Azal

334 15 76
                                    

Yuhi ek mahina guzar chuka tha ajj woh apni maa ki goud mai sar rkhe leti huwi thi uski maa uske baalo mai hath piroye usne puchne lagi

" kya huwa Amira kyu itni khomosh ho "

" Ami ek baat Puchun "
Apni ami ki taraf dekhte huwe pucha

" Han puchu"

"Ami kyu hum insaan apni zido mai sab kuch kho Beth te hain"

"ye sawal agar tum khud se puchu gi tou mazid acha hoga"

"Ami jaanti hun maine galti khair maine jo kiya hai uske samne galti lafz chota sa hai, Par kya ami mai apni is galti ko sudhar nahi sakti"

Apni maa ki goud se sar utha Kar usne kaha

"Amira mazeed kuch na karna tumhari galti sudharene ke chakkro mai kahi unko mazeed takleef puchi tou"

"Ami yaqeen kare mai esa kuch nhi krun gi"

"Ami ek aur baat Puchun"

"Han kaho"

"Ami hum apne ghr wapis kyu nahi jate"

"konsa ghr Amira yahi tou hai humara aur hum apne ghr mai tou hain"

"Ami Pakistan wala ghar"
Sun Kar sara choki thi

"kya kare ge waha ja kar"

"Ami waha bohot si yaadein Hain humari"

"yaadein wahi yaadein jin yaado ka badla tumne nafrat se chuka diya"

"Ami mai jeena chahti hun un yaado ko akhiri baar jeena chahti hun lekin is baar mohabbat se"

"na kro esi zid Amira"
Uski maa ne dar ke wajood mai kaha tha

"Akhiri zid hai ami iske baad paka sari zindagi koi zid nhi krun gi"
Woh kisi bache ki tarah boli jo apna man pasand kholona lene ki khuwaish Kar raha ho

"toot jao gi"

"woh sambhal le ga"

"woh kyu sambhale ga"

"mohabbat karta hai mujh se"

"agar ab na karta ho tou"

"uski mohabbat meri mohabbat jesi tori hai, mai tou haar gyi mohabbat mai aur woh jeet gaya"
Afsoos nadamat Amira ke Chehre pe saaf mujood thi

"na kro Amira esa... tum Pakistan nahi jao gi"

"mai tou jaon gi"
Woh apna akhiri faisla suna chuki thi

"dhudti rhe jao gi woh nahi mile ge"

"dhudne se tou Khuda bhi mil jata hai phr khuda ke bande kyu nahi"

"Amira bache soch lo akhiri baar rul na jana"

"soch liya hai Ami ab tou Har toofan Har aziyat se guzarne ko tayar hun"

"Allah tala tumhari madad farmaye"

...
MORNING 7AM

"Amira bache dehan se jana aur agar kisi cheez ki zaroorat ho tou mujhe ek call Kar dena aur.."

"Uff ho baba mai konsi jhag ke liye ja rhi hun"
Apne suitcase Mai zaroorat ki cheeze dalte huwe woh Muskurahat liye apne baap se kehne lagi

"ye bhi koi jhag se kam tori hai"
Kitchen se aati sara ne kaha aur Amira inki baat pe halka sa muskura di aur dil hi dil mai kehne lagi *ek din ye jhag bhi jeet lun gi mai par is baar mohabbat se*

"chale Allah hafiz mai ab chalti hun"

"wapis Kab aao gi"
Sara ne fikarmandi se pucha

"jab maqsad pura hojaye ga"

ʀᴀᴀʙᴛᴀ√Where stories live. Discover now