Part -4

497 15 10
                                    

My Little World

Part -4

Mimi decided to talk to niggo ji about reena's obsession towards farjaad
So she went to niggo ji's room

Mimi- maa mujhe aapse kuch baat karni hai

Niggo ji- kya baat hai??

Mimi- maa aapko pata hai reena bhai ke office mei kitna dominate karrahi hai

Niggo ji- What??
Ye tumse kisne kaha

Mimi- That's not important maa
Agar kuch important hai toh woh bhai aur  company ki reputation
Aap jaanti hai reena apne apko bhai ki fiance batarahi hai office ki har new employee ko
Aur woh bhi female employees ko

Niggo ji- What??
Are you serious mimi
Reena aisa nahi karsakti

Mimi- toh apko kya lagta hai mai jhoot bolrahi hu

Niggo ji- nahi beta
There must be some misunderstanding na
Itni badi baat reena kar hi nahi sakti

Mimi- maa why are you not understanding
Reena fake rumours spread karke bhai ki image kharaab karrahi hai
She is obsessed with bhai
Aur bhai ki attention paane ke liye woh kisi bhi hadd tak jaasakti hai
Aap please uski side lena bandh kardein maa Khuda ka waasta

Mimi- aapne reena aur uske parents ko zubaan di hai na ke aap reena ki engagement bhai se karwaingi?

Niggo ji- zubaan nahi di thi
But ek proposal rakha tha unke saamne

Mimi- aur reena iss baat ka bahot ghalat faida utha rahi hai

Niggo ji- dekho mimi mai jo
Bhi karrahi hu farjaad ke acche ke liye karrahi hun
Reena farjaad ke liye har taraf se perfect match hai

Mimi- maa perfection ki toh baat hi na karein aap pleaseee
Reena ek self-centered  aur egoistic ladki hai
Usko bhai se koi mohabbat nahi hai
Uske liye bhai sirf uski expensive cheezo ki tarah hai jispar woh nazar rakh kar baithi hai aur maa bhai ko kisi perfect ladki ki zaroorat nahi hai
Bhai ko aisi ladki milni chahiye jo bhai ko robot se insaan banaye
Jo bhai ki life mei sukoon aur khushiya lekar aaye
Jo bhai ki iss routine ko thoda sa badley
Aur bhai ko beintehaa mohabbat karey
Aur aisi ladki shayad bhai ko mil gayi maa

For a moment niggo ji gives a second thought on mimi's words
She is right Farjaad doesn't need a perfect girl all he need is a girl who brings sunshine and happiness in his life

Niggo ji- koun milgayi?

Mimi- Umeed

Niggo ji sighs and mimi said

Mimi- umeed hi woh ladki hai jo bhai ki life mei khushiya le aasakti hai maa
Apko pata hai bhai umeed ki company kitna enjoy kartey hai
Bhai kehte hai ke umeed ko dekh kar unka saara stress door hojata hai

Niggo ji- mujhe toh kuch samaj nahi aaraha mimi
Umeed ke naam se hi mujhe migraine hone lagta hai
Mai thoda rest karna chahti hu
Tum please niaz se kehkar mere liye lemon tea banwadena
I need some rest

Mimi- ok maa
Mai bhijwadungi
Aap rest karein

Pasha house

Umeed barged into the house with full of energy and happiness on her face

She hugged aghujaan who was sitting on the couch

Umeed- aghujaannnnnnn
Aaj mai bahot bahot bahot bahot bahotttttt khushhhh hoon

Aghujaan- arey meri gudiya
Kya baat hai
Itni chehek rahi ho
Masha Allah se

Umeed- bass bahot khush hu
Accha aap pehle mujh par duaei padke dumm kardein aur dua karei ke mai hamesha aise hi khush rahun
Kareiiinnn naaaaa

My Little WorldWhere stories live. Discover now