《Panick attack》

34 5 21
                                    

Chapter-6 《Panic attack》

A little sensitive content ahead skip if you are sensitive and can't handle it

Continuing from where we left

Sab medical room ke samne lage couch par bethe the

Jab sab ishani ko Bahar atte hue dekhte hain tab unki jaan mein jaan atti hai aur woh chein ki saas lete hai

Trisika ishani ko hug karleti hain aur rone ki halat mein bolti hai

Trishika-Kitna dara diya tha tune hume akal toh tere mein wese hi kaam thi yeh toh pata tha lekin yeh nahi pata tha ki akal tere mein thi hi nahi

Trishika roni si shakal Bana ke bolte hain aur sab ye sunke rote rote haste aur ek group hug karlete hain

Fir ishani ko Bahar lejate hain aur usse dining table pe lejate hain as usse khana bhi khilana tha aur uske baad medicine

Ishaan ishani ka khana lata hai aur Beth jata hai aur bina kuch bole ishani ko khana khilane lagta hai

Ishani bas ek taag ishaan ko ghure ja rahi thi (yaha fir kehlo taad rahi thi I mean uska haak hai uska banda hai😂)

Ishaan-taad baad mein Lena mein yahi hun abhi khana kha lo

Luckily waha unlogo ke siva koi nahi tha kyuki bohot der tak un pacho ne ishani ka wait kiya tha issilye Ishani ko guilty feel ho raha tha toh usne sabko andar bhej diya rest karne keliye par ishaan zid karke ruk gaya

Ishani edhar udhar dekhne lagti hai kyuki usko ishaan se nazare nahi milani thi kyuki usko pata tha woh blush kar rahi thi aur agar ishaan ko pata chala toh woh usse zindagi bhar iss baat ke liye tease karenga

Ishaan ishani ke muh ke agge ek aur bite rakhta hai lekin fir ishaani bolti hai

Ishani-apne khana toh khaya nahi hoga

Ishaan-haan tumhare bina accha nahi lagta ab

Ishani-kya mere bina matlab

Ishaan-I mean kuch dino se haam khana saath hi kha rahe thee aur mujhe adat bohot chaldi lag jati hain toh....

Ishani-toh matlab apne kuch nahi khaya

Ishaan saar na mein hila deta hai

Ishan-ap mein dimag hai ki nahi apne subah ka khana khaya hai aur abhi bhukhe hai agar mein bolti nahi toh ap bhukhe hi rehta hain na

Ishaan-umm woh mein bhul gaya

Ishani-hai bhagwan kya karu mein apka

Yeh kehke ishani jis plate se ishaan usse khila raha tha ussi se ishaan ko khilane lagti hai

Jab dono ka khana ho jata hai toh ishaan ishani ko uski medicine khila deta hai aur fir dono change karlete hain aur ishaan bed pe pillow ka partition banata hain aur dono so jate hain

Next day
8:00 am

Morning song khatam hota hai sab breakfast kar rahe hote hai aur as usual ishaani (ishani x ishaan) ek saath ek plate mein breakfast kar rahe the

BTW ishani ki dress

(Guys mein itne task nahi dikhaoungi kyuki I want to focus more on the main leads not the tasks)

Oups ! Cette image n'est pas conforme à nos directives de contenu. Afin de continuer la publication, veuillez la retirer ou télécharger une autre image.

(Guys mein itne task nahi dikhaoungi kyuki I want to focus more on the main leads not the tasks)

Toh kuch time baad sab garden mein Beth ke baat kar rahe the par ishani ne mana kar diya tha yeh bolke ki usse thoda alone time cahiye

Waha Bahar garden mein

Akansha try kar rahi thi ishaan se baat karne ke liye aur apologize karne ke liye ofcourse fake apologize karne

Toh woh xyz game khel rahe the jisme partners cahiye

Akansha-mein ishaan ki partner banugi as ham dono Bahar se friends bhi hai haina ishaan

Ishaan-nahi toh

Ishaan casually bolti hai jise akansha bohot embarrassed ho jati hai fir game ke beech beech mein akansha ishaan ka attention grab karne ki koshish kar rahi thi but koi fayda nahi tha jise woh aur zyada pissed ho jati hai

Otherside

Ishani jo living room ke pass jo choti si space thi jaha bed aur couch rakha tha  waha leti huyi thi

Ishani sab chizo ke bare mein bas soche ja rahi thi haan ho sakta hain woh apne apko normal show kar rahi ho jese kuch na hua ho but woh andar se bohot tuti huyi thi

(sensitive content ahead hate,depression, blood,panic attacks etc)

Ishani's pov
Phir se wahi sab ho rah Kyi hamesha ghuma fira ke apne past ke samne khari ho jati hun kyu mere saath yeh sab hota don't I deserve happiness mein apne parents ko kya jawab dungi papa ji mujhpe kitna trust karete hai woh sabse lad gaye mere dream ke liye aur yaha mein ye kar rahi hun mummy ka kya woh undono ne mujhe bachpan se itna pyaar kiya mujhe jo karna tha woh karne diya mere jo bhi sapne the Sab pura kiye aur mene kya kiya unka naam kharab bass

Fir ishani apna past yaad karne lagti hai

Ek andhere se bhare kamre mein ek ladki bandhi hui behoshi ke halat mein hai tabhi dheere dheere woh apni akhe kholti hai aur apne ap ko ek adhere kamre mein Pati hai woh kafi daar jati hai fir uss kamre ka darwaza khulta hai aur koi Bahar se andar atta uss insaan ko dekhke woh ladki aur ghabra jati hai

Yeh sab soch soch ke ishani ko bina pata chale uske asun bahe ja rahe the aur usko panic attacks ane lagte hai jo har badhte second serious hone lagte hai uski akhoon ke samne sab khuch araha hota hai jiski wajah se usse itna sab sehna pada

Ek kamre ke andar ek ladki apne bed par leti huyi royi ja rahi hai uske liye toh jaise uski zindagi hi khatam ho gayi she hates herself yeh cheez woh bohot ache se janti thi

Ishani ke yeh sab sochne se aur sari batte recall karne se uske panic attacks aur serious ho jate hai woh saas nahi le pa rahi thi toh woh thoda shift hone lagti hai taki usse saas aye but woh iss chakar mein uss bed se hi niche gir jati hai aur uska jo bed ke side mein ek table tha usse lag jata hai aur bohot blood ane lagta hai aur ishani behosh ho jati hai

Dusri taraf sab garden mein game khel rahe hote hai tabhi bigg boss ki awaz atti hai

Bb-living room mein jo lounge area hai waha ishani behosh ho gayi hain waha se unhe utha kar medical room mein turant laiye

So thats it for today hope you like it please comment and vote for the story btw I wanted talk about some things that were about this story I would make a post about it soon ig or I will just publish a chapter for it in the story itself please answer it thanks for reading

Word count-1124

Writer loves you all

Thankyou so much

Bye

~°《TU JO MILA》°~Où les histoires vivent. Découvrez maintenant