Ragini Singh ka keher

572 71 18
                                    

Ragini: Haseena Malik kaha hai? Bulao usko issi samay aur Pushpa ji ko bhi bulao abhi.

Amar: Par aap Haseena ji se milna kyun chahte hai.

Ragini gets irritated due to his questions. She gets up from her chair and holds his collar.

Ragini: Sasure iss samay humare mastiksh ka santulan bighad gaya hai,  maiya kasam agar tumne humse ek aur prashn pucha toh yahi zinda gaad denge tumko.

Amar: Dekhiye aap aise ek on duty officer se badtameezi nahi kar sakte.

Ragini: Dekho aisa hai ki hum sadev police walon ka samman karte hai par aaj na baat humri behen pe aayi hai. Aur jab humri chutki ki baat hoti hai na toh sasure hum aage peeche uchit anuchit kachu nahi dekhte.(shouts) Haseena Malik Pushpa Singh.

That time Pushpeena enter the thana and see Ragini, Pushpa ji immediately recognised her.

Pushpa: Ama tum. Tum ka kar rahi ho yaha?

Ragini: Kahe hum nahi aasakte idhar?

Pushpa: Nahi.

Ragini(rudely): Yeh thana hai Pushpa Singh aapka ghar ya phir aapki koi vyaktigat bhoomi nahi jispe hum pravesh nahi karsakte.

Haseena(angrily): Karishma Singh yeh kis tarike se baat kar rahi hai aap Pushpa ji se, saas hai woh aapki kuch toh lihaz unka.

Ragini(shouts): Maun raho Haseena Malik. Sarvapratham humko yeh pasand nahi ki koi bhi humse ucch swar mein vartalaap kare, humre parivaar ke alawa agar koi bhi humse ucche swar mein vartalaap kare woh humko swikarya nahi. Apni maryada mein rehke baat karo, agar tum apni maryada mein nahi rahogi toh kadachit humko bhi apni maryada bhulni padegi. Aur tum na toh humri Amma ho na humre bauji ho aur na humre bhaiya ho toh humko dusron se kis prakar vartalaap karna hai iss baat pe tum humko shiksha dene ka pratyatna na karo wahi ucchit hoga.

Haseena(shouts): Karishma Singh yeh kaise baat kar rahi hai aap humse?

Ragini(roars): Chillao mat Haseena Malik chillana humko bhi bhali baati aata hai.

Hearing Ragini's tone a chill runs down everyone's spine.

Haseena: Karishma Singh aap humse aise baat nahi kar sakti.

Ragini loses her temper completely, she pulls out her gun and points it at Haseena. Everyone is shocked by the scenario.

Ragini: Maun raho Haseena Malik, agar tumhare muh se humne ek aur shabdh bhi suna na toh maiya kasam seedha goli se uda denge hum tumko

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Ragini: Maun raho Haseena Malik, agar tumhare muh se humne ek aur shabdh bhi suna na toh maiya kasam seedha goli se uda denge hum tumko. Aur dusri baat hum Karishma Singh nahi Ragini Singh hai.

Pushpa: Ragini yeh tum ka kar rahi ho, maddam sir pe bandook kahe taangdi tumne. Yeh baat agar Karishma ko pata chali toh usse bardaasht nahi hoga.

Ragini: Aapse bhi bohut hisaab chukta karna hai humko Pushpa Singh. Aur Karishma Singh humri behen hai, apni chutki ko kaise sambhalna hai yeh aap humko mat sikhaye.

Haseena: Pushpa ji yeh sachmein Karishma Singh nahi hai.

Pushpa: Nahi maddam sir yeh Ragini hai Karishma ki judwa badi behen.

Ragini: Waise Haseena Malik tum toh jajbaati ho na sabke jajbaaton ko samajhti hi yaha tak ki mujrimo ke saath bhi jajbaat se pesh aati ho tum.
Phir yeh tumhare jajbaat kaha jaate hai jab baat humri chutki ki hoti hai. Kya kaha tha tumne usko sadakchap gundi haina aur Pushpa ji aap kya kehte hai chutki ko dayan naagin chudail aur kya ha aapke lalla ke jeevan par grahan haina. Aapko ghyaat bhi hai Pushpa ji ki aapke iss vyavahar se chutki ko kitni peeda hoti thi bhale hi woh kisiko dikhati nahi lekin usko bohut bura lagta tha. Humare bauji ne aapko unki rajkumari isliye nahi saupi thi taaki aap har din kisi ke bhi samaksh uska apmaan karsake. Kya kaha tha aapne chutki ke bidaai ke samay amma aur bauji se ki bahu nahi beti banke rahegi humari chutki aapke ghar. Iss tarah se beti mana aapne usko har samay uska tiraskar karke.

Pushpa ji bows her head down hearing this as she knows Ragini is saying right.

Ragini: Aur Haseena Malik tum ka kaha tha tumne chutki ko ki woh dhokebaaz hai, thane ki suchna bahar jaake pahuchati hai.

Haseena: Ha hai woh dhokebaaz, humare peet peeche cheeze kar rahi thi woh. Picchle kuch dinon se Amar Vidrohi ke saath woh DSP sir se milne jarahi thi lekin iss baaremein unhone humhe kuch bhi nahi bataya tha.

Amar: Haseena ji Karishma Singh ko maine mana kiya tha iss baare mein kisiko bhi batane se, aapne uss wajah se unhe dhokebaaz kehdiya. Senior ka order hi follow kar rahi thi woh, ismein aapko dhoka kaise dediya unhone.

Haseena keeps quiet as she doesn't have any answer for this.

Ragini: Ek ladke ne vardi ka apmaan kiya uske liye chutki ne usse ek kantaap ka mardiya tumko toh avsar mil gaya uska apmaan karne ka. Ama ek ka sasure ko toh do chaar aur kantaap maarne chahiye tha chutki ko. Ka kehti thi tum ki Karishma Singh humari jaadu ki chadi hai, unke bina humara thana adhura hai aur phir agle hi shann tumko Karishma Singh ki koi avashyakta nahi hoti thi. Insaan hai woh koi khilona nahi ki jab mann kare khel lenge aur jab mann kare uthake phek denge. Uski bhavnao ka upahas karte hue tumko thodi si bhi lajja nahi aati thi ka. Kitna maanti thi woh tumko apni sabse acchi dost maanti thi woh tumko aur tumne ka kiya vishwasghati ka aarop laga ke tum dono ke dosti ka itni nirmamta se hatya kardiya. Hum abhi toh jarahe hai parantu smharan rahe tum dono ki wajah se humari chutki ko bahut kasht hua hai, ab hum tum dono ko kabhi uske nikat nahi aane denge.

Ragini leaves from there with her men. Haseena hearing Ragini's words feels a bit guilty for her behaviour towards Karishma.

Pushpa: Maddam sir humne sahi nahi kiya bahurani ke saath aisa bartaav karke.

Haseena: Ha Pushpa ji aap theek kehrahi hai, humhe Karishma Singh se maafi maangni chahiye. Hum dono kal subah Kanpur chalenge, Karishma Singh se maafi maang ke hum unko wapas leke aayenge.

Chapter completed.
Hope you'll like it.
Do vote and comment.

REGRETWhere stories live. Discover now