Chapter 9: The Reason She Leaved

2.3K 148 11
                                    

In last part, Akshara bonded with the Birlas nicely and specially with Manjiri... Later she met singhania' she had emotional moments with them. Later she was asked about her time with goenka' which made her uncomfortable and she blurted out about her license getting cancelled... This revelation leaved the people shattered...

As she blurted everything her vision started getting weak and she felt out of breathe which was surely a panic attack, Abhimanyu asks others to go outside while he tries to get control of her panic attack... 

In Corridor...

Krish: Papa ye Akshu kya bol rahi thi... License cancel hua and all! 

Kirti: Shayad koi bura sapna dekha hoga...

Naksh: Nahi kirti jaise princess baat kar rahi thi... Lag nahi raha tha ki wo sapne ki wajah se tha... 

Kirti: Par Naksh aap ko bhi pata hai ki woh jo bol rahi thi wo...

Naksh: Janta hoon, Aur wahi baat pareshan kar rahi hai ki Kaise?

Kirti: Mein goenka' mein kisi se puchu kya? Unhe pakka pata hoga...

Naksh: Nahi!

Krish: Toh kya kare Papa? 

Naksh: Mein dekhta hoon kisi source se pata chalta hai kya...

Kirti: Naksh jo bhi karna hai jaldi karna hoga, Akshu ko aur jyada pareshani nahi honi chahiye...

Naksh nodes...

Abhimanyu comes out of Akshara' ward.

Krish: Abhi... Akshu kaisi hai?

Abhimanyu:...

Kirti: Abhimanyu kuch bolo na...

Abhimanyu: Thik hai wo... Rest kar rahi hai! (he said while trying to calm them)

Krish: Thank God...

Naksh: Beta usne uss bare mein kuch bola kya?

Abhimanyu: Nahi uncle...

Krish: Abhimanyu I think hame pehle akshara se puchna chahiye ki woh aisi behki behki baatein kar rahi thi...

Abhimanyu quick reaction was a big NO: Nahi, Krish we can't akshu ko panic attack aaya tha ye baat bolte bolte, agar firse kuch hua toh? We can't take risk...

Naksh...

Abhimanyu: Mein information nikalwata hoon, agar license cancel hua tha toh pakka koi badi baat hogi, mein bhabhi se puchta hoon woh journalist hai toh shayad unhe kuch pata ho...

Krish: Par abhimanyu agar aisa kuch hua hi nahi hoga toh? Aur tum bol rahe ho ki tumhari sister-in-law ko pata hoga but kaise abhimanyu yaha akshu ko janta hi kaun tha jo baat badi hue hogi!

Naksh: Galat bol rahe ho Krish, Hamne kitna bhi nahi bola fir bhi akshara goenka khandan ki poti hai... Hum log Udaipur se bahar gaye bohot saal hogaye par goenka' yahi par the aaur unka naam bhi bohot bada hai yaha par... Agar aisi kuch baat hue thi toh pakka news mein aayi hogi...

Abhimanyu: Goenka' ki poti? You mean those were her Paternal Family?

Kirti: Haan abhimanyu, Woh akshu ke papa ke gharwale hai aur mere bhi... Jaise Akshu naksh ke behen ki beti hai waise hi wo mere bhai Kartik ki bhi beti hai... Kuch reasons ki wajah se dono families alag hogayi aur akshu hamare sath rehne lagi... 

Then the Singhania' tell him the big fat GOENKA and SINGHANIA' love cum hate story... Abhimanyu was stunned listening him, he was now connecting the dots when she left him with 1 letter... 

Flashback...

Abhi... 

Mujhe pata hai ki tum mujhse iss letter ko padhne ke baad naraz hojaoge... Par abhi mujhe life mein pehle baar mere papa ki family ne bulaya hai... Mujhe nahi pata ki woh mujhe kaise accept karenge ya nahi karenge... mein apna naya number tumhe SMS kar rahi hoon jab mein message karungi tab hi tum mujhe milne aana... Mere ek family ne tumhe accept kiya hai hame accept kiya hai ab meri dusri family se milwana chahti hoon... Uske tum bhi milwa na mujhe mere mumma papa se I mean tumhare mumma papa se jo jald hi mere bhi mumma papa banenge... Par abhi please tabtak mujhe contack mat karo... I mean i really don't know them, mujhe pata nahi hai ki wo log kaise react karenge, kya bolenge and I don't want to ruin anything so please meri jaan mujhe promise karo ki tum mera wait karoge... 

Tumhari Jaan... Dr. Akshara

Abhimanyu' POV: After this letter I waited for few days but not recieiving any reply I started searching her... I called her alternate number but it was unreachable I asked to naksh mamu he also replied the same thing... I was partially angry on her for leaving me with one stupid note... But after fucking 2 years I saw in that state, Where it was uncertain that will she survive or not... then I got to know that the people who brought her here are her so called family... I want to know the reason behind her state... I want to know the reason behind that mischief

POV ENDS...

Abhimanyu: But mamu I remember jab wo ja rahi thi... Mujhse mili nahi thi par letter diya tha ki wo bohot jald sab thik karegi aur mujhse contact karegi... Aur....

Naksh: Aur usne nahi kiya... Beta pehle kuch din toh sab accha hua fir pata nahi kya hua achanak se usne mujhe call kiya aur bola ki MAMU YAHA KISIKO PASAND NAHI HAI KI MEIN AAP LOGO SE BAAT KARTI HOON, TOH MEIN AAPSE KUCH DIN BAAT NAHI KARUNGI... Itna bolke usne hamse baat karna band kardiya, Meine bohot koshish ki pata lagane ki par kuch pata nahi chala... Pehle pehle akshu message karti thi par baadme wo bhi band hogaya... Uske baad aaj 6 mahine baad meri bacchi ko dekha hai uski aawaz sunn raha hoon... 

Abhimanyu with teary eyes: Ham sabne hamari akshu ko chhod diya... Use itna akela kardiya ki aaj wo, sabse milne ke liye bhi darr rahi hai... I just hope ki wo jaldi thik hojaye...

Kirti: Abhimanyu tum bata sakte ho kya ki akshu kab tak better feel karegi? I mean atleast darna band karegi...

Abhimanyu: To be honest I can't tell but let's hope for the best... aaj bhi dekha na aap logo ne akshu kitne acche se respond kar rahi thi sabko par flashes aaye aur fir se wo darne lagi... So jab flashes aana band honge tabhi akshu puri tarah se thik hogi...

Krish: Hmm... Mumma-Papa aap log thak gaye honge ghar jayiye aap mein hoon yaha akshu ke sath...

Abhimanyu: Krish tum bhi ghar jao mein hoon akshu ke sath aaplog kuch der aaram karke wapas aayiye... Aur hospital hamara hi hai toh akshu ko bhi koi pareshani nahi hogi and mein bhi toh hoon na yaha 

Naksh: Mein kahi nahi jaraha apni princess ko chhod kar... 

Abhimanyu: Mein chhod ke jane ke liye nahi bol raha mein toh bas thodi der ke liye aaram karne ko bol raha hoon, warna pata chala puri family yaha par admit hai... 

Krish: I think abhimanyu thik keh raha hai... 

Kirti: Hum log jate hai aur mein krish ke sath akshu ka dinner bhijwati hoon... Tab tak krish bhi aaram kar lega...

Naksh: Mein yaha rukta hoon thodi der tabtakk tum bhi apna kaam nipta lo... Pata hai tumhara hi hospital hai par baki patients bhi honge na...

Abhimanyu: Sounds perfect... Mein half n hour mein wapas aata hoon, kuch cases bhi handover karne hai!

After this conversation naksh goes and sit near akshu, kirti and krish goes home and take some rest... Abhimanyu wraps up his work after sometime abhimanyu returns to akshara' ward and naksh goes home... For abhimanyu it was it was first time in a while he had alone time with akshara, he was tensed for her but not worried... He was sitting silently observing her through out... She was thinner than before, her eyes had dark circles, her veins were blue but she was sleeping peacefully her peace was visible on her face... 

Was she peaceful is all manner or this was a silence before storm?

-.- 

Flewww!!!

Tell me how's the part...


Almost everybody voted for ABHIRA REUNION on my other story so the SS will come soon... (\/)

Her CompanionWhere stories live. Discover now