Chapter 5

31 3 2
                                    

Amairah Siddiqui khamosh qadmo se chalti hui apne kamre ki janib jaa rhi thi. Lounge mei beithi Rabia ne beikhtiyar nazarei utha kar apni beti ko dekha. Jazbat se aari chehra. Bilkul khamosh hont. Nah unpe muskurahat thi nah Kuch kehne ki sakt. Aankhein Zameen par markuz kiye woh qadam agei barhati jaa rahi thi. Rabia ko laga Jese kisi ne uska Dil jakar liya ho.
"Amairah" woh Dil bardashta hogyi
Amairah ka qadam tham gai
Woh apni jagah se uth khari hui or amairah ka pass aa khari hui. Usko Apne seenei se lagaya. Amairah ne koi tasir nhi Liya. Woh khamoshi se bilkul sidhi khari rahi. Phir woh amairah se alag hui or uska hath tham kar kehne lagi
"Beta yeh zindagi hai. Esei hi hoti hai. Har insan ki Zindagi mei ghum aata hai or phr woh move on krleta hai. Tum kab tak mazi mei jeeti rahogi. 5 Saal homei ko hai us hadse ko amairah. Kab tak khudko taqleef deti rahogi. Mei bhi aagei barh gyi Hun ab tum bhi barh jao beta...." Isse pehle rabia aagei kuch kehti amairah ne jhatke se Unka hath chora "ap toh yehi kahegi nah ami, Kyu kei woh apki beti nhi thi..." rabia ko jese apne kanoo par yakin nah hua "amairah" unke lehje mei taqleef thi. Lekin amairah bina parwah kiye kahe jaa rhi thi "Apne move on krliya q ka woh apki sagi beti nhi thi, Apne usko paida nhi Kiya yha, ap uski sagii maa nhi thi, isi lie Apne usse move on krlia" rabia ki aankhein bhegne Lagi thi. "Lekin woh Meri sagii bhen thi Ami" usne Rabia ki aankho mei dekh kr behad sakti se kaha. Uski aankho mei surkh lakeerei thi or uski maa ki aankhein nam thi.
"Beta mei bas tumhare bhale ka lie..." Rabia ne aagei barh kr amairah ko thamna chaha Lekin amairah Apne qadam pichei barha gayi or Rabia ki bat bhi kat gayi "bas kare apna yeh drama ap" chilla kar kaha gaya "ache se janti hu mei apko koi farq nhi parta, sab jhut hai, dikhawa hai apka" uske aansuu behne lag Gai the. Woh Jo Kisi ko Apne aansu nhi dikhana chahti thi ab kamzor parne lagi thi. Rabia uske kareb hoke usko galei se lagana chahti thi, uske aansu saf krna chahti thi lekin woh apne kamre ki janib bhag gayi. Rabia khamoshi se bheegi aankho se uske kamre ka darwaza band hota dekhte gayi.
Woh band darwaze se taik lagai wahin Zameen pr girtei jese andaz mei beithti chali gayi. Usne apna chehra ghutno mei diya. uske aansuu Ab pehle se bhi zyada taiz raftar se Azad honei Lagei. uski siskiyo ka silsila Shuru hogaya. Ab sab uski bardasht se bahir horaha tha. Ab woh mazeed bardasht nhi kar sakti thi. Uske khamosh lab ab zor zor se chilla Rahe the.. aankho se aansu jarii the... Usne Apne Baal jakrei. Woh chilla Rahi thi. Uski aankho ka pardo par chahya manzar usey pagal kr Raha tha. 'Khoon se lat pat hui ek lash'. Kaano mei gunjti ek awaz, ek jumla 'woh.... Woh ab kabhi wapis nhi aygi, woh jaa chuki hai, hamesha hamesha ka liye' Uska sar ghumne Laga. Woh chahtei hue bhi khud pr zabt hasil nah kr saki.
Larkharate kadmoo se khari hoti woh bedside table ki taraf devar ka Sahara leti janei lagi. Phr nichei beith kr dusri drawer kholi wahan bhot si davaiya rakhi thi. Usne chizo ko ulat pulat karka Kuch talashna chah toh usne ek safaid rang ki bottle uthai jispe 'sleeping pills' likha tha. Usne bottle udail kr 3,4 goliya nikali or muh mei dal kar Pani ka ghot bhara. Chand lamha woh wahi beithi Rahi. phir jab Nind ne usko Apne zeire-asar lene lagi toh uth kar bed pr Neem daraz jogyi or chhat ko takne lagi, uski aankhein ab bhari honei lagi thi yakinan nind ki goliya apna asar krne Lago thi. Woh nind ki waadiyo mei jaa khoyi. Hamesha ki Tarah aj bhi woh apni taqleef se bhag gyi. Usme himmat nhi hui such ka samna Karne ki. Usne ek dafa phir khudko such se Anjan kar Liya.

Agli subah uski nind Kisi ki awaz se bedar hone lagi. Usne mehsoos Kiya ka koi usko kandhe se Hila Raha hai or Kuch keh bhi Raha hai. Woh gunudgi ki halat me sab samjhne se kasir rahi. Usne halki si aankh kholi or phir band krli ka tabhi Kisi ne uske oper Pani se bhara glass phenk diya.
Amairah harbarate hue uthi. Uski aankho mei hairat or sadma tha. Pani uske chehre pr Apne katre chorta hua beh Raha tha. Uska chehra or bistar dono bhig chuke the. Usne beyakini se samne khare wajud ko dekha.
Sayah aankho mei Kajal , gulabi lab pr muskurat, thikei nain nakosh mei tilassam, badami rang wajud, Lambe sayah Baalo ki ek dheeli dhaali choti banai kandhe pr aagei hui thi, safaid lambi kamiz aur dono hatho mei kuch churiya pehne Leyla Mirza Kisi shehzadi se kam nhi lag rahi thi.

ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)Where stories live. Discover now