chapter 1

178 7 3
                                    


Mosam mamool ki banusbat abar-alud tha. Hawa ke zor se lehlate patto ki sirsirahat ek ajeeb se ehsas se roshna kar rhi thi. Hawa ka ek taiz jhoka wahan mojud charand parand insano sab ko ek ajeeb alfaraib jazbe se roshnas kara rha tha. Fiza mei thandi hawa apna raks bikhairti toh mitti ke zarre fiza mei tehlil hote jhum uthtei. Aasman pe sayah badalo ne deira dala hua tha. Kabhi bhi barish honei ka imkanat wazeh the. Din ka 2 baje bhi shaam ka manzar malum horha tha.
Yeh manzar esey kamre ka hai jo dekhne mei koi art studio lagta tha. qudrati manazir ki bepannah khubsurat paintings deewaro par lagii thi aur kuch pack shuda halat mei deewaro ka pass rakhi gayi thi. Baish qeemat paintings, araishi ashya, crystal, lakri aur mitti se bani munfarid aur mukhtalif decoration piece bhi mujud us aam se art studio ki khubsurti mei char chand laga rhe the.
Water colour, oil paint, acrylic, har tarah ki pencils, mukhtalif brushes, canvas papers, garz ka har woh material mojud tha, jo ek artist ko apni takhlik ka liye darkar ho sakta tha.
Ab hum deewar gair khirkiyo ka janib dekhe to wahan ek larki beithi canvas pr rango se khelti Nazar ati hai.. woh apne gharelu hulye mei loose tshirt phene or baalo ka dheela sa jura banai jisme usne ek pencil bhi phasai rkhi thi, woh apni aankhein choti krei puri tawajjaah se apni painting pr Kisi professional artist ki Tarah hathoo ko harqat de rhi thi. Yeh painting uske khirki se Nazar aatei manzar ki hai. Ek bhot khubsurat garden jiske Charo etraf mei rang barangi phoolo ka raj tha, phoolo ki mehak, parindo ki chehak, pair podo ki khushbu, aasmano pr Chaya sayah badal Jo Barish ka imkanat krta mosam mei ek alag kisam ka tilasma chor rha tha, or Zameen pr Mojud Sanz haryali pr 5-6 sala 4 bache apni masoomiyet or khilkhilahat se es khubsurat mosam ko jannat sa ehsas de rhe the... woh apni painting ka iktatam pr thi, dur se dekhne pr painting mukammal hoti lekin karib se dekhne pr esa lagta ka unhe bhot se touchup ki zrurt hai. Woh ek kamyab artist thi. Uski art uski pehchan thi. Usko Apne profession se behadh muhabbat thi aur Jahan muhabbat ho wahan Kisi kisam ki kotahi nhi hoti hai. Woh apni aankhein choti krei apne kaam mei masroof thi usko apne aas pass ki kisi chiz ka hosh hi nhi tha or tabhi achanak se uske barabar table par rkha mobile ring hua. Woh yakdam se dar or ghabrahat ka aalam mei apni jagah se uth khari hui or apna hath dil pr rakh kr gehri sans lene lagi ka tabhi uski nazar painting pr gayi jo es achanak aftab se uska hath hilne ki wajah se kharab hochuki thi "uffff mere Allah yeh Kya hogya" rohansi hokr painting ko dekhte hue kaha phir mobile ki janib khukhar nazroo se ghura or phr caller I'd dekh kr call receive ki or shadeed ghusse or bebasi ka alam mei kehne lagii "leyla tum kabhi koi kam normal insano ki tarah kr skti ho ya nhi bs itna Bata do mujhe Tum?"

"Woh leyla hi kya jo normal insan wale Kam Karne lag Jai wese kheryet itni ghusse mei kyu ho" dusri janib se ek beyhadh khushgawar awaz ubhrii

"Leyla mei serious Hun, Meri painting kharab hogyi hai yar" usne phirse apni painting ko dekha or uski aankhon mei ab ka panii bharane laga lekin woh agle hi pal usne apni aankhein band krli shayad woh apne aansoo ko girne se rokna chahti thi.

"Ohhh keseee kharab huii tumhari painting" ab ka Leyla ka lehja beyhad sanjida tha q ka woh janti thi uski dost apni paintings ka mamle mei kitni sensitive hai, uski paintings uske jazbat hotei the, aur jazbatoo ki qadar Leyla Mirza se behtar phr Kon samjh sakta tha..

"Choro mei Sahi krlugi Tum batao, abhi subah hi bat hui thi humari phirse call krli tumne. Mere Bina Dil nhi lag rha Kya tumhara" ab ka amairah ne apna lehja Thora normal rakhte hue kaha Sath hi apni painting bhi Sahi krne ki Koshish krne lagii.. jabke Leyla amairah ka Yun badle lehje pr muskura di q ka woh janti thi ka ab uski dost apni life ki philosophy pr Amal krrhi hai

'han bilkul, bhot yad aarhi hai tumhari" bhot muhabbat se kaha phr achanak lehje mei thori sakti ki "isi lie sharafat se 10 minute ka andar andar BOOKCAFE phonch jao mei or Aaliyah tumhara wait krrhe hai"

"10 MINUTEEE???" amairah ko Jese sadma phoncha tha "Leyla mujhe atleast 30 minutes toh do ready hone ka lie or abhi Mujhe painting bhi Sahi krni hai or tmhe pata hai jab tk yeh Sahi nhi Hogi tab tak mei ek inch bhi nhi holugi" bechargi se kaha gaya

ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)Where stories live. Discover now