Chapter 6

107 4 0
                                    

Y/n hamesha ki tarha sukoon se so rahi thi aur meethe meethe pyaare pyaare sapne dekh rahi thi par.........

Junaid- Utho subha ho gayi hai kitna soti ho tum.

Y/n- Bas aur do minute sone do.

Y/n neend mein badbadati hai

Junaid- Iss ladki ka main kya karoon......Idea💡.

Phir woh y/n ke kaan mein zor se chillata hai aur y/n hadbada ke uth jaati hai

Y/n- BHAAGO BHAAGO BHOOKAPM AA GA-mmmm.

Junaid aapne haath se y/n ka muh bandh karta hai

Junaid- Aise kaun chillata hai.

Y/n- Mhmmmh.

Junaid- Kya?

Phir y/n usse ishare kehti hai ki woh y/n ke muh se apna haath hathaye phir woh apna haath hathata hai

Y/n- Chillayi main nahi tum the.

Junaid- Uh woh mujhe karna pada kyun ki tum duniya ke tamaam khargosh bech ke so rahi thi.

Y/n- Aur woh sab sirf tumhari wajha se hua hai samjhe.

Junaid- Kya bakwas hai meri wajha se tum kyun nahi so paaogi.

Y/n- Kyun ki raat bhar tum itne zor se kharrante le rahe the ki main so nahi paayi.

Junaid aage aur kuch nahi bolta kyun ki yeh sach hai ki woh kabhi kabhi kharrante leta hai

Junaid- Accha woh sab chhodo aur jaldi se jaake nahalo phir mujhe bhi nahake office jaana hai.

Phir y/n apne kapde leke nahane chali jaati hai, junaid kab se intezar kar raha hai ki y/n ab niklegi ab niklegi par y/n hai ki bahar aa hi nahi rahi hai, lag-bhag 1 ghante ke baad y/n nahake bahar aati hai

Junaid- Kitna time lagati ho tum har cheez mein.

Yeh kehke woh nahane chala jaata hai aur y/n wahan confusingly khadi rehti hai,thodi der baad junaid nahake bahar aata hai aur jab y/n ki nazar uss pe jaati hai toh usski ankhein phat jaati hai because junaid ne sirf ek towel apne waist se lapeta hua tha

Y/n- A...aapko sha...sharam nahi aati aise ghoomne mein.

Y/n idhar udhar dekhte hue keh rahi thi phir junaid ke dimaag mein ek shararti idea aata hai

Junaid- Kaise ghoomna.

Y/n- J...jaise tum gh...ghoom rahe ho.

Junaid dheere dheere y/n ke kareeb aa raha tha aur y/n peeche jaa rahi thi jaate jaate usska back wall se hit karta hai aur junaid usse apne dono haathon ke beech cage kar leta hai

Junaid- Toh tum kya keh rahi thi jaan.

Y/n- K..kuch na....nahi.

Junaid- Sach mein.

Woh apna face y/n ke face ke aur kareeb laate hue kehta hai phir y/n usse dheere se dhakka de ke room se bhaag jaati hai aur junaid hasne lagta hai
.
.
.
.
Saare baith ke breakfast kar rahe the

Farida- Junaid tune yeh office ke kapde kyun pehne hai.

Junaid- Simple office jaane ke liye.

Farida- Tu aaj bhi office jaayega.

Junaid- Haan kyun nahi koi problem hai.

Farida- Haan hai shaadi ko thik se ek hafte bhi nahi hue aur tu meri bahu ko ghar pe akele chhod ke jaayega, tu kahin nahi jaa raha hai.

Junaid- Par mummy.

Farida- Par war kuch nahi tu nahi jaa raha hai matlab nahi jaa raha hai maine zahir aur tahir ko sab samjha diya hai woh dono sab sambhal lenge.

And lastly junaid ko farida ki baat maan ni padti hai

Khusur phusur start

Nusrat- Waise bhabhi kal raat sab thik toh gaya na😁😁.

Y/n- Kya???

Nusrat- Aap thik toh ho na😏😏.

Y/n- Mujhe kuch hua tha kya????

Nusrat- Arre i mean bhai zyada rough toh nahi gayen.

Y/n-😳😳😳😳

Phir y/n khansne lagti hai aur junaid usse paani pass karta hai

Time skip

Y/n room baith ke ro rahi thi because usse apne ghar ki badi yaad aa rahi thi phir room mein junaid aata hai aur dekhta hai y/n ro rahi hai woh usske paas jaake baith jaata hai aur kehta hai

Junaid- Ghar ki yaad aa rahi hai.

Y/n apna sar yes mein hilati hai

Junaid- See apno se dur hona koi choti baat nahi hoti hai, but trust me tumhe hasane ke liye mujhse jitna ho sakega main karunga.

Y/n- Sacchi.

Junaid- Hmm.

Phir y/n thoda smile karti hai aur apne aansoo ponch leti hai

Junaid- Well tumhe yaad toh hai na kal reception hai.

Y/n- Hmm yaad hai tumhari tarha bhoolakkad nahi hoon.

Junaid- Aur main puch sakta hoon ke maine kya bhoola.

Y/n- Tumhara phone aur kya, subha tumne phone ko charging pe lagaya tha aur phone tumhe sirf 1 ghanta hi charging pe lagana tha toh.....

Junaid- Toh?

Y/n- Toh kya lastly woh phone mujhe hi charging se nikalna pada.

Junaid- Toh tum kya chahti ho main tumhe thank you bolun.

Y/n- Thank you nahi tum khud ko dekho umar ho gayi hai ab tumhari kuch din baad bacche uncle bhi bolne lagenge.

Junaid- Tum yeh sab hos-o-hawaas mein rehke keh rahi ho kya.

Y/n- Bilkul.

Junaid- Dikhaun tumhe yeh uncle kya kya kar sakta hai.

Woh apni shirt ka button kholte hue kehta hai aur y/n room se bhaag jaati hai phir woh bed pe baith ke hasne lagta hai.

To be continue

You know what guyzz i can't wait for qatar fifa worlcup i am so excited about it

Well aap logon ko bhi sports mein interest toh hai na like meri tarha

Bye bye❤️❤️💜💜

Anger issue coupleWhere stories live. Discover now