10~Engaged

98 7 5
                                    

Dhruv and Tara were in the same garden where they met to discuss their decision of going to pari lok. Theslow breeze accompanied them.

T~achha laga thora sa bhi un se mil ke? Khoon khaul gaya mera toh

Dh~same mera bhi, lekin chhoror, jo hua so hua, wo yahan aa he nahi saktay, hum se baat nahi kar saktay, na he is baar hum mein se kisi ko mrityu dila saktay hain, tum ne iraada jo kar liya ke tum kabhi un ko shraapt mukt nahi karo gi

T~haan wo toh hai. Waise tum batao, tumhari feelings kya hain meri taraf?

Dh~matlab?

T~matlab pichhle janam ki tarah is janam mein bhi pyaar hai? Ya sirf dosti wali he feelings hain?

Dh~sirf dost wali feelings nahi hain, feel toh mujhe first meeting mein he ho gaya tha aur tumhe bhi. Kaise hum dono ki aankhein bhar aayi thi ek doosre ko dekhte he, (she nodded) haatho’n se bijli nikli thi, kuchh achha mehsoos hua tha, us din ke baad se ek achha ehsaas raha jo missing tha zindagi mein. Ye sirf dosti wali feelings hain he nahi. Pehle ye hawaein aise thori na mehekti thi, (she blushed) pehle toh meri subah bhi raat ko hua karti thi, ab toh raat bhi raat ko he hoti hai aur subah bhi subah mein he hoti hai. Hum milay ek doosre ke honay ke liye thay Tara. Mujhe kabhi kisi ke liye aisa feel nahi hua. Tumhare chehre par hasi dekh kar mere chehre par bhi hasi aa jana, tumhe rota dekh kar mujhe bhi rona aa jana, shayad yahi hai pyaar

T~shayad? Ya pakka?

Dh~shayad, tumhari kya feelings hain meri taraf?

T~same tumhare jaisa. Even I felt all this since the first time ever. I always thought of you more than a friend. Tumhare ilawa kisi aur ka hona meri life mein, ye toh main soch bhi nahi sakti

Dh~soch toh main bhi nahi sakta. Lekin kya humein thora aur explore karna ho ga kya khud ki feelings ko?

T~mujhe nahi lagta. Pyaar toh hai, ye toh tayy hai, lekin confession bhi zaroori hai, say it, that you love me. Dekho more than a friend toh brother sister bhi hotay he hain so come on.

Dh~hey hey hey, dekho ye brother sister wali feeling nahi okay, (she chuckled) ye simply pyaar ki feeling hai?

T~hmm, kaisa pyaar?

Dh~Heer Ranjha wala pyaar, Romel Juliet wala pyaar

T~aray yaar, ye filmy baatein na akro, kuchh toh real keh do, hum ne witness nahi ki un ki love stories, koi aisi love story bolo na jo hum ne witness ki ho

Dh~okay then, jaisa Daksh aur Tamanna ka pyaar tha na, same waisa pyaar, (she smiled) aur jaisa Dhruv Tara ka pyaar hai na, waisa pyaar

T~ye hui na baat, toh batao, mujh se shahdi karo gay? Bano gay mere pati aane walay saare janmo’n ke liye? Bano gay is pari ke rakshas?

He smiled.

He smiled

¡Ay! Esta imagen no sigue nuestras pautas de contenido. Para continuar la publicación, intente quitarla o subir otra.
Bekaboo (Dhruv Tara) ~completedDonde viven las historias. Descúbrelo ahora