Chapter 6 Sameer vs Munna

152 19 6
                                    

Sameer got up after few hours and saw that the sun was at its full shine.He saw  the time that ticked 8 am and quickly got up to get ready.
When he came out ready after bath, he headed towards Nanu and was relieved  to see him much better, having soup on his bed  and Munna guiding him for medicines.

Sameer : abhi kaise ho aap Nanu. Feeling better ?

Nanu (happily ) : Meri tabiyat toh tujhe dekh ke hi  sudharne lagi thi. Kitne din baad ghar aaya hai.

Sameer scrunched his nose : Bas bas...ab emotional drama mat suru kar dijiye. Aap bhi jante hai ki main humesha aapke paas hi hun , chahe yahan rahun ya Mumbai me.

Nanu laughed : Chal ...ab aaya hai toh kuch din yahi reh ke kaam kar.

Sameer chukled and sat beside him : main yahin hun Nanu. Aap jabtak thik nahi ho jatey hai tabtak main hun.

Nanu : arey wah....phir toh mujhe thik hone ki koi jaldi nahi hai.

Sameer (angrily)  : Nanu...

Munna was seeing to this bond and there was a smile on his face.
When Nanu relaxed after having soup, he turned towards Sameer and said quietly.

Munna : chalo dekh ke acha laga ki kam se kam Nanu ke sath toh tu wahi purana Sameer hai....badla nahi hai.

Sameer looked at him and holding his hand forcibly took him out and made him sit in living room and said : jitna taana marna hai maar le...chahe toh lad le. Kam se kam tere dil ki bhadas toh bahar aayegi.

Munna said sarcastically but calmly : jhagda karne jaisa rishta ab raha nahi....toh kyun kuch bolun....Bhai..Bade  logon ke sath soch samajh ke baat karni  padti hai.

Sameer got frustrated : Munna ye kya bade log bade log laga rakha hai ? Yaar..Kab tak naaraz rahega munna ? Aisa bhi maine kya kar diya....bas thoda waqt hi toh manga tha na.....Munna gussa ko piche chor ke zindagi ko aagey badhate hai na !

Munna stood with a straight face but didnt utter a word. Sameer took a sigh and asked : Tujhe Naina ki koi khabar hai kya? Usse koi contact hai tera ?

Munna lost his temper and said : zinda hai wo aur apni zindagi aaram se kat rahi hai....aapko chinta karne ki zarurat nahi hai Sameer Maheshwari ji.

It was difficult to say what Sameer felt at that moment when he realised that Munna is in contact with Naina and that he could meet her ,but his heart had an underlying hope that she would be still waiting for him.

Sameer whispered hesitantly : Kaisi hai wo....kahan hai .....uski shadi ho gayi kya ?

Munna (angrily) : sunna kya chahta hai tu....aur kis haq se puch raha hai tu.....aaj jab tujhe teri manzil mil gayi gayi toh tujhe Naina ki yaad aa gayi....itne saal kabhi khayal bhi aaya kya ki uski zindagi kaise beet rahi hogi.....Sameer mujhe majbur mat kar ki main kuch ulta seedha bol dun. Aur is baar mujhse kisi bhi tarah ke support ki ummeed mat karna.

Sameer had tears in his eyes. Munna's anger was tearing him.apart but he knew he had hurt not only Naina but munna too.

Sameer said in broken voice : Munna agar tujhe lagta hai ki main Naina ki zindagi ka sabse bada villain hun toh main phir kabhi tujhe apni shakal nahi dikhaunga.... kabhi nahi....par agar tune kabhi bhi meri imandari aur dil ki  sacchai pe yakeen kiya ho toh mujhe ek mauka zarur dena apni baat rakhne ka.
Shayad main sabki nazar me bura ban gaya hun. Par Sameer ka pariwar aaj bhi wahin hai jo saalon pehle tha.

Though munna was angry but Sameer's tears were affecting him to the core.
When it started pricking him in his heart ,he turned towards him and said :   Mujhe ghar pe thoda kaam hai...Nanu ka khayal rakhna aur dawai time pe dena. Maine prescription pe sab likh diya hai.

Maine Kiya Hai IntzarWhere stories live. Discover now