Chapter 10

91 5 0
                                    

Sab y/n se hospital mein milne aate hain siwaye junaid ke waise junaid aata toh hai par haris ne sabse strictly mana kiya hai ke uss ko y/n ke paas bhi na jaane de

3 months later

Haris- Y/n dekhna yasir bhai aaj sirf tere liye office nahi jaayenge unka kehna hai ki woh hum sab ko leke ghoomne jaayenge.

Haris y/n ke haath ko tightly pakad ke keh raha tha par y/n ko abhi tak hosh nahi aaya hai pichle 3 mahine se y/n coma mein hai

Yasir- Haan y/n haris sach keh raha hai ab uth jao na please.

Haris- Please y/n uth jaa na.

Haris rone lagta hai y/n nahi uthti sirf usske ankhon se aansoo nikalte hain haris usske aansoo ponchta hai

Haris- Accha thik hai main nahin rounga tu bhi mat ro, yasir bhai main zara aata hoon aap khayal rakhna ke junaid andar na aa jaaye mujhe pata hai woh aaj bhi aaya hoga.

Phir haris bahar chala jaata hai aur yasir y/n ke paas jaata hai aur usska haath apne haath mein leta hai

Yasir- Dekh y/n tu mujhe bata kya tujhe junaid se milna hai.

Y/n yasir ka haath tightly pakad ke usse reply deti hai aur yasir fauran junaid ko call karta hai aane ke liye phir junaid haris ki nazar bachake aata hai aur y/n ke paas jaake baith jaata hai aur usska haath pakad leta hai

Junaid- Y/n kya tum abhi bhi mujhse gussa ho, dekho i know main bohot bura hoon maine bohot badi galati ki hai tum mujhe saza do par aise karke saza mat do please y/n main mar jaunga, please y/n ab uth jao na please tumhe meri kasam please utho na.

And suddenly y/n ki saansen tez chalne lagti hai aur heartbeat badi tez ho jaati hai yasir jaake doctor ko bulake laata hai aur doctor unhe bahar jaane kehte hain phir haris bhi wahan aata hai

Haris- Kya hua yasir bhai.

Yasir- Pata nahi achanak se y/n ki tabiyat bigad gayi.

Haris- Tabiyat bigad gayi matlab aur ek minute yeh ladka yahan kya kar raha hai.

Woh junaid ko dekhke kehta hai and thodi der baad doctor bahar aate hain aur kehte hain

Doctor- Miracle ho gaya.

Haris/ Junaid-  Kya miracle doctor.

Haris junaid ko glare deta hai

Doctor- Well aap sab dil tham lijiye.

Haris- Par baat kya hai doctor.

Doctor- Well....... congrats aapki behen ko hosh aa gaya hai.

Haris- Oh hosh- Ek minute KYA, y/n ko hosh aa gaya hai.

Doctor- Haan.

Haris- Kya main uss se mil sakta hoon.

Doctor- Haan kyun nahin.

Yasir- Thank you so much waise kya hum usse ghar le jaa sakte hain.

Doctor- Uh haan unke kuch tests baaki hai unhe karne ke baad unhe hospital se discharge kar denge.

Phir yasir aur junaid bhi andar chale jaate hain aur dekhte hain haris y/n se baat kar raha hai

Haris- Abhi thik lag raha hai na.

Y/n- Hmm, arre yasir bhai aap aayiye na idhar.

Y/n yasir ko dekhke kehti hai yasir junaid ko leke y/n ke paas jaata hai

Yasir- Waise haris doctor ne kaha hai ki y/n ko aaj hi hospital se discharge kardenge.

Haris- Yeh toh acchi baat hai, papa bhi bade khush ho jaayenge   waise baaki logon ko bataya toh hai na.

Junaid- Uh woh maine nusrat ko bata diya hai woh sabko bata degi aur mummy ne toh y/n ke ghar jaane ke khushi mein saari taiyariyan bhi shuru kardi hai.

Haris- Tumhe yeh kisne kaha ki y/n tumhare ghar jaayegi.

Junaid- Par kyun haris bhai.

Haris- Pehle tum past ko dekho aur socho samjhe.

Junaid chup ho jaata hai

Yasir- Haris tum ab kuch zyada hi zid kar rahe ho.

Haris- Bhai main koi zid nahi kar raha hoon jo sach hai woh hi keh raha hoon.

Y/n- Nahi bhai yasir bhai sahi keh rahe hain, main aap logon ke saath nahi junaid ke saath jaungi.

Haris- Par y/n.

Y/n- Par var kuch nahi it's final.

Haris- Huh, thik hai par main bhi chalunga tumhare saath iss se toh tujhe koi problem nahi hai na.

Y/n na mein sar hilati hai

Time skip

Woh log aa jaate hain y/n ko ghar

Farida- Arre meri bacchi tu ab thik toh hai na.

Y/n- Ji mummy main bilkul thik hoon aap batao.

Farida- Ab tu aa gayi hai na ab sab thik ho gaya hai.

Nusrat- Aap mujhe bhool gayi bhabhi.

Y/n- Tumhe kaise bhool sakti hoon.

Y/n nusrat ko hug karti hai aur ghar ke andar jaati hai aur phir usska muskurata hua chehra mahi ko dekhke utar jaata hai

Mahi- Tumhe dekhke badi khushi hui Y/N.

Y/n kuch kehti nahi hai bas smile deti hai.

Farida- Y/n tum thak gayi hogi jao jaake thoda aaram kar lo.

Y/n uthti hai aur haris usse kehta hai

Haris- Meri baat yaad hai na y/n.

Y/n- Hmm bhai yaad hai.

Woh junaid aur apne room mein nahi jaati balke nusrat ke room mein jaati hai

Farida- Arre haris beta tum bhi aaye ho.

Haris- Haan aunty aana hi pada aaj kal ke logon ka kya bharosa issi liye.

Woh junaid ko dekhte hue kehta hai

Haris- Waise aunty main kuch din yahin rehne wala hoon koi problem toh nahi hai na aapko.

Farida- Arre nahi nahi kya problem hogi balke yeh toh accha hi hoga y/n ko bhi accha lagega.

Haris- Par meri ek shart hai aunty.

Farida- Kya shart beta.

Haris- Meri yeh shart hai ki y/n nusrat ke room mein soyegi.

Farida- Par kyun haris.

Haris-Kyun ki main nahi chahta ke koi phir se meri behen ko takleef de.

Woh phir se junaid ke taraf dekhte hue kehta hai

Farida- Accha woh sab toh hota hi rahega jao tum log bhi jaake thoda aaram karo.

Woh haris aur junaid se kehti hai aur woh dono chale jaate hain phir farida bhi chali jaati hai aur living room mein sirf mahi rehti hai

Mahi- Yeh y/n ke bhai ne toh meri problem aur bhi solve kardi isska matlab yeh hai ki junaid ab apne room mein akela hi rahega aur iss chance ko leke main junaid ke kareeb aa jaungi, perfect.

To be continue

Bye bye

Anger issue coupleDonde viven las historias. Descúbrelo ahora