Part 4

492 49 27
                                    

Aditya & Devaki both came to hospital at same time. Dr. Unnibhavi called them.

"May I come in Dr..? " Aaditya asked politely.

"Come in Dr. Aaditya. " She said.

Devaki was already there.

"Aap dono ko camp ke baare me pata hi hai.. Aur as a senior Dr. Aap dono uss camp me ja rahe hai.. " Unnibhavi declared.

Both made an irritated face.

"But mam we can't.. Hame elections ke liye prepare karna hai.. " He said making an irritating face.

"No Dr. Aaditya. Aap dono senior interns hai.. Aap hi dono post graduated hai.. Aur aap hi hamare clg ko represent karenge iss camp me.. No excuses.. "

"But mam hume sare chhote baccho ke sath jana padega.. Wo log dimag kha jayenge.  " Aaditya said while playing with his engagement ring.

"Aap pediatrician hai na Dr. Aaditya..?? Pediatrician matlab aap Child specialist hai.. To aap ko baccho se koi taqlif nai honi chahiye.. And this is my final decision.. Hame waha specialists bhejne hi hai.. Aap Dr Aaditya waha ke baccho ka poora check up karwake reports hame bhejenge.. Aur Dr. Devaki.. Aap Gynaecologist hai na..?? To aap waha ganv ki sari aurto ka check up kijiye unse baat kijiye.. Unhe sari baatein thik se samjhaiye.. Ab aap dono jaiye aur junior interns se baat kijiye.. Go.. " Finally she completed.

Both came out of the cabin.

"Meri life hi kharab hai.. Ab mujhe elections ke waqt kisi gaanv me jake rehna padega" She said while slapping her forehead.

"Are waha jake itna punya ka kaam karogi.. Tumhe apna feminism uss ganv ki ladkiyoko batane ka mauka mil jayega.. Aur apne sath unhe bhi feminist bana logi tum.. " He said in a teasing voice.

His phone ranged so he went.

Sumedh came there running.

"Dada kaha hai...??  Wo bacchha.. " He was running out of breath.

"Kya hua Sumedh..?? " Devaki asked.

Aarushi came there with a baby in her hands.

"Aaru kaun hai yeh..?? " Devaki asked her.

"Tai.. Yeh bacchha abhi aya hai hospital me.. Look iska heart bahot low beat kar raha hai.. Ise pakdo na.. " Aaru explained her the situation.

Devaki became alert & took some steps back.

"Bacchha nai utha sakti main.. Mujhe dar lagta hai.. Agar gir gya mere haat se to..?? Aadi ko bulao.. Wo utha lega.. " She said in a worried tone.

Aaditya came there.

"Kya hua..? " he asked looking towards scared Devaki.

Sumedh told him about the baby.

"Oh no.. Aarushi jake kaho ki children's ward me iske liye sab kuch tayyar rakhe.. " He ordered her.

She nodded. Aaditya simply took that baby in his embrace. Devaki was looking towards that baby who was now looking cold. He went towards children's ward.

  Aarushi & Sumedh came out of the ward.

"I hope wo baby thik ho.. " Sumedh.

"Don't worry.. Jiju jaroor thik karenge use.. " Aarushi said with confidence.

"Haan.. Kar denge.. "

Aaditya came out.

"Kya hua jiju..?? " Aaru asked

"Thik hai ab wo.. Shayad kisi wajah se uski naak band ho gyi thi.. Sans nai le payi wo.. " Aaditya said with down lashes.

"Matlab ..?? " Sumedh asked confusingly.

"Shayd kisi ne jaan lene ki koshish ki hai iski.. Shayad kisine pillow daba kar uski sans rok ne ki koshish ki.. " He said.

"Kya..?? Par hardly ek mahine ki bacchi hogi.. Aisa kisne kiya hoga..?? " Aarushi asked

"Haan.. 'Bacchi' hai.. Ladki hai.. Isiliye.. Ab aisi baatein nayi nai hai.. Aisi cases hamesha ati hai.. Pehle pehle bahot gussa ata tha.. Ab helplessness feel hota hai.. " He said with teary eyes.

"How cruel.. " Aarushi exclaimed.

"Devaki vahini ko kya ho gya..?? Wo aise achanak dar ke rone kyu lagi..?? " Sumedh asked.

"Min dekhta hoon.. Tum dono baby ke paas baitho.. " Aaditya wiped his tears.

Devaki was seating in her cabin & was crying helplessly. Aaditya looked fr her in whole cabin& found her seating under the table.

"Devaki ?? Waha kya kar rahi ho..?? " He sat beside her.

She was still crying. She saw him seating beside & hugged him.

"Aadi... " She was crying like a baby.

Aaditya hugged her back.

"Kya hua..?? Itna kyu ro rahi ho..?? " He asked in worry.

" Aadi mujhe bacchose dar lagta hai.. Chhote babies se.. Unko haat me lene se dar lagta hai.. I don't knw kya hoga mere sath future me.. " She said while crying.

Aaditya smiled.

"Koi baat nai.. Hamare baccho ko main sambhal loonga.. U don't worry about it.. " He said

She punched him on shoulder.

"Majak sujh raha hai tumhe..?? " She angrily asked.

He started laughing.

"And why the hell on this earth I am seating so close to u..?? " She pushed him away.

She stood up. He was still laughing.

"Has kyu rahe ho..?? " Devaki

"Mujhe lagta tha ki tum sach me bahot strong ho.. Kisi cheez se nai darti.. Par yeh jhoot tha.. Aur darti bhi to kisse ho..?? Babies se.. " He continued his laugh.

"Utho.. Get out of my cabin Aadi.. Get lost.. " She yelled.

"Ok ok.. Jata hoon.. " He said controlling his laughter.

Aarushi was looking towards baby.

"Kitni cute hai yeh.. Kisi ko kaise ise marne ka man kiya hoga..?? " She said.

"Ladki hai to jyada kuch nai laga hoga.. Kitni chhoti soch hoti hai yr in logoki.. I mean ladka ho ya ladki.. Kya farq padta hai..?? Mujhe koi behen nai hai iss baat ka kitna bura lagta hai mujhe pata hai..?? " Sumedh.

"Sahi hai yr.. Par ladki hui to uski jaan le lenge kya..?? Narq me bhi jagah nai milegi in logoko.. " Aarushi cursed them..

"Maine to tay kar rakha hai.. Mujhe 5 betiyaan chahiye aur sirf ek beta.." Sumedh declared

Aarushi widened her eyes & mouth.

"Pagal ho kya..?? Itne bacche..?? Family planning naam ki koi cheez hai ya nai..?  "  She asked.

" Main Aadi dada to hoon nai ki elections ladhne hai aur do se jyada bacchhe paid nai kar sakte.. Aur tum bhi Devaki Vahini nai ho.. To hum dono 6-7 bacche aaram se paida kar sakte hai.. " He said.

"Tum bahot aaram se kar sakte ho.. Main nai kar paungi..' aaram se'.. " She complained.

"Are nai nai.. Chalo thik hai 4.. Chaar to bacche chahiye hi chahiye mujhe.. " He said stubbornly.

She started laughing.

" Baad me dekhenge.. Abhi filhaal iss bacchi ka dhyan rakhe..?? " she said.

"Ok.. Par mujhe chaar bacche to chahiye hi.. " He continued his thing.

Aarushi blushed & slapped her head.

"Chup karo Sumedh.. Shut up.. "

NagtaniWhere stories live. Discover now