CHARACTER SKETCH

826 22 3
                                    

Khawar Shaikh: Khawar Shaikh Athar Shaikh aur Humaira Shaikh Ka adopted beta hai..... Khawar Shaikh aur Humaira Shaikh ki Jaan basti hai Khawar main...... Aur Khawar bhi apny parents sy Be-inteha Muhabbat karta Hai...... Khawar aik BHT Ziada khubsoorat, masoom aur sehma hua ladka hai...... Jis sy muhabbat karta hai..... un pr Jaan chidak ta hai...... Aur Jin sy nafrat karta hai usko Jaan sy mar deny pr utar Ata hai...... Khawar JB Ghussy main aa jata hai...... toh Junooniyat ki hadhein par Kar jata hai...... Woh Ghussy k waqt koshish karta hai k us k Ghussy sy baqi log affect na hon....... is liye Woh khudko hi hurt karta hai...... Khawar apni cheezon aur apny rishton KO ly Kar hadh sy ziada possessive hai...... Woh apni koi bhi cheez Kuch bhi kisi sy share Nahi karta hai....... Woh Kahta Hai k Jo cheez ya Jo insaan Mera hai Woh Kisi aur Ka Nahi hoskta..... Khawar aisa kyun hai...... Yeh Novel main detail sy pata chaly ga.......

Athar Shaikh: Athar Shaikh aik BHT Emmandar aur shareef farishta sift insaan thaw..... Dil Ka BHT saaf aur SB sy pyar aur muhabbat karny wala...... SB ki care karny wala.... SB ki izzat karny wala...... Athar Shaikh aur Humaira Shaikh ki aulad Nahi thi...... isliye unhon NY Khawar KO adopt karliya thaw....... Athar Shaikh ki Jaan basti thi Khawar main...... Athar aur Humaira Khawar KO Dekh Dekh Kar jeety thy...... Athar pr khawar be-inteha pyara thaw...... Humaira aur Athar NY Khawar KO phool 🌷🌺 ki tarha bada Kiya thaw...... Athar Shaikh ki death hochuki hai......

Humaira Shaikh: Humaira Shaikh Athar Shaikh ki Biwi aur Khawar Shaikh ki maa thi...... Athar Humaira sy be-inteha muhabbat karta thaw...... Shadi k baad Humaira kafi martaba pregnant hui thi....... lekin Kuch complications ki wajah sy bar bar uska miscarriage ho Jaya karta thaw...... Lekin Athar Shaikh NY dusri shadi Nahi ki..... Kyunki Woh Humaira Shaikh sy BHT Muhabbat karta thaw....... Athar Shaikh ki death k bad Humaira apni Behn k Ghar rehti hai...... Kyunki Khawar Athar ki death k waqt sirf 5 Saal Ka thaw..... Humaira khud BHT jawan thi..... Uska Akela Ghar main rehna munasib Nahi thaw.......

Shlok Butt: Yeh Khawar Shaikh Ka Biological father thaw...... Lekin Khawar Shaikh sy BHT Ziada nafrat karta thaw..... aur Khawar KO reject kardiya thaw...... Aur usko apna naam bhi deny sy inkaar kardiya thaw...... Shlok Butt aik BHT hi ghattiya aur zalil insaan thaw.....

Astha Butt: Yeh Shlok ki biwi thi..... Ashta k twins baby boys huye thy...... Aik Khawar aur Dusra Ashar...... Yeh bhi aik BHT hi fazool, jaahil aur badtameez Aurat thi...... Ashta aur Shlok NY Ashar aur Khawar k paida hoty hi..... Ashar KO accept karliya thaw..... Lekin Khawar KO paida hoty hi reject kardiya thaw........ Ashta Khawar aur Ashar ki biological mother thi...... Lekin Ashta bhi Shlok ki tarha Khawar sy BHT Ziada nafrat karti thi aur usko reject kardiya thaw...... Ashta aur Shlok ki love marriage hui thi lekin Har waqt Shlok aur Ashta k beech ladhayi hua karti thi...... Shlok Ashta KO uski zuban ki wajah sy BHT Ziada mara karta thaw..... Lekin Astha phr bhi baaz Nahi Aya karti thi.......

Ashar Butt: yeh Khawar Shaikh Ka twin brother thaw..... Lekin Khawar sy BHT Ziada nafrat karta thaw...... Jo cheez Khawar KO pasand Hoti thi...... Woh Ashar us sy cheen liya karta thaw aur Khawar roty roty apni Jaan mar Deta thaw...... lekin Ashar us cheez KO sirf Khawar sy cheen Lena Chahta thaw aur Usk sath Dil Bhar Kar khel Kar zaya kark phenk Diya karta thaw...... Aur phr Khawar us zaya ki hui cheez Jo Ashar NY usko apny haathon main todh marod KR zameen pr phenk Di Hoti thi......Us KO apny seeny sy laga Kar kayi kayi ghanton tk rota thaw..... Aur tapadta thaw....... Ashar Khawar sy BHT jalta thaw....... Usko sirf azziyat main Dekhna Chahta thaw.......

Ahana Butt: yeh Khawar aur Ashar ki behn thi...... Ahana k sath bhi uski twin sister paida hui thi lekin Woh mar gayi thi...... Ahana bhi apny maa bap aur Bhai ki tarha Khawar sy BHT Nafrat Kiya karti thi...... Aur usko aik aankh Nahi Dekh skti thi......... Khawar ki khushiyon sy aur kamiyabiyon sy yeh SB log jalty thy..... Aur kaisy bhi kark Uski khushiyan aur kamiyaban us sy cheen Lena chahty thy...... Jahan tk mumkin hota thaw yeh log Khawar sy Uski khushiyan cheen bhi liya karty thy.......

Warda Ansari: Warda k parents ki death ho chuki thi...... Warda apni aunty k sath rehti thi....... yeh Khawar ki bachpan ki dost thi..... Aur usko bachpan sy pasand karti thi...... Khawar warda sy khicha khicha rehta thaw..... Us sy chup Kar apna dukh aur dard share karta thaw..... Aur usko apny Dil ki Har BT btata thaw........ lekin darta thaw k kahin warda KO bhi Ashar aur Usk Ghar waly us sy cheen na lein...... Kyunki aik warda hi thi Jisk sath Khawar apny sary dard banta karta thaw........

Note: yeh Novel Khawar k bachpan sy hi start hoga...... Aur is Novel k villain Shlok, Ashta, Ashar aur Ahana Hain...... Time k sath sath mazeed information Novel k start hony k bad milti rahygi.......

🥀🦋𝐊𝐎𝐈 𝐍𝐀𝐇𝐈 𝐀𝐏𝐍𝐀🍃🕊️Nơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ