Vasl-e-Yar

288 16 73
                                    

Subha ke aat(8) baj rahe thy... Woh musalsal khomoshi iktiyar kiye bethi thi... Woh apni khala ke ghar mai hi reh rahi thi jab se pakistan ayi huwi thi.... Ghar do portion ka tha lekin behad khoobsoorat aur well maintainas ke sath... Upar ke portion mai woh aur Zohra theri thi...

"As-salamu alaykum "
Usse kisi ki awaz sunayi di thi

"Walikum'assalam"
Amira ne fori tor par jawab diya aur woh uske samne wali kursi pe tashreef la chuka tha

"kya soch rahi thi?"
Usne sawal kiya

"kuch nahi... Bas aese hi"
Chai ka cup ab usne samne table Pe rakh dala tha

"tum batao kaha thy ek hafte se"
Usne baat badalna chahi Jabke woh ussi ko tajasus se dekh raha tha

"mai Lahore gaya huwa tha lekin tum batao sach sach kya soch rahi thi"

"Maine kaha na kuch nahi"
Uske kehne pe woh mutmeen nahi huwa tha

"Amira..."

"Salar maine keh diya na tou bas"
Woh bagair sunne waha se jane ko uthi thi jab usne foran sanjeedgi se kaha

"cheezo ko apne andar dabane se maslo ke haal nahi milte... Thek tou sab kuch khoshishoon se huta hai"
Woh Salar ko sunne ek dam heran hui thi lekin uski baat bakhoobi jaan chuki thi aur woh khud bhi tou khoshish hi tou karna chahti thi sab kuch thek karne ke liye

"Amira, kya tumhe lagta hai mujhe kuch nahi pata... Yar for God sake iam your childhood friend ain't i?"
Amira uski baat pe apna sar hami mai hila bethi

"tou... Kyu mujhse sab kuch chupaya"

"jab tumhe pata chal gaya hai tou phir puch kyu rahe ho"

"har baar ke tarah Sara aunty hi mujhe sab batati hai nakay tum, tou iska matlab yehi huwa na ke mai tumhare liye ek dost ki hisiyat nahi rakhta"
Uski ankho mai afsos tha... Amira ko bura lag raha tha...

"Salar tum aese baat ko bhara do ge aur i seriously don't wanna argue with you"
Woh calmly hoke usko smajhane lagi

"nor I want to, just tell me Amira am i not trust able?"

"it's not like that Salar please try to understand"
Woh apni aur Salar ki dosti apni mohabbat jese tor nahi sakti thi, woh Salar ko Zayd jesa dhuk nahi puchana chahti thi..

"you know na you are so special to me"
Woh Amira ki ankho mai dekhe bola tha... Amira uski liye waqaii bhut ahem thi...ek dost ki hesiyat se aur usse bhar Kar ek behn ki hesiyat se...

"tum bhi mere liye bhut khas ho Salar i can't afford to lose you"
Woh bhi muskuraha Kar boli lekin woh kaha janti thi ke uske yeh alfaz sunne koi apni ek akhiri umeed tutte dekhe ga..

"Ap ja rahe hain, hogayi apki baat Amira se?"
Zayd ke jaldbaazi se jana dekhe Zohra piche se boli thi... Abhi usko aye thek Das (10) minutes bhi nahi huwe thy ke woh wapis bhi ja raha tha...

"kaha... Woh tou masroof hai"
Usne peche mure bagair jawab diya lekin uski awaz se uska hichakahana mehsos ho raha, na jane kyu Zohra ko lag raha tha woh roo raha hai lekin kyu? Kya mazid tou kuch nahi bigar gaya, lekin Zayd ne kaha woh masroof hai aese kese woh masroof aur apne Zayd se na mili ho jabke woh tou issi lamhe ki muntazir thi... Zohra apni socho ko dabaye Amira ke kamre ki taraf bhari thi...

Haan.. Zayd waha mujood tha jab Amira ke muh se woh alfaz ada huwe thy haan woh aya tha ajj apni Amira ko wapis pane.. Unke bich ki duriyaan khtam karne... Ek nayi shuruwat e zindagi karne lekin kaha waqt ne usse yeh mohlat bhi cheen li aur badle mai tooti umeed ke sath wapisi behjwa diya...

"Amira"
Woh Amira ke pas aye usko bulane lagi, jabke woh aur Salar kisi baat pe has rahe thy

"Han bolo Zohra kya huwa?"
Amira uske herani wale chehre pe nazar dale boli...

ʀᴀᴀʙᴛᴀ√Where stories live. Discover now