Jitne dur utne pass

2.4K 188 4
                                    

  Holding, Aayu' s hand, he walks straight, ignoring Sana.

Sana pro - muze ignore maar ke chala gaya ye hai kya chiz Shenaaz kaur Gill ko ignore maara. khadus kahi ka.

Aayu looks back at veer and speaks loudly

Aaryan - bye bye Veer, bye sana buwa.

Sid - aayu tu usko buwa kyu bulata hai ?

Aaryan - kis ko?  Sana buwa ko, aree chachu wo Veer ki buwa hai to meri bhi buwa hai na.

Sid - kuch bhi ho tum usko buwa mat bolo.

Aaryan ,- kyu ? Ek minute jab mai priya buwa ko buwa bolata tha tabhi kushal chachu ki muze daat padati thi. Phir maine dad se pucha Priya buwa ko kya bolu ? To dad ne kaha priya unki sister hai to usko buwa bula jab kushal chachu se shaadi ho jaayegi to usko chachi bolana. Par kushal chachu ka thik hai aap ko kya problem hai mai agar sana buwa ko buwa bolu to. Kya aap ko bhi sana buwa se shaadi karani hai?

Sid - chup kuch bhi bolata hai, ek baar bola buwa mat bol to dus baar usko buwa kar ke pukara aur itna dimag yaha waha lagata hai na wo padhai mai laga samjha.

Aaryan - pata hai aap ko chote bacche jada padhai karenge to unke dimag mai bura asar hota hai. isaliye limit mai padhai karani chahiye.

Sid -ye gyaan aap ko kis mahapurush ne diya

Aaryan - kushal chachu

Sid - tu aur tera chachu

Aaryan -  sab sahi kahate hai aap bhoat boar ho

Sid - accha mai boar  hu, to thik hai kal mera bhi holiday tha tera bhi holiday tha maine socha tha tuze McDonald's leke chalu par kya karu mai to bore hu.

Aaryan - nahi chachu aap to bahoat acche hi , mere pyaare chachu, aap jaisa koi hai nahi

Sid - nautanki, chal itna mat buttering kar kal evening ko jaate hai.

Aaryan - thank you, chachu ek baat bolu

Sid - bol na mera baccha

Aaryan - agar kal hamare saath veer aayega to chalega. kya hai veer mera best friend hai aur jab sana buwa ya Bobby uncle party karate hai to muze bhi leke jaate hai.

Sid - ok champ chalega

Sid relax a lot after spending time with Aaryan, he plays with sid and after some time he sleep in sid's room. Sid continuesely looking at Aaryan face

Rita ji - aisa kya dekh raha hai aayu ko

Sid - dekh raha tha jitna Masum hai ye. koi phikar nahi koi tension nahi. Bas school, masti, khel itna hi. Jab bada hoga humari taraha sab worries chalu hogi.

Rita ji ,- ha  bacche hote hi Masum. Jaise bade hoge waise tension shuru. Bacche aisa kyu hote hai pata hai kyu ki wo kisi baat pe jaada sochate nahi hai. Aab tu bata muze ye chaar din se kya huwa hai tuze.

Sid - kuch nahi mom

Rita ji - dekh kuch hai to muze se share kar sakata hai.

Sid - wo mom mera ek dost hai usko ek ladki bhoat pasand hai par problem ye hai ki ladki use 9-10 saal choti hai, ye age gaps se wo bhoat darr raha hai

Rita ji - aur wo ladki wo bhi pasand karati hai use?

Sid - pata nahi shayad karati hi ya na bhi karati ho.

Rita ji - to pahle wo pata karo.

Sid - par ye kaise pata chalega.

Rita ji - simple si baat hai uske behaviour se pata chalega. Agar tere friend ke absent mai wo agar baichain hoti ho, uski care karati ho, wo jaise bhi ho waise usko except karegi kabhi badal ne ki koshish nahi karegi, uske har pasand na pasand ka khyal rakhegi aur sab se pahle uske ankho mai uske liye ek alag feeling hogi.

Pyaar ka duja naam Sidnaaz Where stories live. Discover now