31

261 13 0
                                    

Fajar ki azaanon ke sath
Karachi ke muzafaat mein
zindagi mamool ke mutabiq jaag uthi thi.

chacha hotel" ke maalik chacha roz ki tarah apni bhenson ka doodh nikaal kar chhoote ki humraahi mein tadh ke hi pahonch gaye.

taaki ghirakon ke aane se pehle
unke nashte ka bandobast ho sake.

waisey bhi is hotel par girhak bohat ate the. aik to yeh aya ke yeh wahan high way ke sath tha. dosre aas paas pachaas 50kilo meter tak koi dosra hotel nahi tha.

isliye high way se guzarne wale truck driveron ko pait pooja ke liye
chacha hotel mein hi rukna padta.

aya to doodh ki baltiyan side mein rakh kar thadhe par betha gharare karne laga aur chhota chaar payyon ko Bazyab karane ke liye kitchen ke darwaze ka tala kholne laga.

tabhi iski nazar tandoor ke sath
rakhe lakdion ke dher par padhi.

use wahan koi chhupa huwa nazar aaya. Usne phus phuss" ki aawaz nikaal kar chacha ko mutwajjah kar ke
lakdion ke dhair ki taraf ishara kya.

chacha ne ankhen sukhair kar
dhair ko dekha phir kisi ki jhalak pa kar woh thodhe se utar aye wo pehelvaan tha,

usne chupe hue se darne ki zaroorat mehsoos nahi ki aur iske sar par pahonch kar iska shana daboch liya.

haan bhai! bol kon hai tu?
aur idhar ghusa kya kar raha hai? "

hush! isne foran muh par ungli rakh kar use chup hone ko kaha
phir idhar udhar dekh kar
iske kaan ke paas sargoshi ki.

aahista balo nahi to inhe pata chal jayega ke mein yahan par chhupa hoon. "

kis ko pata chal jayega?
chacha uske lehjey mein bola.

woh jo andar hain. " isne kitchen ke darwaze ki taraf ishara kya.

chhoote ne dar ke maare taala hath se chode diya aur darwaze se do qadam peeche hatt kar khada ho gaya.

darwaze par to tala hai.
phir koi andar kaisey jayega?
chacha bola.

woh darwazey se nahi gayi. "

phir? chacha ne choank kar poocha.

woh wahaan se andar gayi hain.
chacha aur chhoote ne iske haath ke ishare ki taraf dekha to hans pade.

"oyee, woh yahan se andar gayi hain? kamaal ho gaya.
chacha ne roshan daan ki taraf dekh kar hanste hue kaha jis mein se koi bachi bhi mushkil se guzarti.

aur iski baton se to lagta tha
woh kisi khatoon ka zikar kar raha hai.

haan woh sanjeedgi se bola."
tum inhe batana nahi ke
mein yahan hoon.
agar inhen pata chala to
woh bhag jayengi. "

chal nahi batate.
par hamare milne par to pabandi nahi hai.

o chhootey! tala khol.
woh badastoor mazaaq udate hue chhoote se bola jis ne tala to khol diya lekin darwaaza bada rehne diya.

tu isi liye chhota hai.
chacha iske khauf par
use malamat karta kichen ka darwaaza khol kar andar chala gaya hai.

chota bhi khauf zada hota andar aaya phir wahan to koi nahi tha.
Usne sukh ka saans liya aur chaar paiyaan bahar bichene laga.

isne oot mein hokar andar jhakka
phir inhe nah pa kar
woh kitchen mein agaya.
woh kahan chali gayi? "

o bhaya! yahan koi nahi hai. "

nahi. woh idhar hi thi.
mein ne khud dekha tha.
woh sadak cross kar ke yahan ayi,
phir tund dar par chad unhone
Roshan dan se andar chhalang lgali.
woh zaroor mujh se choup rahi hain. "

Ishq e Aatish By Sadiya Rajpoot Donde viven las historias. Descúbrelo ahora