20

316 14 0
                                    

lekin sameera ko mein kahan dhundungi? mein ne to kabhi Maliha ke nanhiyal mein se kisi shakhs ko
qasr e faron mein aata jata nahi dekha.
to phir sameera se mein kaise milungi?

woh sochne lagi!
meri Mommy!
Shayan ki mother ki cousin hain.

taniya ko achanak faiza ki baat yaad aayi aur uchal kar apni jagah se khadi ho gayi.

oo my god.... faiza aur Shayan ki maayein aapas mein cousins thi.

Shayan ki maa ki hesiyat se to
sab Maliha ko hi jante hein
aur faiza ki maa hain sameera aunti.

aur faiza Afaq yani sameera Afaq....
its really Amazing! woh hasne lagi.

mein teen saal se is ghar mein
ja rahi hoon, jiske rehne walon ka rishta qasr e Farooqi se barso pehle khatam ho chuka hai.

aur Jawad ki engagement wale din
Afaq uncle, papa ke naam par choke bhi to the.

shak ki to koi gunjaish hi nahi.
aur ab age ki kahani
Sameera aunti sunayngi.

woh josh mein chalti
apne kamre se gaadi ki chaabi utha kar porch mein aagai.
aur kuch hi der mein
woh faiza ke ghar par thi.

faiza ne usey dekha to hairan reh gayi.
tum...

haan mein!
lekin tum is qader hairan kyun ho?"

tumhe pata hai, raat tumahre jane ke baad kya huwa?
faiza un suni karte hue boli."

mein shuru"se hi chahti thi ke
tumhari aur Shayan ki shadi ho jaye
aur Shayan ko tumahre papa ka naam sun kar hi ooth patang qisam ke khauf satane lage the aur kal mein ne
Shayan ko jhoot bol kar isi liye bulwaya tha ke tum dono aamne samne baith kar baat karoge to shayad.
uske dimagh se khauf nikal jaye.

phir tum bhi iski baat maan gayi to aakhri hal yeh hi bacha tha ke
mein wajdan uncle ko sab kuch bata doon. aur mein ne inhen sab bta diya. "

achhaa to is liye
woh papa aur dada jaan se milne
ghar aa phuchein.
mein bhi hairan thi ke itne saloon mein to woh kabhi dada jaan se milne nahi aaye to aaj kiya wajah ho sakti hai?

" kiyaa wajdan uncle
tumhrein ghar aaye they?
" faiza poochney lagi.

aaye the.nahi,
is waqt bhi woh qsrِ e Farooqi
mein mojood hein. "

bohat bad ikhlaq ho.
itney barson baad
woh tum logon se milney aaye aur
tum inhen chode kar yahan chali ayi ho.

pahle usey sarznish ki.
Unki papa aur dada jaan ke sath
khufia meeting chal rahi hai,
is liye meri is bud ikhlaqi se
koi farq nahi padega.

acha suno! mein aaj khaas tor par
aunty se milne aayi hoon.
inhen kamre mein bulaa lo.

woh apne matlab ki baat par aagai.

kheriyat? " faiza ne poocha.

haan bas tum inhen bula lo!

theek hai.
woh keh kar uthi aur room se chali gayi.

Faiza bata rahi thi,
tum khaas tor par mujh se milney aayi ho.
" bed par bethne ke baad woh mohtaat andaaz mein boli.

jee aunty!
aap se kuch zaroori baatein karti hain.

aik minute " unki ijazat pa kar
isne faiza ki taraf rukh kiya.
faiza hamein kuch der ke liye
akela chode sakti ho.

haan kyun nahi. woh hairan to hui
magar foran hi jane ko khadi bhi hogayi. "

mein chaye bana kar lati hoon. "
kisi takalouf ki zaroorat nahi hai.
bas itna khayaal rakhna,
jab tak mein kamre ka darwaaza khol na dun, koi hamein disturb nah kere. "

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Where stories live. Discover now