Purane test papers

561 74 24
                                    

Merry Christmas 🎄⛄🎄☃️


Vaise toh mera koi plan nahi tha episode upload karne ka... Par fir I thought ki aaplog ko Christmas gift de du... So here it is...

Also.... Ek help chahiye, merko dm mei ffs suggest kro naa... I wanna read and for now, episode ke baad jo paragraph hai vo zarur padhna

Chalo ab Bina bakaitii ke shuru krte hai


Enjoyyy Readinggg ❤️

#Episode40

HM: rukiye yahi, hum aa rhe hai... Don't move!

HM went

KS (in mind): 3 thappad laga diye... Ab kaha gyi bhabhi... Yaar.. shayad danda lene gyi hai... Aaj Tak toh bachi hui thi dande se par lagta hai aaj nhi bachungi...

After 5mins

KS (in mind): kaha reh gyi bhabhi... Jaake dekhu kya? Nahi nhi... Kya kr rhi hai KS, mana kiya hai na bhabhi ne yaha se hilne se... Aavaz deti hu... Nhi yaar par already bhadhki hui hai... Kahi 2 thappad aur na padh jaaye... Vaise bhi Inka ek thappad toh 10 ke barabar hota hai... Itni zorse maara 🥺
Pichli baar Riya ne bataya tha ki jab vo Ghar gyi toh kam marks ke vajah se uski bhabhi ne bohot maara tha aur dinner bhi nahi diya tha... Usse kuch pucha nahi, uski baat tak nhi suni... kahi bhabhi....

KS's thoughts were broke when she noticed HM coming there with many more papers and a copy and pen in her hand, this time KS couldn't control

KS: ye sab ka hai bhabhi?

HM: papers

KS: vo toh hume bhi dikh rha hai

HM gave a glare

KS: humara matlab hai, konse papers

HM: aapke purane test papers aur marksheets

HM sat at the table
KS (in mind): ab kya zindagi bhar ke marks ki sutai hone vali hai... Kya karegi bhabhi Inka

HM: baithiye yaha...

KS followed

KS: bhabhi ye...

HM: humne ye pehle se dekh rakhe hai

KS: kab?

HM: jis din hume Anu ne bataya tha ki unki behen hai, tabhi humne raat bhar mei sab dekh daala tha aur agle din Milne gye the aapse... Yaad hai?

KS: jii... Par abhi insab ka kya

HM showed her a few mistakes in her previous papers

HM: ye dekhiye

KS: ye toh

HM: galtiya hai

KS: vahi

HM: jo aaj tak sudhari nahi gyi... Isliye badh gyi... Ye dekho (then she showed her the current papers)

HM showed her another old result

HM: ye marks dekhe hai? Ye result

KS: hum pehli baar first aaye the (with a smile)
HM smiled seeing her smile

KS: aur vahi aakhri baar bhi tha (her smile faded away)

HM kept her hands on KS's shoulders . KS looked at the hands and then to HM in a questioning manner, HM nodded her head in assurance

HM: bas yehi toh hum aapko samjhaana chahte hai Karu...

KS: kya?

HM: aapko pata hai aapke marks kam kyu aaye?

KS (now she brokedown, she has several thoughts buried in her mind which bursted out now, crying she was): vahi toh samjh nahi aa rha bhabhi... Hum kaha galat jaa rhe hai... Hum... Hum sab manage krne ki koshish kar rhe the... Par hua hi nahi... Hum shaitan humesha se the... Par academics mei bhi acha hi krte the... Aapne dekha na... Hum first bhi aa chuke hai... Par ab lagta hai, shayad hum kaabil hi nhi hai😭 hum toh aapse bhi nahi chupana chahte the... Par vo first meet thi humari bhabhi... Aur hum apna bad impression nahi dena chahte the... Already subah humne galti kar di thi...aur kehte hai na first impression is last impression... Bas isliye... Uske baad humne koshish Kiya, par pehle toh himmat nhi hui aur fir reh gya... Fir hum chale gye aur ab...
(Her voice choked)

HM also had tears in her eyes listening to KS's pain

HM: ab humne khud hi pakad liya

KS: jii, sorry bhabhi... Hum abse aapse nahi chupayenge...

HM kissed KS's forehead and KS felt the warm love, the care of a mother

HM (cupped her face): mera bachaa... Aapko kabhi bhi humse sharmane ki zarurat nahi hai, hum aapko Kam marks ki vajah se kamzor nhi samjhenge... Kyuki aap koi kamzor vagera nahi hai... Ye thought apne Mann se nikal do... Aap mera bacha ho... Aur merko pata hai aap bohot capable ho... Shaitani karna ek taraf hai, padhai karna dusri taraf.... Aur dono balance mei rakha jaa sakta hai, mansha sahi honi chahiye

KS (sobbing even now): matlab... Aap... Aap gussa nahi hai? Maarengi nahi?

HM: nhi, kyu maarenge... Haa hume kharab laga ki itne kam marks aaye hai... par hum thodi the aapke paas aapko is exam ke liye prepare karane ko? Yaa us time chal rhi problems mei deal krne mei help karne ko... Toh kis haq se daate hum aapko jab hume situation hi nahi pata...

A smile came on KS's face on seeing how understanding bhabhi she got, she felt blessed

HM: ha par agar ab aise number aaye... Toh fir sutai kar denge aur aapko humse koi nahi bachayega fir soch lijiyega

And both laughed with tears in their eyes


Ek zaruri baat, I know in cases mei most of y'all like wrath/strictness vala portions, but I personally think that both that and understanding is very important for any bond hence I wrote this episode in such a manner... Secondly, many suggested me with a trauma kinda thing but again, I don't wanna go that negative as of now... And how can I write something when I don't like it😛, I skip those episodes when I read other ffs, so I will write the trauma thing, not now, but when I'll be out of ideas.

Bass...

Aajke liye bas itna hi...

Kaisa Raha aaj ka episode?
Aage kya hoga...
Sochte rahiye...

Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

Kuch Rishte Aise Bhi❤️ (Kareena And Anuseena)Where stories live. Discover now