chapter 9

35 3 1
                                    


"Aaliyah" zain ka laboo se besakta nikla tha
"Hmm Aaliyah, Kafi waqt bad mile ho" aaliyah ka lehje mei kuch ajeeb tha jo zain smjh nah saka tha
"Han masrufiyet thi Kuch Tum sunao yeh aankhein ..." Pal bhar ko ruka "tumhari ankhein itni laal kyu horhi hai?"
Aaliyah ko achanak is sawal ki umeed nhi thi, Chand lamhe ka waqfe ka bad usne kaha "Nind puri nhi hui shayad isi liye"
Zain ka lab "Oh achaa" mei hilei
"Tum khare kyu ho beitho nah" aaliyah ne kaha toh zain apni chair khinchta wapis beith gaya or sath hi aaliyah bhi beith gyi "wese tum mujhe dekh kar itna shock kyu hue the" halke phulke lehje mei pucha
"Mujhe umeed nhi thi tumhare yahan hone ki isi lie bas sadma phoncha thora" uske kehne par Aaliyah ki hasii besakta tha
"Acha wese Meine suna hai tum yahan apni marzi se nhi ayy ho" aliyah ne pucha
"Jab sun hi Lia hai toh phir puchne ka Kya tuk banta hai" wohi Zain ka uksaya hua lehja Lekin Aaliyah ne Bina bura manai kaha "q ka mujhe tumse bat karni hai aur mujhe Jo bhi topic milega bat Karne ko mei Karti rahugi...." Woh bol hi Rahi thi ka uski Nazar zain pe gayi Jo aankho mei sakti lie mazeed Kuch kehne se usey rok Raha tha. Zain ka Andaz aesa tha ka Aaliyah ki rirh ki haddiyo mei sansanii paida kar gayi thi. Aliyah khamosh hogyi.
Phir chand lamhe bad usne phir se bat Karni chahi es bat se Anjan ka ab uska Kuch bhi kehna zain ka para high Karne jesa hoga
"Wese Zain tum hamesha mere Sath itni sakti se Kyu paish aate ho Matlab meine kabhi Tumhe kisi or ka sth aesa karte....." Zain ne uski chalti zuban par rok lagayi "mei tumhe bas tumhari hadood mei rakhne ki Koshish karta Hun Aaliyah Jo Tum har waqt par Karti rehti ho. Behtar yehi Hoga ka tum jald az jald yeh bat samjh jao warna" aaliyah ki janib thora agei ko hua aur sakti se uska bazuu pakra jispe Aaliyah ki karah nikli "jis din Meri bardasht khatam hui.... Us din tumhare pass pachtane ka lie bhi koi ehsaas baqi nahi rahegei" ek jhatke se Aaliyah ka bazuu chorta, kursi ko pichei dakheilta, uth khara hua aur hotel ka pichle hisse ki janib barh gaya. Jabke Aaliyah wahin sadme mei beyakini se beithi Chand lamhe pehle hui apni be-izzati ka ghont halak se utarne ki koshish krne lagi.
'Akhir ek aurat ka liye isse bari zalaalat Kya hi hosakti hai ka jis shaks ka pichei woh apni aana, apna guroor, apni izzat sab qurban kardei Wohi shaks usey aasmano se khinchei aur Zameen par laa patkei... ' uske kaano mei yeh ek awaz gunji. Woh bachpan se yeh alfaz, yeh jumle sunti ayi thi lekin Inka matlab isey shayad aj samajh aanei Laga tha.
Aaliyah ne apni aankho mei umatthti namii ko andar dakheila aur uth kar hotel ka andar chali gayi.
______________________________________

Zain Ahmed jo Aaliyah ka samne behad sard lehje se paish aaya lambe dag bharta hotel ki pichli janib mura tha uski raftar ab Kam ho chuki thi.
Woh ab sust qadam uthata chal Raha tha, uska zahen har kisam ka khayalo se aari hua wa tha. Lehza woh Kuch sochna nhi Chahta ho.
Hotel ka pichla hissa behad sunsan tha, wahan Kisi ka aana Jana bhi nhi tha. Behad pur sukun, koi shor koi bheer nhi. Zain ko aesi jagahei behad pasand thi Jahan woh tanha reh sakei. Khamosh reh sakei. Aur aasman ko dekhta rahei. Subah ko Suraj ki Roshni mei lehlatei badal aur Shaam ko aasman ka badalta rang uske dil ko behad sukoon phonchata tha.
Inke ilawa Raat ka sayah aasman mei timtimatei sitarei uska pansandeedah manzar tha.
Woh har raat aasman ki janib dekhta.
Sitaroo ko ghurta aur na janei Apne dimagh mei sitaro ko jor kar kya Kuch bunta rehta tha woh. Kabhi kabhi toh woh bilkul koi Chota bacha hi lagta tha jo sitaro ko dekh kar behad excite hojata hai aur phir unme Apne Ami, Abu, Bhai, bhen sabko dhundta hai.
Zain bhi shayad Kuch aesi hi Kisi talash mei rehta tha.
Usey lagta tha ka shayad in sitaro ko jornei se uski zindagi k band darwazo ki chabiyaa mil jai gi aur woh azad hojai ga har tarah k qaid se.
Es waqt bhi Zain sar oper kie aasman ko dekh Raha tha.
Andhera honei ke ba'is aasman saaf nazar aa Raha tha.
Woh apne zahen mei sitaro ko jor kar Kuch bana Raha tha ka tabhi uski simaato se Kisi ka qadmo ki aahat takrai "Itni sunsan jagah par Kon hosakta hai aur woh bhi es waqt" usne Socha aur phir kandhe uchka diye ka "Jo bhi ho mujhe Kya".
Woh wapis muskuratei hue aasman ko dekhne lag gaya
Woh thandi Hawa ko saanso se khinchta Apne jisam mei utar Raha tha
Woh is qadar kho gaya tha ka usey qadmo ki aahat sunai Dena bandh ho chuki thi
Woh qadam uthata shaks ab uske pichei bas 2 qadam ki duri par aa khara hua tha
"Tum aj bhi sitaroo ko dekh kar kho jatei ho zain" uski naram si rondhai hui awaz zain ki simmato se takrai, Zain ke chehre pe bhikri muskurahat ki chaddar simat gayi, chehra bilkul spat hogaya.
Zain pichei palta.
Ek larki khari thi.
Aankho mei naami lie.
Usey hi dekh Rahi thi. 

____________

.

ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)Donde viven las historias. Descúbrelo ahora