chapter 5

2.3K 127 9
                                    

This chapter is solely based on akshara's POV. What she thinks about the past. The next chapter will be based on Abhimanyu's PoV

Akshara: bhai sahi toh keh rahe hai. Kab tak main unn logon ki wajah se apni life change karti rahu. Pura udaipur unke baap ka thodi hai Jo main wahan nahi jaa sakti.
Woh sheher meri naira mumma aur papa ki love story se juda hai. Mera janm bhi wahan hua tha. Toh main wahan jaungi. Aur mere past ki wajah se bhabhi ko kabhi bhi koi problem main hone nahi dungi.
Lekin agar unhe abhir ke baare mein pata chal gaya toh.

Nahi woh abhir ko mujhse cheen nahi sakte. Mere pass proofs hai that they didn't want us. Woh call recording abh bhi mere pass hai.

Iss baar agar humara saamna hua bhi toh woh ek maa se takrayenge uss 6 saal pehle waali akshu se nahi. Woh akshu toh unn logon ke liye kab ki marr chuki hai.

Kamal ki baat toh ye hai mumma papa
( Picking their photo frame)

Mere apne parivaar ne bhi mere baare mein kabhi nahi pucha. Mujhe dhoond ne ki koshish tak nahi ki. Unn ke liye bhi humesha se sirf Aarohi hi thi. Akshara toh kabhi thi hi unn sab ke beech. Yahan tak ke mere apne bhaiya ne bhi mujhe kabhi nahi samjha. Warna woh mujhe bhaidooj ke din jaane thodi bolte.

Shayad mumma aap nahi the na mere saath isiliye. Jabtak papa the tab tak main unki princess thi. Unhone Aarohi ko kabhi princess nahi Kahan. Shayad Aarohi ki jalan wahin se shuru ho gayi thi. Papa aapne kabhi Aarohi ko princess kyun nahi bulaya!! Atleast woh meri life thodi toh asaan karti. Lekin mujhe koi regret nahi hai. I enjoyed being your princess.
Shayad main aapko naira mumma ki yaad dilati thi isiliye aap mujhe princess kehte the.
Lekin phir aapne kabhi kyun nahi bataya mujhe ki meri asli maa kaun hai, kaisi thi. Aapki story bhi dusron se sunne mili. Kaash aapne khud bataya hota mujhe ye sab.
Mujhe aapni mumma ke baare mein bhi sirat maa se pata chala. I wish woh aapne bataya hota.
Aapko pata hai mujhe na humesha kairav bhaiya se thodi si jalan hoti thi. Kyunki unhone mumma ka aur aapka pyaar dekha, unhe woh jeene Mila. Lekin mujhe kyun nahi Mila papa!!
Mujhe pata hai papa ki sage aur sautele aise koi rishte nahi hote. Rishte toh mann se jode jate hai. Khoon hume define nahi kar sakta. Sirf humare apne karm hi hume define karte hai. Yahi seekh di hai na aapne aur sirat maa ne mujhe.
Lekin jab jab Aarohi ko dekhti huin toh aisa feel hota hai, ki shayad woh 1% log hote hai jinhe khoon hi define karta hai.
Shayad goenka's ke liye woh sagi hai aur main sauteli. Isiliye toh kabhi bhi mujhe support nahi kiya. Arre mana ki main badi thi lekin maa toh main bhi khoyi thi na woh bhi do baar. Lekin phir mujhe hi kyun bheja unhone sabse dur.
Theek hai bheja toh bheja par phir itne saalon mein Aarohi ke Mann se mere liye nafrat kyun nahi mitayi. Kyun usse mujhe hate karne diya. Jab usne mujhe sirat maa ki death ke liye blame Kiya toh kyun unhone kuch nahi kahan. Kyun chup rahe woh papa.
Iska toh yahi matlab hota hai na mumma ki kahin na kahin woh bhi yahi maante the ki sirat maa ki death meri wajah se

She couldn't complete the sentence and started crying very Badly.
Unknown to her someone heard everything and hearing her cry rushed inside.
Gently taking her in a hug.

: Akshuu. Shant baba. Kitna royegi. Tabiyat kharab ho jayegi baba. Itna nahi rote. Shant ho ja.

Akshara: l..ekin ma.ine k..uch g.alat th..odi bola. Kyun kiya unhone aisa kyun kiya ruhaan.

Ruhaan: ab unhone aisa kyun kiya ye toh mujhe nahi pata. But tu kyun unlogon ki wajah se apne aap ko itni takleef de Rahi hai. Tu janti hai na yahan par koi bhi tujhe hurt hote huye nahi dekh sakta.

Akshara: i know. Lekin

Ruhaan: lekin wekin kuch nahi. Tu ab meri baat sun. Dekh woh log wahan par honge. Aur jaane ka decision tune liya hai. Ab unn kuch logon ki wajah se jinhe teri situational parvah hai tu unlogon ka dil dukha rahi hai Jo sachmein teri care karte hai. Tujhse pyaar karte hai meri jaan.

Akshara: tu sahi keh raha hai. Lekin agar unhone abhir ko mujhse cheen ne ki koshish ki toh sach janne ke baad?

Ruhaan: arre aise kaise cheen lenge use. Aur abhi toh tune kahan na ki woh uss 6 saal purani emotional fool Jo kisi ke bhi manipulation mein aa jaati thi woh akshu nahi , Abhir ki maa akshara aur business women akshara singhania se takrayenge. Ek waqt par akshara goenka haar sakti hai, emotional hokar galat decisions le sakti hai.
Lekin Akshara Kaira Singhania kabhi bhi practicality mein galat faisle nahi kar sakti. Especially jab woh Abhir se related ho.

Akshara: ( chuckled) tu kabse itni badi badi baatein karne lag gaya..haan. tujhe na aisi badi badi baatein suite nahi karti. Tu Mera bholu hi theek hai.

Ruhaan: oye main na pehle se hi samjhdaari waali baatein karta huin. Woh toh tujhe jaise bewakoof ke palle nahi padi kabhi.

Akshara: ( angry) tune mujhe bewakoof bulaya. Ruhaan tu gaya ab. Ruk tu.

And they both started running in her cabin like two kindergarten students

And they both started running in her cabin like two kindergarten students

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Akshara's cabin.

Hearing their voices Krish came in to see what was happening and firstly was shocked seeing ruhaan there and second both were running as if two kids are fighting.

Krish: wahh. Mujhe laga tha ki ab tak tum dono bade ho gaye honge. Lekin abhi bhi bacchon ki tarah bhaag rahe ho. Aur woh bhi office mein. Taaki har staff aakar dekhe ki unki boss kaise bhaag Rahi hai bachhon jaise. Akshu tere bacche bade ho jayenge lekin tu kabhi badi mat hona.
Aur aap. Aap toh idhar aaiye. Phone toh marr gaya hai. SMS naam ki cheez invent hi nahi Hui hai na iss duniya mein.
Batana toh chahiye ki tu aa raha hai saale.

Ruhaan: arre woh kya hai na. Maine socha ki main thoda surprise du. Isiliye.
Ab gale toh mill yaar.

They both hugged tightly

Akshara: ab agar jija saale aur bffs ka Bharat milap ho gaya ho toh main bolu.
Bhai iss ne mujhe bewakoof kahan. Aap abhi ke abhi daato ise.

Ruhaan: haan toh ismein galat kya bola. Tu hai hi bewakoof.

Akshara: (whinning) bhai dekho na.

Krish slightly smacked his head and spoke

Krish: tu chup kar nalayak. Aur ab agar tum dono ki pakdam pakdai ho gayi ho toh lunch karne chale. Mujhe bohot jyada bhook lag rahi hai.

Akshara: haan bhai chalte hai.

Ruhaan: khaane ke liye toh ever ready Hui .

Akshara: ( rolling her eyes ) huhh bhukaad.

Ruhaan: ae tu na

Krish: main na haath jodta hai tum dono ke aage. Wapas shuru mat hona. Please chup chap lunch karne chalo.

And they left for their lunch.

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

Hope you guys liked the chapter. Stay tuned for more.

Ruhaan Rathore.

Brother of Meera and bff of Krish. Also his brother in law.
Knows akshara since long and is her bff as well.
Calls abhir as champ and abhir calls him hero.

Lots of love,
Author 🤍

Abhira ka Abhir Where stories live. Discover now