Part 15

110 6 16
                                    

Scene starts on the terrace, Oberoi Mansion,
Ayush came up to have some quality time when he saw Sameer already sitting there and drinking beer.
Ayush: Tu yaha kya kar raha hain?
Sameer: Naha raha hoon baith kar.....any problem?
Ayush came and sat down beside Sameer and then opened his own beer bottle.
Ayush: Tu hamesha mujhe ulta jawab kyun deta hain?
Ayush took a sip.
Sameer: Jab aapko dikh raha hain toh fir pooch hi kyun rahe hain?
Ayush(sighing): Bas aise hi.....socha ki tera bhai neeche kitchen saaf kar raha hain aur tu aas paas nahi hain...yaha baitha hain akele....thoda ajeeb laga.
Sameer: Aapko toh meri harr baat hi ajeeb lagti hain.....kya nayi baat hain?
Ayush sighed and took another sip.
Ayush: Waise yaha baith kar kar kya raha hain?
Sameer: Pehle aap batao aap kya kar rahe hain yaha par......
Ayush: Bas aise hi....socha mere dad ke saath baat kar loon.
Sameer looked here and there and then spoke frowning.
Sameer(frowning): Kidhar hain? Mr.India hain kya?
Ayush(sighing): Nahi.....udhar hain...
Ayush pointed towards the brightest star shining that day.
Sameer: Vo? Aapko koi galat fehmi hui hain. Vo aapke dad nahi.....meri Maa hain.
Ayush was shocked to hear this.
Ayush: Kya bakwaas hain? Shalu toh zinda hain.
Sameer(drunk): Arrey Mr.Oberoi.....meri aur Kartik ki Maa alag hain.
Ayush: What?
Sameer(drunk): Arrey haan yaar....aapko toh pata hi nahi hain. Ab jab mere muh se nikal hi gaya hain toh bata hi deta hoon. Main Kartik aur Shreya ka saga bhai nahi hoon. Mujhe adopt kiya tha Shalu Maa ne.
Ayush: Aur tere mummy papa?
Sameer(drunk)(chuckling)(teary eyed): Thi meri Maa....usko bhi mere sharabi baap ne jaan se maar daala ek din. 4 saal ka tha main aur mere rishtedaar.....vo toh kisi kaam ke kabhi the hi nahi. Anarth aashram mein fek diya mujhe unn so called 'relatives' ne. Roz maarte thi vo khadoos warden mujhe.......
Ayush(teary eyed): Aur...aur tu kuch nahi karta tha?
Sameer(teary eyed)(drunk): Kya hi karta? Baccha tha 10 saal ka. Par haan.....gussa bohot aata tha aur vo gussa nikalta tha Kartik par.
Ayush(teary eyed): Tu? Aur Kartik par gussa karta tha?
Sameer: Haan.....main jiss anarth aashram mein rehta tha na....uske bagal waale ghar mein hi rehta tha Kartik. Aur na jaane kyun......hamesha anarth aashram ke bacchon ke saath shararat karne mein laga rehta tha. Mujhe uss par itna gussa aata tha lekin usne na....kabhi bhi mujh par gussa nahi kiya. Vo bas sunta raha maine use jo kuch bhi kaha gusse mein. Mujhe bohot ajeeb lagti thi yeh baat ki koi mera gussa kyun sahega? Fir dheere dheere mujhe samajh aaya ki uss idiot ne mera gussa isiliye saha taa ki mera gussa andar hi andar mujhe kha na jaaye. 
Ayush(teary eyed): Toh....Kartik aur teri itni acchi bonding hui kaise?
Sameer(drunk)(teary eyed): Hua yeh na ki pehle jab usne mujhe dekha tha na tab main khana chori kar raha tha.
Ayush: Kyun? Chori karna buri baat hain na? Kyun kar raha tha?
Sameer(teary eyed)(chuckling): 3 din se kuch nahi khaya tha aur yeh kehte hain chori kyun ki. Anyways.....jab usne dekha na mujhe chori karte hue toh directly jaa kar warden se complain kar li aur fir jab uss warden ne belt se maar maar kar meri chamri ukhaar di....tab meri jagah....Kartik rone lag gaya foot foot kar. Tab...(with a smile) mujhe ehsaas hua ki harr insaan bura nahi hota aur Kartik toh bilkul hi nahi hain. Fir dheere dheere humari dosti hui aur bina pata chale hi main usse jaan se bhi badh kar pyaar karne lag gaya. Uski insult matlab meri insult aur usko agar kisi ne haath lagaya.......toh mujhse bura koi nahi hota tha aur na hi abhi koi hoga.....(pointing at Ayush)...samjhe Mr.Oberoi? Toh don't you dare to insult my idiot. 
Ayush giggled hearing this and even smiled seeing the love of these two brothers.
Sameer(drunk): Arrey arrey.....yeh kya ho raha hain? (Widening his eyes) Mr.Oberoi smile kar rahe hain? Mr.Khadoos Oberoi ko smile bhi karna aata hain?
Ayush(with a smile): Jii haan....humein smile bhi karna aata hain aur hum khadoos nahi hain. Yeh toh bas....(with fading smile)....zindagi ne badal diya.
Sameer: Toh aapne zindagi se kaha kyun nahi.....ki "ehh....haan...tujhe hi bol raha hoon. Tu kitni bhi kosish kar le......mujhe hara nahi paaega....samjha na? Main harr maine mein tujhse jeet ke hi dum loonga. Cheen kar dikha mujhse meri khushiyaan...I, Mr. Khadoos Ayush Oberoi is challenging you".
Ayush laughed seeing Sameer's childhishness.
Ayush: Zindagi ko aise challenge karenge toh vo humse humari sabse pyaari cheez cheen lega. Jaise mujhse cheen liya.....
Sameer(drunk): Accha? Kya?
Ayush(teary eyed): Shalu.......
Sameer(drunk): Aapne toh khud hi Maa par shak kiya tha.
Ayush(teary eyed): Aur usi baat ka guilt pichle 20 saal se liye ghum raha hoon. 
Sameer(drunk): Aapko pata hain...Maa bhi aise hi ek gum apne dil mein liye ghum rahi hain par bataya kabhi nahi hum teeno ko.
Ayush(teary eyed): Sach?
Sameer(drunk): Shalu Maa ki qasam. Pichle 20 saalon mein na unhone kabhi apni khushiyon ke baare mein nahi socha. Bas humare liye jee rahi hain.
Ayush looked teary eyed at Sameer.
Sameer(drunk): Aur pata hain.....vo na hamesha kehti hain ki Kartik mein vo aapki parchai dekhti hain. Par mujhe kabhi aisa nahi laga.
Ayush: Kyun?
Sameer: Kyunki Kartik thehra masoom, bhola bhala, idiot, pyaara aur sone waale dil ka aur aap thehre Mr.Khadoos.
Ayush(chuckling)(teary eyed): Sach kahu toh mujhe bhi usmein apni parchai dikhti hain. Vo masoom Ayush dikhta hain mujhe Kartik mein jo ki iss duniya ki saazishon se anjaan hain. I really wish ki vo kabhi mere jaisa na bane.
Sameer(drunk): Arrey don't worry...main use bann ne bhi nahi doonga khadoos. Cheers!
Ayush and Sameer did cheers and finished drinking their beer.
Ayush: Waise.....tujhe main bohot bura insaan lagta hoon na?
Sameer(drunk): Arrey nahi Mr.Oberoi. Aap ho dil ke acche bas jab Kartik ko rulate ho na......tab mujhe aap web series ke villain jaise lagte ho.
A tear flew down Ayush's cheek.
Ayush(teary eyed): Par main sach mein use nahi rulana chahta.......bas.....
Ayush sobbed and Sameer hugged Ayush tightly in order to console him.
Sameer(drunk): Mujhe pata hain....halat bure hote hain. Ismein rone ka kya? Calm down Mr.Oberoi.
Ayush hugged Sameer as well tightly and cried bitterly.

Every Second❤️Where stories live. Discover now