Icecream chor

812 115 36
                                    

Virat and kids were at SaiRat's room. Savi was sitting in between Vinu & Virat reciting her dinosaur and police stories.

Savi - Baba mujhe icecream chahiye.

Virat - Kya.... icecream... iss wakt (shocked)

Vinu - Ha Baba mujhe bhi icecream khani hai.

Virat - Vinu bada Savi toh choti hai, tum toh bade hona. Tum bhi aise keh rahe ho.

Savi - Kya yaar Baba, Vinu dada bhi toh chote hai. Agar mein icecream khaungi toh, vo bhi icecream khayenge.

Virat - Aur kisne kaha ki tum icecream khaogi 🤨

Savi - Baba.....😩

Virat - Koi Baba vaba nahi, bohot raat ho gayi hai ab kisiko icecream nahi mil sakti. Aur agar tumhari Aai ko pata chalana toh tumhe bohot daat padegi aur tumhare saath saath mujhe bhi daategi.

Savi - Are Baba kisiko nahi pata chalega.

Vinu - Ha aur hum bas ittu si icecream khayenge 🤏

Savi - Ha ittu si 🤏

Virat - Par baccha tum dono ko cold ho jayega, hum kal khayenge na. Full one cup khayenge, okay par abhi nahi.

Savi - Please na Baba please.

Vinu - Please Baba maan jao na.

Both started using puppy eyes and all the innocence they had 🥺😗

Virat - Thik hai par jyada nahi. Aur next two days aap dono mein se koi icecream nahi khayega 🤨

Savi/Vinu - Ho 😁

Virat - Aur koi awaaz nahi karega, tumhari Aai ko pata chalega toh hum teeno gaye (he said while they nodded)

They quietly sneaked out of the room and tip toed towards the kitchen. Virat served a small quantity of icecream in two bowls and handed it to them. They were enjoying their icecreams, while here Sai woke up. She searched for the water filled jug, but was not able to find it.

Sai - Yaha toh pani hai hi nahi (sleepy) kitchen mein jake hi pi leti hu.

She then walked towards the kitchen and  switched on the lights. Her eyes widened, when she saw both Savi and Vinu feeding icecream to Virat. They too were shocked to see the lights on and Sai standing in front of them.

Virat - Sai.... (gulped the icecream with fear)

Sai - Ye yaha kya ho raha hai (she said with anger in her voice)

Savi - Aai vo hume icecream khani thi 😥

Sai - Ye koi time hai icecream khane ka 🤨

Virat - Sai vo...

Sai - Mein aap se nahi, jiske haath mein icecream ke bowls hai unse puch rahi hu 😤

Vinu - Aai aap Baba ko mat daato, humne  hi zid ki thi 😓

Sai - Aapne zid ki aur inhone maanli (shouted) aur tum dono ko itni raat mein, icecream kyu khani thi. Tumhe pata nahi hai, itni raat ko icecream khane se tumhe cold ho jayega 🤨

Savi/Vinu - Sorry Aai, hume icecream nahi khani chahiye thi 🥺

Virat - Sai ab shant ho jao, baccho pe gussa mat ho. Maine bas unhe thoda hi diya tha, isse unhe cold nahi hoga (said calmly)

Sai - Thoda ho ya jyada kya ye aap unhe kal nahi de sakte the, agar inki tabiyat kharab ho gayi toh?!

Virat - Savi, Vinu andar jao. Mein abhi aata hu (and they left)

Sai - (angrily) Aapne unhe kyu bheja kya samajhenge vo, ki aage vo kuch bhi kare unke Baba unhe bacha lenge.

Virat - Sai aisa kuch bhi nahi hoga vo bacche hai, isliye zid kar rahe the. Maine unki zid aise hi nahi mani, maine unse kaha tha ki mein unhe bas thodi si hi icecream dunga. Varna unhe cold ho jayega aur next two days vo icecream ko haath bhi nahi lagayenge.

Sai - Virat ye baat icecream khane ki, ya na khane ki nahi hai. Baat unki zid manne ki hai, agar aap unki zid manne lagenge toh vo roz aapse aise hi zid karenge. Aur aapne abhi unhe aise jaane ke liye kaha, toh vo samajhenge ki unki galati sahi hai. Aapko ye nahi karna chahiye tha, kya yahi sikhayenge aap unhe 🤨

Virat - Dekho Sai meri galati ke liye, I'm sorry. Par vo hamare bacche hai vo humse zid nahi karenge, toh aur kisse karenge. Mujhe pata hai ki tumhe unki tabiyat ki chinta hai, mujhe bhi hai par unhe itni choti si baat ke liye daat na mat. Unpe iska galat asar pad sakta hai, unhe kal shanti se samjhao. Savi, Vinu samjhdaar hai aage se aise nahi karenge. Aur agar tum mera gussa unpe nikal rahi ho, toh ye tumhari galati hai. Mujhe pata hai ki tum mere saath uncomfortable ho, tum naraz ho mein samjh sakta hu. Isliye mein Savi ke birthday ke baad police quarters shift ho raha hu, Vinu bhi tumhare pass hi rahega. Aur mein dono ko samjha bhi dunga, ki mere office ke kaam ke liye mujhe vaha shift hona padega. Par unse roz milne aaunga, ab aage meri wajhse tumhe koi problem nahi hogi. Aur unhe daat na nahi, good night (and left the kitchen)

Sai was standing there in tears as soon as Virat left, she realized her mistake. Virat to went back to the room with tears, he saw both Savi and Vinu had already slept.

Next morning,
Sai was preparing the dining table, when she saw both her monkeys coming out of the room.

Savi - Aai jaldi se nashta dedo bohot bukh lagi hai.

Vinu - Ha varna hum school ke liye late ho jayenge.

Savi/Vinu - Aur kal ki mistake ke liye, we are sorry (said holding there ears)

Sai - Sorry se kuch nahi hone wala, tum dono ko murga banna padega.

Savi - Kya...

Vinu - Murga 😧

Sai - Ha kyu, kabhi kisiko murga bante hue dekha nahi tum dono ne 🤨 Ab jaldi se dono murga bano, tabhi tum dono yaha se hiloge. Aur nashta karne ke baad
tum dono ko ek full glass doodh pina padega, ye tum dono ki punishment hai.

Savi - Aai murga toh ban rahe haina, par doodh kyu 😩

Sai - Punishment hai bada.

Vinu - Par Aai technically toh mein murga aur Savi murgi banegi na.

Savi - Dada... (she glared at him)

Sai - (chuckled in her mind and fake glared at Vinu) Hmmm...

Both followed her orders and completed their punishment. Virat smiled because she realised her mistake and handled the situation in Sai Joshi's style 😎😌

___________________________________________

Precap - Savi's birthday🥳

Hey guys the story will come to an end very soon, so had to ask this. Will you like to read an epilogue of the story, so that I can prepare some ideas for it.

Hope you'll like the chapter ☺
Lots of love ❤
See you in the next chapter, Bye 👋









SaiRat : The Family Reunion Where stories live. Discover now