Part -15

638 59 10
                                    

Continue from last part.
Now

Hearing Karu di everyone got shocked and especially Anu bhaiya and now Anu bhaiya feels very guilty for that.

Anubhav ( in mind) : Hey bhagwaan yeah humse kya ho gaya hum Haseena ji aur duty ko time dene ke chakkar mein Karu ko kaise bhul gaye    hum kaise Karu ko samay dena bhul gaye humne kaise usse khud se itna dur kar diya ki uska thane mein hume  Anu bhaiya kehna bura lagne laga hum usse mafi mang lenge aur use vachan bhi denge ki hum aage se ese galti kabhi nahi karenge  aur hum use apna pura samay aur pyar bhi denge aur usse yeah yakin dilayenge ki hum usse kabhi bhi nahi bhul sakte.

Anubhav : Karu hume maaf kardo please hum mante hai ki humse bahut badi galti ho gayi hai lekin hum tumse wada karte hai abb hum tumhe bhi apna pura samay aur pyar denge hume maaf kardo Karu.

Karishma : Sorry Sir hum apko maaf nahi kar sakte kyunki maaf karna apno ka hak hota hai aur hum apke apne toh hai nahi isliye hum apko maaf nahi kar sakte aur rahi baat samy dene or pyar karne ki toh uski koi jarurat nahi hai kyunki hum apke apne nahi hai paraye hai aur parayo ko na pyar diya jata hai na samay.

Anubhav : Yeah app kasi baat kar rahi hai Karu app koi parayi nahi hai app toh humari apni hai humari apni behen.

Karishma :  They Sir ek time peh hum apke apne apki behan sab they lekin abb nahi hai kyunki woh time chala gaya jab app hume apni behen mante they aur jaise gujre hue log wapas nahi aate waise hi gujra hua samay bhi wapas nahi aata.

Anubhav :  Mana bitha hua samay wapas nahi aata lekin hum uss bithe hue kal ko bhular ek nayi shuruaat bhi toh kar sakte hai na humare aur apke rishte ki ek nayi shuruaat.

Karishma :  Sir bithe hue kal ko na bhulaaya nahi jaa sakta aur rahi baat hamaare aur apke rishte ki ek nayi shuruaat ki toh Sir kya grantee hai ki app uss nayi shuruaat mein humare sath woh sab nahi karenge joh apne humare sath kiya. Agar apne phir apni duty aur mangetar ki wajah se agar hume bhul gaye toh. Humne ek baar sehen kar liya hai dubara nahi karenge isiliye behtar yahi hoga ki  joh jaisa chal raha hai waise hi chalne de.

Anubhav : Thik hai jaisa app chahe lekin ek  baat batao kya abb app hume apna bhai nahi manti?

Karishma : Hum jhut nahi bolenge lekin sach toh yeah hai ki hum apko abb bhi apna bhai mante hai abb bhi apse bahut pyaar karte hai aur humesha karte rahenge app humare bhaiya they, hai aur  humesha rahenge Sir .

Then suddenly they hear the sound of door bell

Karishma : Hum dekhte hai

Then Karu di opens the door and sees that a post man was standing there.

Karishma : Ji kahiye

Post man : Kya yeah SI Karishma Singh ka ghar hai?

Karishma :Ji haa yeah Karishma Singh ka hi ghar hai 

Post man :Ji woh Karishma Singh ke naam se ek letter aaya hai police headquarters se.

Karishma : Accha,

Post man: Ji

Karishma : Dijiye letter

Post man : Lo madam (forwarding an envelope towards her) .

Karishma : Lao ( takes the envelope) .

Then post man leaves. And Karu di went inside.

Anubhav : Kon tha Karu?

Karishma : Post man tha sir letter deke gaya hai humare naam ka.

Anubhav : Acha kis chizz ka letter hai?

Rishta Tera Mera ( Anushma) Where stories live. Discover now