Chapter 7

96 5 0
                                    

Aaj subha junaid se pehle y/n hi uth gayi aur jab ussne junaid ko sota hua dekha toh......usske dimaag mein ek mazedar idea aaya

Y/n- Junaid....... uthiye na......

Junaid- Mhmmmh hmm.

Junaid neend mein mumble karta hai aur y/n badi mushkil se apni hasi rokti hai

Y/n- Junaid uthiye na kitna sote ho aap aaj walima hai aapko pata toh hai na.

Phir woh usske kaan mein gudgudi karti hai

Y/n- Junaid meri jaan......

Junaid- Sone- KYA.

Junaid hadbada ke uthta hai

Junaid- Kya kaha tha tumne abhi.

Y/n- Junaid.

Junaid- Usske baad.

Y/n- Uthiye na.

Junaid- Usske bhi baad.

Y/n- Meri jaan..

Junaid- Yeh hi....., kyun kaha tumne yeh.

Y/n- Kyun ki aap mere husband hain...

Phir junaid ko usska plan samajh mein aa jaata hai phir woh uthke khada ho jaata hai aur kehne lagta hai

Junaid- Toh ab tumse bhi raha nahi jaa raha hai na.

Woh ek step ek step karke y/n ke paas aa raha tha aur y/n ek step ek step karke peeche jaa rahi thi jaate jaate y/n bed pe gir jaati hai aur junaid usse apne done haathon ke beech cage karleta hai

Junaid- Itni pagal ho gayi ho tum ab mere liye hmm.

Y/n ke muh se ek word nahi nikal raha tha

Junaid- Kya hua jaan....kuch bolo na.

Y/n- Uh woh ma...main toh m...mazak kar ra...rahi thi.

Junaid- Sach mein.. but main toh serious hoon.

Y/n usse slightly dhakka de ke bhaag jaati hai

Time skip

Y/n dress

Junaid look

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Junaid look

(Haye main marjawan, kinna sona munda haina)

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

(Haye main marjawan, kinna sona munda haina)

Y/n apni family ko dekhke khush ho jaati hai aur woh unke paas jaati hai

Y/n- Papa aap thik toh ho na.

Parvez- Haan meri bacchi main bilkul thik hoon.

Y/n- Hmm aur aap haris bhai aap kaise ho.

Haris- Tere bina hum sab zyada thik toh nahi hai par sab thik thak hi hai.

Y/n- Aur zyada snacks toh nahi kha liye the aapne.

Haris- Liye the sirf chips ke aur biscuits ke dui packet.

Y/n haris ki baat pe hasti hai phir junaid wahan aata hai

Junaid- Kaise hain aap papa.

Parvez- Hmm main thik hoon tum batao.

Junaid- Main bhi thik hoon.

Shaan- Aur kya bhai meri behen ne zyada pareshaan toh nahi kiya na.

Junaid- (Aur nahi toh kya poore hafte bhar mujhe jala rahi thi) Nahi bhaiya bilkul nahi.

Y/n- Bhai.

Shaan- Sorry yaar mazak kar raha tha main.

Farida- Arre samdhi ji yahan khade kyun hain andar chal ke  baithiye na.

Time skip

Y/n- Mummy mujhe baat karni thi.

Farida- Kya baat beta.

Y/n- Uh kya main aaj hi ghar jaa sakti hoon waise bhi 2 3 din baad jaana hi padega na, toh kya main aaj hi jaa sakti hoon.

Nusrat- Par kyun bhabhi.

Y/n- Yeh bhi ek rasam hoti hai issi liye.

Farida- Thik hai tum jaa sakti ho par jaldi aa jaana.

Y/n- Hmm.

Phir y/n jaldi apna saman pack kar leti hai aur haris usska saman car mein rakhta hai

Y/n- Chalti hoon mummy.

Farida- Apna khayal rakh na.

Y/n- Aap bhi.

Nusrat- Bhabhi aapka jaana zaroori hai kya.

Y/n- I promise main jaldi aa jaungi.

Farida- Nusrat sirf tu hi baat karti rahegi kya junaid ko bhi baat karne de.

Junaid- Bye.

Y/n- Same to you.

Farida aur nusrat sigh karti hai aur ek doosre se kehti hai

Farida/Nusrat- Inn dono ka kuch nahi ho sakta.

Phir y/n chal deti hai apne maaike

At y/n house

Y/n- Haashh mera bed maine kitna miss kiya apne room ko, ek minute yeh bistar itna ubad-khabad kyun hai.

Phir woh gadde ko uthake dekhti hai aur usse milti hai ek album

Y/n- Yeh photo album toh maine sabse neeche mein rakhkha tha ye- hmm zaroor haris bhai ne snacks lete waqt isse upar rakh diya.

Phir woh uss album ko leke haris aur nihal ke kamre mein jaati hai

Nihal- Kya baat hai y/n tum itni raat ko kyun jaag rahi ho.

Y/n- Woh sab main baad mein batatu hoon pehle aap shaan bhai aur yasir bhai ko bulao room mein.

Haris- Par kyun y/n.

Y/n- Tch jaisa kaha hai waisa karo na.

Phir woh yasir aur shaan ko bhi bulate hain.

Yasir- Kya y/n raat ko bhi tujhe shaanti nahi hai.

Y/n- Woh sab chhodo aur dekho mujhe kya mila hai.

Yasir- Kya mila hai aladdin ka chirag.

Y/n- Arre nahi humari bachpan ki photo album.

Yasir/Shaan/ Nihal/Haris- Toh??

Y/n- Toh... Kyun na hum aaj apne bachpan ko yaad kare

Phir woh saare ek doosre ko dekhte hain aur kehte hain

All- Of course kyun nahi.

Aur phir woh log doob jaate hain apne bachpan ki yaadon mein.

To be continue

Bye bye😊😊🐇💜💜

Anger issue coupleWhere stories live. Discover now