In Mumbai
Gill house Sunday
Bobby - aaj ye ghar pe kaise. Gayi nahi uske bestfriend ke engagement mai . Muze laga subha se wahi hogi. Aaj ka khana nashta bach jaayega apane ghar ka.
Sana - subha se jaane ke liye meri engagement thodi hai
Bobby -; to kara dete hai waise bhi abhi Panjab gaye the to tere liye rishta aaya hai. Kyu Amma isko bataya nahi.
Sana - Amma ye kya bol rahe hai Veera
Pammi Ji - are wo Paramjit uncle hai na unka bhanja hai Sujit kar ke Canada mai settled hai advocate hai. Unhone tera haath manga tere dadaji ke pass
Sana;phir ( Sidharth ka chehara uske ankho ke samane aagaya)
Bobby - phir kya tera rishta pakka kar diya tere degree ke baad teri shaadi karange phir kar Canada mai aage ki padhai.
Sana - Amma Amma😭😭😭😭😭😭
Hearing Sana's cry, Rajbeer and Jasbir ji come running in the hall.
Jasbir Ji -; kya huwa gudiya, tu ro kyu rahi hai.
Rajbeer - ha baccha kya huwa
Sana - aap ne (sob) aap ne meri shaadi muze bina bole fixed kyu ki. Muze nahi karani shaadi waadi.
Rajbeer - shaadi kis ki
Sana -;booby Veera bol raha hai meri shaadi aap ne fixed kardi hai
In anger Jasbir Ji hit Bobby on the head
Jasbir Ji - nalayak mere gudiya ko rula ta hai. Nahi meri gudiya teri shaadi kisi ne nahi fixed ki hai
Sana - sacchi, khao kasam
Jasbir Ji - sacchi tuze tere Papa pe Vishwas nahi hai
Sana - hai papa
Rajbeer - ha mera pyaara baccha tuze aise kisi ko kaise de sakate hai
Jasbir Ji - tere dadaji ne to khude hi na kardiya unko. bol hum apani lado ko pardes thodi jaane denge yaha ka koi ladka dekhenge.
Pammi Ji - ha aur apane Panjab mai ladko ki kya kammi hai jo hume bahar jana pade. Kyu shenaaz
Sana - ha Amma ek ek star hai
Pammi Ji - phir kya hum to koi rajkumar dhudege.
Sana in mind - maine to already dekh ke rakha hai mera Sidharth kisi rajkumar se kam hai kya
Jasbir Ji - tu akele akele kya bol rahi hai
Sana -;kuch nahi papa
Bobby - dekho Amma Papa iski bhi shaadi fixed karlo abhi se, nahi to ye musibat koi nahi jhel sakata
Rajbeer - Bobby abhi chup kar nahi to bhoat maar padegi.
Bobby - tu jaana tere dusre ghar muze thodi Shanti milegi. Ja ready karane ja uske ghar. Nahi to tu udhar jaada rahati hai apane ghar kam
Sana - to waha meri friend hai issliye jaati hu. Yaha rahkar aap ka chehra dekh ke kya karu.
Bobby - teri friend ki to abhi shaadi hogi tu bhi kar jaldi shaadi. Ghar Ko bhoat shanti milegi
Pammi Ji - abhi bol raha hai magar jab sacchi mai ye jaayegi to yahi shanti katane ko aayegi. ( Mosti eyes)
Sana - Amma muze bhoat time hai abhi se kyu ro rahi ho

YOU ARE READING
Pyaar ka duja naam Sidnaaz
Romancesimple love story of sidnaaz, it will be not be as simple as it seems after all this is the story of sidnaaz, nothing will happen if it is easy. This is a love story of our sid and naaz,fire and ice, a mature boy and a childish girl. The story will...