Poshida Raaste

12 2 0
                                    

Faiza apne kaam me mashghool thi ke mami ki aahat pr chaunk uthi. Aaj Faiza ko Fardan se mile 1 hafta hogaya tha aur usse wo diary lene jaana tha. Wo ab tk bs ek bahane ki talash me thi. Phir kuch uske mann me aaya aur wo apne mami se kehne lagi, "Mami ji wo mai itne din se ghar baithi bahot bored hogayi hu ...kaam bhi mere paas itna rehta nahi...toh kya mai library jaa kar kuch kitabein le aau?"

"Kitabon kya muft me milengi?" Mami ne chidd kar pucha.

"Nahi wo Hadi bhai aur Sadia aapi ne mujhe kuch rupaye diye the toh mai usse le aaungi." Wo thoda dheere se boli.

"Kitne rupaye diye the?" Mami aankhein chadhaate hue puchne lagi.

"5000." Faiza ne imaandari se raqm batayi.

"Kitabein 5000 ki aayengi?" Mami ne sawaal kiya.

"Nahi wo toh kam paison me aajayengi." Faiza ne jawab diya.

"Theek hai 500 apne pass rakho baaqi mujhe dedo. Tum fuzool kharchi karoge. Mere pass rahenge toh kisi ache kaam aajayenge." Mami ne kaha toh Faiza khamoshi se paise unhe thama kar apne kamre me chali gayi.

Wo bus stop pr baithi ab Shehri ka intezar kar rahi thi. Shehri kahin nazar nahi aa raha tha. Aadha ghanta intezaar karne ke baad Shehri wahan aagaya tha jisse dekh kar Faiza badi khush hui thi. Aaj bhi Shehri ne khudko poori tarah se chupaye rakha tha. Black tshirt, blue jeans, black cap, mask aur chashma lagaye wo kisi secret mission pr aaya ho aise lag raha tha. Shehri ne muskurate hue diary Faiza ko thama di aur bina kuch kahe wahan se jaane laga.

"Kya baat hai Shehri? Aaj bahot jaldi me lag rahe ho." Faiza ne toka.

"Haan wo mujhe kuch urgent kaam hai toh mai bas ussi silsile me." Shehri ne kaha.

"Theek hai toh hum agle hafte milenge." Faiza ne kaha aur bus ke intezaar me wahan rakhi bench pr baith gayi.

"Kya hum ye hafte hafte ki jagah roz din me ek baar nahi mil sakte diary exchange karne ke liye?" Shehri ne pucha.

"Nahi aap toh jaante hai na mai mere mami ke yahan rehti hoon. Wo mujhe ghar se bahar jaane ki ijazat nahi deti. Mai yahan bahot mushkilo se aayi hoon." Faiza ne kaha.

"Aap college ke bahane se mujhse mil liya karna." Shehri ne kaha.

"Mai ne diary me kaha toh tha na mai college nahi jaa sakti." Faiza ne gehri saans le kar kaha.

"Aur mai ne bhi uska ek solution diya hai apko. Aap meri baat maanogi toh beshak bahot jald apko roz mujhse milne ka mauqa mil jayega." Shehri muskurate hue bola.

"Aisa kya likha hai?" Faiza puchne lagi.

"Wo ghar jaa kar araam se padh lena." Shehri ne kaha aur tabhi Faiza ki bus aagayi toh wo uth kar bus me chadh gayi.

Flashback Ends.

******************************
Faiza aur Fardan dono ne bhi apne past ki dosti ke baare me zyada baat nahi ki aur apni jagah sone chale gayi. Faiza raat bhar Shehri aur Fardan ke beech ki aam baatein ghaur karti hui karwatein badal rahi thi. Wahin dusri taraf Fardan Faiza ki iss bechaini ku note karta hua muskura raha tha. Kuch der baad neend ke pardon ne dono ki aankhon ko dhaanp diya aur wo dono khwaabon ke sheher me gum hogaye.

Subah Fajr ke saath Faiza ki aankh khul gayi toh wo naha kar fresh hogayi phir wazu karke namaaz padhne thair gayi. Namaaz padhte hi uska dhyaan sofe pr gaya jahan Fardan nahi tha. Faiza jaanti thi wo roz yahi karta hai toh apne khayaalon ko anjaan maarte hue Ayesha ke pass aagayi jo Qura'an-e-paak ki tilawat kar rahi thi. Ayesha ko masroof dekh kar Faiza nicche kitchen me aagayi aur sab ke liye nashta banane lagi. Fardan bhi kuch der me ghar aagya tha. Fardan aur Faiza ki shaadi ke baad sab ne aaj pehli baar saath baith kar nashta kiya. Nashta karte hi sab ready hogaye aur Fardan apne office jaate hue Faiza aur Ayesha ko college chodhta hua chala gaya.

Koi chairman ki car se utarte hue na dekhe isliye Ayesha ne car thodi dur hi rukwa di thi. Faiza pehle college me chali gayi phir kuch der baad Ayesha college me aagayi. Faiza ke israar karne pr ye sab hua tha kyunki Faiza nahi chahti thi uska aur Fardan ka rishta uski degree hone tk kisi ko maloom pade.

************************************

"Sir, apse koi milne aaya hai." Ek aadmi ne Fardan se kaha jo kisi khayalon me baitha laptop dekhne me masroof tha.

"Excuse me sir?" Wo aadmi phir bola. Fardan ne apna dhyaan uski taraf kiya toh wo aadmi phir se bola ke koi usse milne aaya hai.

"Haan andar lao usse." Fardan ne sanjeeda ho kar se kaha.

"Assalamualaikum sahab ji." Wo aadmi Fardan ke aage sar jhukaye bola.

"Walekumassalam. Aaiye baithiye yahan aur boliye baba kya kaam tha apko." Fardan ko itna izzat se baat karte dekh kar sab hairath se dekh rahe the.

Wo log Fardan ki secret hideout me baithe the. Kam se kam 50 aadmi the wahan jo Fardan ke ek ishare par marne maarne ke liye taiyyar rehte the. Aaj wo apne hi ek bande ko uske gunah ki saza dene wahan aaya tha. Fardan ke shehar bhar me kam se kam 20 secret hideouts the jahan reh kar wo apne saare kaale karname anjaam deta tha. Jaise kisi ka qatal karna ya unhe iss qadar azeeyath dena ke wo usse khud ko maar dene ki minnatein karte reh jaate pr wo ek Devil tha jisse kisi pr rehem nahi aata tha. Dhokebaazi aur Chori aise 2 jurm the jisse Fardan ko bahot zyada nafrat thi aur uske hi ek aadmi ne 20,000 ki chori karli thi toh Fardan ne aaj uska haath kaat diya tha. Wo aadmi agr usse maangleta wo usse 20 laakh dedeta tha lekin usne wo gunah kiya tha jiski maafi Fardan ke adalath me nahi milti thi.

"Sahab ji wo aap jaante hai na mai ek gareeb shaqs hu aur mera zyada kuch nahi hai. Mai bas ap logon ki mehrbani pr hi toh jeeta aaya hoon lekin ab itni mehnat karke mai ne budhape me jaa kar ek zameen khareedi thi jiske sahare mai aur meri biwi apna budhapa kaatne wale the lekin ek lalchi shaqs ne dhoke se humse uss kaagaz pr dastakhat karwa liye aur bina paise diye saari zameen apne naam karli. Ab hum sadak pr aagye hain maalik. Kuch kijiye aur humein hamari zameen wapis dila dijiye sahab. Mai zindagi bhar apka ehsaanmand rahunga." Wo buddha aadmi rota hua Fardan ke pair pakadne ko aaya tha toh Fardan ne jhatke se apne pair durr kar liye aur unn buddhe baba ko uthate hue bola, "Baba please aap ko mere pair pakadne ki zarurat nahi hai. Aap mujhe hukm dijiye. Mai apka beta hu na."

Fardan apne gusse ko qaabu me laane ki koshish kar raha tha lekin uska gussa qaabu me hi nahi aa raha tha. Usne gehri saans li aur phir kaha, "bas aap naam bata dijiye kisne ye himmat ki hai. Mai abhi usse jaa kar milunga."

"Sahab mai uska naam toh nahi jaanta lekin uska ek beta hai jisse mai jaanta hu. Uske bete ka naam Shamsher Sikander hai." Uss buddhe aadmi ne kaha.

"Shamsher Sikander!!" Fardan mann hi mann kuch sochte hue kisi ko call karne laga.

************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now