SaiRat's Conversation

1K 116 103
                                    

SaiRat's Room,
Sai was walking to and fro with a serious expression and Virat came from back.

V - Kya hua Sai koi jaruri baat hai, mujhe baccho ko mere shifting ke baare mein batana tha.

S - Aap unhe kuch nahi batayenge (said with a serious expression)

V - Agar bataunga nahi toh vo samajhenge kaise, kya tum unhe batane wali ho?

S - Nahi, mein unhe kuch nahi bataungi.

V - (confused) Toh phir karna kya hai?

S - Kuch nahi karna hai aur aap bhi kahi nahi jayenge (said sternly)

V - Kya?? Par kyu??

S - Aap hi ne kaha tha na ki baccho ko hamari jarurat hai, toh ab aap kyu jaa rahe hai? Kya yaha aapko mere saath rehne mein bhi problem hai??

V - (said calmly) Nahi Sai tum galat samjh rahi ho, mein bas ye nahi chahta ki hamare bacche hamara jhagda ya galatfahamiya dekhe. Bacche vahi sikhte hai jo vo dekhte hai, isliye mein nahi chahta ki vo kuch galat sikhe.

S - Par baccho ko aapki bhi jarurat hai, agar vo kuch puchenge toh kya jawab dungi mein unhe? Kaise sambhalungi mein dono ko??

V - (smiled slightly 🙂) Sai tumne 8 saal sab kuch akele sambhala hai khudko, Savi ko usse itne ache sanskaar diye hai tumne. Mujhe pura bharosa hai ki tum Vinu aur Savi ko bhi sambhal logi aur agar tumhe kabhi meri jarurat pade toh mujhe bula lena.

S - Nahi mujhe kuch nahi sunna hai, aap kahi nahi jayenge.

V - (emotional) Sai tum samjh kyu nahi rahi ho, meri galtiya itni badi hai ki tum mujhe maaf nahi karna chahti. Aur ye sahi bhi hai, par mein ye nahi chahta ki bacche hamare bich ki dooriya dekhe isliye mera jana hi thik hoga.

S - (couldn't control herself and hugged Virat) Kahi nahi jaayenge aap (kissed his both cheeks) Phirse mujhe akela kardena chahte hai (and started crying)

V - (was shocked but immediately wrapped his hands around her) Sai kya hua tumhe, tum achanak se ro kyu rahi ho??

S - Inn 8 saalo mein, maine kitna miss kiya hai aapko. Mein phirse aapse dur nahi rehna chahti (sobbed in his chest)

V - (patted her back) Sai dekho tum shant ho jao, rona band karo.

S - Nai mein aapko nahi chodungi, mujhe aise hi rehna hai kitna miss kiya maine aapko, aapke hug ko. Mere ek impulsive decision ki wajhse, hume itna saal ek dusre se alag rehna pada (again started crying)

V - Sai isme tumhari koi galti nahi hai, saari meri galti hai isliye tum maafi mat mango aur shaant ho jao.

S - Nahi Virat, taali kabhi ek haath se nahi bajti aapke saath saath meri bhi galti hai. Maine humesha immediate decisions liye, kabhi uske results ke baare mein nahi socha. Pakhi ki baato ko aapki baato se upar rakha, aapne mujhse kaha tha ki aap humesha mere saath rahenge. Par Pakhi ki baato ko maine ek time pe sach maan liya ki aap Vinu ko mujhse humesha ke liye dur kardenge, unki har baat manenge. Vinu ko khone ke darr mein, maine aapko ansuna kardiya andekha kardiya. Aapko har baar galat samjha, mere impulsive nature ki wajhse hamare bich itni dooriya badhi hai please Virat mujhe maaf kar dijiye.

V - Sai tumhari koi galti nahi hai, meri hi galti hai maine tumhe galat samjha tumhe Vinu se dur kardiya.

S - Nahi Virat isme aapki galti nahi hai, iske liye toh mujhe aapko thanks bolna chahiye. Aapne Vinu ko apne pass safe rakha, agar vo mere saath uss accident mein hota aur usse kuch ho jata toh mein kabhi apne aapko maaf nahi kar pati. Accident ke baad bhi, maine aapse kabhi milne ki koshish nahi ki kabhi aapko Savi ke baare mein nahi bataya ye meri galti hai. Par at last hamare baccho ne hi hume phirse ek kardiya, hume phirse saath le aaye (again sobbed, hugging him tightly)

V - (teary) Ha hamare baccho ne hi hume phirse milvaya hai, par ab tum ye maafi mangna band karo. Isme hum dono ki galti thi aur iske liye hum sharminda bhi hai. Hum aage se hamari galti repeat nahi karenge aur abhi toh hum saath haina.

S - (looked up from his chest) Matlab aap nahi jayenge na 🙂

V - (to light the environment) Agar meri Badbad devi nahi chahti ki mein jau, toh mein nahi jaunga (chuckled)

S - Phirse aapne mujhe Badbad devi bola 🤨

V - Ha toh kabse badbad hi toh kiye ja rahi ho (copying her tone) " Virat mujhe maaf kar dijiye, Virat meri galti hai "

S - Aapne bhi aise hi kiya tha (copying his tone) " Sai saari galti meri hai, Sai mujhe jana hoga "

Both started laughing at each other's antics and again hugged tightly.

S - Aapko pata hai jab hum pehli baar phirse mile the, aap mujhe bachaane aaye the. Aur phir aapne hospital mein mujhse maafi thi, tabse hi maine aapko thoda thoda maaf kardiya tha.

V - Agar aisi baat hai, toh uss din maine diya hua rose aur vo letter kyu jala diya?

S - Aapko sachme lagta hai, ki maine vo letter aur vo rose jo aapne itne pyaar se diya tha mein jala dungi.

V - Tumne hi toh mere saamne use jalaya tha....(cut off by Sai)

S - Rukiye (she brought her diary and opened it) Ye dekhiye (showed him the letter and rose)

V - Ye toh tumhare pass hi hai, toh uss din vo...

S - Vo toh bas empty envelope tha aur hamare garden ka phool (chuckled)

V - Mujhe toh laga tumne sachme.... Mast idea lagaya tumne 🙃

S - Mann toh mera jalane ka hi tha par, aapne vo letter itne pyaar se jo likha tha kitni yaade likhi hui thi uss letter mein hamari. Humara Nag Nadi wala moment, holi, hamara MiMo moment uss letter mein sab likha hua tha. Aapne maafi bhi mangi, uske baad mein kaise vo letter jala sakti thi.

Then they talked for a while and tried to sort out there misunderstanding, mistakes.

V - (back hugged her) Vaise Sai tumhe yaad hai, maine tumse ekbaar kaha tha ki humara combination ekdum perfect hai 🤭

S - Jaise Sai aur Virat ka SaiRat and Mirchi aur Modak ka MiMo??

V - (teased her) Vo toh hamare naam ka combination hai, par hamara asli combination toh Savi aur Vinu haina (kissed her cheek from back) 😁

S - (understood his meaning and widened her eyes) Virat... 😳

V - (continued his teasing) Mujhe lagta hai ki hume phirse Savi aur Vinu ke bhai ya behen ke liye try karna chahiye, waise bhi tum aaj bohot ache mood mein lag rahi ho. Tumne khud se mujhe hug kiya, kiss kiya ab mera toh farz banta haina ki mein vo tumhe vapas kardu. Hug toh maine tumhe vapas kardiya, ab half n hour pehli ki hui kiss tumhe interest ke saath vapas karni padegi (🌚😁)

S - (she turned around with wide eyes) Virat bacche itne bade ho gaye hai, kuch toh sharam kijiye!!

V - Are Sai kisi mahaan insaan ne kaha hai, jisne ki sharam phoote uske karam (said dramatically)

S - Aur kon hai vo mahaan insaan 🤨

V - Of course tumhare Swaami, Pati parmeshwaar, Prannath Virat Chavan 😎

S - (laughing) Aapke alawa aur ho bhi kon sakta hai 🤣

V - Par ek baat toh sach hai, mein tumhari kiss interest ke saath vapas karunga (looked at her intensely and then at her lips)

Sai tried to run away, but Virat caught her immediately and moved close to her. He looked in her eyes and she smiled shyly. They moved more close to each other and kissed each other softly.
(Le me - 🙈 maine kuch nahi dekha 🤪)
They parted away and Sai shyly jumped on the bed. She immediately slipped under the duvet and covered herself fully. Virat chuckled at her antics and layed beside her. He kept his hand on her waist and slept cuddling her with a smile.

Next Day,
It was quite good, they enjoyed a lot and played many games. Sunny Savi and Vinu in one team, while SaiRat and Usha maushi in the other.

__________________________________________

*Epilogue*

Again I'm late today 🙂
We are at the end of the story 🤧
Hope you'll like the chapter
Do tell me how it was 😅
See ya Byee 👋







SaiRat : The Family Reunion Where stories live. Discover now