5 November
Today's was second day of diwali and sidnaaz engagement day also
Sana wore a yellow colour Punjabi dress for the engagement. Sid wore a lemon colored sadara and a green jacket and Sana looked very beautiful
Rita ji - chalo abhi ring 💍 pehna do ek dusre ko.
Sid puts a ring on Sana's finger and Sana puts a ring on Sid's finger. Pammi filled both of their mouths with the sweet. Everyone will congratulate them.
Ashok ji - Jasbir Ji mubarak ho aap ko aap ki beti abhi sab ke samane offically humari bahu hogayi.
Rita ji - chalo baccho dadaji aur sab bado ka ashirwad lena
Kushal- ye na apane society ka hall sab Shukla's ke beto ka engagement ka gawaha hai. 4 baccho ki engagement yahi huyi thi.
Gauri - ha 7 saal pahle meri aur hiten ji ki bhi engagement yahi huyi thi. Ek saal pahle teri aur Jay bhai ki aur abhi sid bhai ki.
Hiten - mere bhai ke chehre ka blush to dekho.
Mahi - aur sana ko to dekho upar dekh hi nahi rahi hai. Uske muh se awaj nahi nikal rahi hai.
Jay - koi apane majnu ko bhi dekho jara. Sid ek pal ke liye bhi sana ka haath nahi chod raha hai. Usko hi dekhe ja raha hai.
Priya - mai to sid bhiya se aise paise wasul karungi na dekhate rahana.
Kushal- chalana jaate hai unke pass thodi Tang khichai karate hai.
Gauri - to wait kyu kar rahe hai chalo .
Sidharath ne dekha puri gang uski hi taraf aarahi hai. Unko dekh kar hi sid ko laga ye kuch na kuch khichdi jarura pakayenge.
Sid - Shenaaz jara sambhal ke rahana mere bhai aur bhabhi ki gang apani hi taraf aarahi hai. Ye kuch na kuch kand jarur karange.
Sana - hayye aap mere family ko kuch bhi mat bolo
Sid - abhi se hi party badal daali
Sana - mai to pahale se hi wahi party mai hu.
Hiten - sana baccha bahot sunder dikh rahi hai.
Sana - thanks bhai
Gauri- to sid bhai bhi to kya kam sunder nahi dikh raha hai.
Hiten - bhabhi maa boli, sana tujhe mom se koi darr nahi hai agar tu sidharath ko kuch bolati hai to. Magar tujhe Gauri se bahot darr ke rahana chhaiye. Agar ye teeno Bandar ko kuch bhi bolo to ye bhabi maa sune ke nahi legi.
Kushal- to kya ye bhabi humare saath hai to hume kisi se darane ki baat nahi hai.
Hiten - hum sab se bachega tu magar tujhe dad se teri bhabhi maa bhi nahi baccha sakati.
Kushal- ha thik hai thik hai, sana tujhe pata hai kal sid bhai raatbhar soye nahi hai pucch kyu?..
Sana - kyu?
Kushal- are sabhi ladkiyo ke phone no delete kiye. Pura msg box bhara pada tha ladkiyo ke dard bhare shayari se aap ke shaadi ki khabar unko jo pata chal gayi kitne ke dil tute phir kitne saare heartbreaking ke msg aaye wo bhi to bhai ko delete karane pade.
Jay - ha ye raat bhar kisi na kisi ladkiyo se baat kar raha tha bol raha tha meri majboori hai issliye shaadi kar raha hu.
Priya -: sach mai sid bhaiya ko kitne saare ladkiyo ko jawab dena pada.

YOU ARE READING
Pyaar ka duja naam Sidnaaz
Romancesimple love story of sidnaaz, it will be not be as simple as it seems after all this is the story of sidnaaz, nothing will happen if it is easy. This is a love story of our sid and naaz,fire and ice, a mature boy and a childish girl. The story will...