Chapter 13 Bharosa

145 25 11
                                    

As Naina and Sameer reached the ground , Naina saw the same student Ananya sitting there with a boy enjoying lunch together.The boy was gifting her a chocolate.

Naina went to her and seeing her ,the two students got frightened and stood nervously.

Naina :  Ananya  tum yahan is waqt kya kar rahi ho. Lunch time toh khatm ho gaya hai. Aur tum dono sath me ?

Boy : wo mam , mujhe isse notes lena tha , wahi puchne aaya tha. Bas aur kuch nahi.

Naina (suspiciously) : Toh kahan hai notes ?

Ananya (nervously ) : wo toh kal la ke dungi mam. Ghar pe hai.

Naina : Dekh rahi hun aajkal kuch jyada hi padhayi ho rahi hai tumhari , kabhi ground me ,kabhi library me. Aur ye chocolate ke sath kaun padhayi karta hai wo bhi ground me.

Suddenly Sameer intervened : Arey Miss Naina , choriye na. Bacche hai. Lunch hi toh enjoy kar rahe hai. Aur ye toh bahut achi baat hai ki ye log ek dusre ki padayi me help kar rahe hai.Isse bhaichara bhadhta hai.

Naina looked at him glaring at his foolishness.

Sameer : Dekho , aise class miss karna toh thik nahi hai par koi baat nahi. Aagey se dhyan rakhna.

Boy (nervously) : Ji Sir ,hum dhyan rakhenge.

Sameer smiled and said to both of them : Chalo ab mam ko sorry bolo aur class ke liye jao.

They said sorry to Naina and escaped from there. Even Naina couldnt say anything and allowed them to go. But as soon as the students dissapeared ,she turned towards Sameer glaring at him. Sameer saw her glare and made himself ready for a good dose from Naina Devi.

Sameer (nervously) : aise kya dekh rahi ho...Bacche hi toh the...padhayi kar rahe the.

Naina folded her hand and asked : Bacche...kis angle se tumhe bacche dikh  rahe the ? Aur ye kaun si padhayi ho rahi thi lunch box aur chocholate ke sath ?

Sameer smirked and teased her : wahi padhayi jo humlog karte the . Bhul gayi kya ? Itni buddhi toh nahi huyi ho.

Naina : Sameer tumhara dimag kharab ho gaya hai kya ? Wo toh tumne bacha liya warna abhi toh unki class lag jati.

Sameer frowned : Kyun lag jati ? Bhaichara hi toh nibha rahe the, ek dusre ki madad kar ke.

Naina : Bhaichara.....tumhe ye bhaichara dikh raha tha ?

Sameer laughed : Jo bhi chara ho , par unki toh shamat hi aa gayi thi. Bechare kitna pyar  se ek dusre ko chara daal rahe the ,par tumne unhe bhaga ke bechara bana diya.

Naina (strictly ) : Ye School hai .

Sameer : Toh......hum bhi toh isi school me padhte the.Bhul gayi Main tumhare piche ,tum mere piche , munna swati ke piche , Pundit har kisi ke piche ,bhagte the. .......Naina hum bhi toh isi umar se guzre hai. Aur agar dono ek dusre ko pasand karte hai toh ye koi gunah thodi na hai.

Naina : Discipline bhi koi cheez hoti hai.

Sameer smirked : Naina Devi sath bhaith ke khana hi toh kha rahe the , ...koi kiss thodi na kar rahe the.

Naina jerked and looked at him shockingly.

Sameer teased : aise kyun ghur rahi ho.

Naina (incredibly) : Mumbai ja ke besharam bhi ho gaye ho kya , yahan aisi batein kar rahe ho.

Sameer teased : Abhi toh maine kuch kiya bhi nahi hai , kahe ki besharmi. Haan ...tum mauka do toh dikhata hun ki kitna besharm hun.

Naina blushed but masked it with her anger : Sameer....tum mere kaam me interfare mat karo.

Maine Kiya Hai IntzarWhere stories live. Discover now