Suhasini's Reality Check To Her Family

306 28 5
                                    

Scene : Goenka Villa

Suhasini is immersed in some deep thoughts and smiling imagining something. Manish and Swarna notice this.

Manish : Maa baithe baithe muskura kyu rahi hai Swarna?
Swarna : Pata nahi par bohot gehre vicharo mai khoyi hui hai

Manish and Swarna go near her and sit beside her

Manish : Kya soch rahi hai Maa?

Suhasini comes back to reality

Suhasini: soch rahe the ki humara yeh ghar agar dulhan jaise sajega toh kaise dikhega? Humare iss ghar mai jab dulhan sajegi toh kaise lagegi. Har taraf khushiyan, mauj, masti.
Saara taam jhaam... Yahi sochte sochte Kartik Naira ki shaadi yaad aagayi.. unki shaadi ki rasmein.. phir unse judi saari yaadein ek ek kar k aankhon ke saamne aane lagi. Ek baar phir hum unsabko jee rahe the ki tum bich mai aagaye

Manish : Sorry, Sorry mujhe aisa nahi karna chahiye tha par aapki muskan ke piche ki wajah jaanani thi

Suhasini : toh sun liya na.. chalo..ab jao tum dono hume phirse piche jaane do..

Manish : nahi maa, aap akeli kyu, mai aur Swarna bhi chalenge

Akhilesh and Surekha enter the scene

Akhilesh: kaha jaane ki baat ho rahi hai bhaisahab, hume bhi saath le chaliye

Manish : thik hai, chalo baith jao, sab milke chalte hai yaadon mai

Akhilesh: Yaadon Mai?

Manish : Ha, Maa purani yaadon mai khoyi hui thi, humne kaha hum bhi aate hai

Surekha : Purani yaadon mai khone se accha hai unhe taza banaye taaki woh aur yaadgaar bane

Swarna : Woh kaise Surekha?

Surekha : Unhe phirse jee kar

Suhasini : Surekha.. tumne humari man ki baat boldi. Hum bhi wahi soch rahe the.

Akhilesh: Toh batayiye Maa, kya karein

Suhasini : Ghar ko phirse dulhan ki tarah sajana hai

Swarna : Maaji ko Kartik aur Naira ki shaadi yaad aagayi

Akhilesh: par maa ab koi tyohar toh nahi hai, toh ghar ko dulhan ki tarah kaise sajaye

Surekha : Haa Maaji, aur Kartik Naira ki anniversary bhi nikal gayi.

Suhasini : humne soch liya hai ki isi saal humara yeh ghar Dulhan ki tarah sajega aur iss ghar mai dhum dham se shaadi hogi

All : Shaadi?!

Manish : Kiski Shaadi Maa?

Surekha : Iss ghar ki beti ki

All are shocked to hear this

Manish : Yeh aap kaisi baatein kar rahi hai Maa. Par yeh nahi ho sakta. Humari bacchiyan toh bohot choti hai, naabaalik hai. Nahi Maa, yeh nahi ho sakta

Akhilesh : Ha Maa, yeh galat hai
Swarna: Manishji bilkul sahi keh rahe hai. Yeh nahi hosakta Maaji yeh galat hai
Surekha: Mai soch bhi nahi sakti Maaji ki...

Suhasini interrupts

Suhasini : pehle tum sab humari puri baat suno. Hum jaante hai ki yeh galat hai. Aur hum bhi aisi baaton ke sakht khilaf hai. Hum Akshara ya Aarohi ki baat nahi kar rahe hai

Surekha: Toh aap kiski baat kar rahi hai Maaji?

Suhasini : hume bada dukh ho raha hai, ki humare hote hue bhi iss ghar ke baccho ke saath nainsafi ho rahi hai. Rajshriji ne bilkul sahi kaha tha. Aarohi bhale hi kartik ka khoon na ho par uske paida hone se pehle hi kartik ne use apna liya tha. Woh Kartik ki hi beti hai, humari beti hai, Goenka ki beti hai iss baat ko koi jhutla nahi sakta. Par Aarohi ko apnapan dikhane mai koi kami na rahe, isilye humne Akshara ko jaane anjaane parayapan dikhaya. Aur toh aur Akshara se pehle bhi iss ghar ki ek beti hai. Badi Beti. Jise Kartik aur Naira ne kaanunan godh liya tha, apna naam diya tha. Iss ghar ki badi beti, Krishna!

Naira ke jaane ke baad, uss bacchi ne iss ghar mai kadam tak nhi rakha. Kartik ne Sirat se shaadi ki iss baat se woh itna naraz ho gayi ki humesha ke liye usne apne aap ko iss ghar se dur kar diya. Sirf paise bhejne se, phone pe haal chal puchne se apnapan nahi tikta. Kartik Naira ke dono betiyonke saath humne nainsafi ki hai. Ab galti ko sudharne ka waqt aagaya hai.

Hume apna farz nibhana hai. Krishna ki Shaadi ki umra ho gayi hai. Accha sa ladka dhund ke dhum dhaam se Krishna ki shaadi karayenge. Koi kami nahi chodenge.

Surekha : Par Maa ji uss ladki...

Suhasini interrupts

Suhasini : Krishna.. Krishna naam hai uska. Agar Krishna parayi hai toh Aarohi se itna apnapan kyu? Aur agar Aarohi apni hai toh Akshara se itna parayapan kyu Surekha? Batao Akhilesh? Batao Swarna? Manish ne jab jab Aarohi ko uski galti pe daatna chaha, tumne use bacha liya aur kabhi Swarna ne. Krishna ko toh Kartik Naira ne khud apna naam diya tha. Agar Aarohi iss ghar ki beti hai toh Krishna bhi. Aur Krishna ka haq toh Akshara se bhi pehle hai. Woh badi beti hai.

Manish, Swarna tum dono kal hi Jaipur jaoge aur Krishna Bitiya ko ghar wapas le aaoge.

Manish : Maa, hum kitni baar gaye? Par woh kabhi nahi maani

Suhasini : tum dono ko bata kar hi galti kardi maine. Waise bhi Kairav aur Krishna waha ek hi ghar mai rehte hai. Hum Rajshriji se kehkar Akshu ko bhi waha bhijwa denge. Dekhna, woh dono use wapas lekar jarur aayenge


Kaira Ka KairavWhere stories live. Discover now