate hain sirf do mulakato mai kyu mujhe apni taraf kich liya"

"Haan shyd Kar bethi hun tumse mohabbat ya phr bas tumhara apne pas hona Acha lagta hai"
......

"kya bhai apne sidha propose kr diya"
Woh heran hote huwe bola

"tujhe ye bhi pata lag gya"
Woh uski taraf dekhte chokane andaz mai bola

"apni in do ankho se dekha hai aur in do kano Se suna hai maine"
Phele apni ugli se ankhe ki taraf phr apne kano ki taraf hishara krte huwe woh bola

ʀᴀᴀʙᴛᴀ√Where stories live. Discover now