Part 33

322 45 13
                                    

"Mujhe lagta hai hame yeh baat abhi ke liye apne paas rakhni chahiye.. Yeh anklet bahot bada clue hai hamare liye.. " Randhir said.

"Haan... Aur yeh baat hame pata chali hai yeh agar disclose ho gya to kidnapper hai wo alert ho jayega.. " Urvashi said.

"Par miss Deshmukh.. Aap keh rahi hai ki unhe jungle me Aadivasi tribe ne kidnap kar ke rakha hai.. Aur wo alert ho jayenge.. Yeh baatein kuch alag nai hai ek dusre se..? " Minister asked.

"Haan sir.. Kyu ki unki kidnapping me sirf Adivasi logoka haat nai hai.. Koi hamari duniya ka hai jo unke sath mila hua hai.. Kyu ki sirf Adivasi logoka yeh kaam lagta hi nai.. Raat me aakar 4 logoko bina aawaj kiye le jana yeh baat Adivasi kar sakte hai.. Par wo note...?? Wo English me likhi thi.. Wo kaise kar sakte hai..?? " Urvashi raised a question.

"Sahi baat hai.. Hame yeh baat disclose nai honi deni chahiye.. Main CM sir se baat karunga iss bareme.. Aur orders doonga.. Tab tak ke liye kuch bhi mat karo.. " Minister ordered.

Randhir & Urvashi widened their mouths.

"Par sir tab tak bahot late ho jayega.. Plz.. " Randhir pleaded.

"No officer... Mere haat bandhe hue hai.. We hv to follow the procedure.. " Minister declared.

                       ************

"Aap sab yeh baat jaan lijiye ki jab tak aap khud iske virodh me kuch kahenge nai tab tak koi apki madad nai kar sakta.. " Devaki said.

"Mujhe lagta hai Devaki Tai sahi keh rahi hai.. Hum sab ko ek hona chahiye.. Tabhi hum kuch badal sakte hai.. " A teenager girl named Komal said.

"Chup ho ja Komal.. Yeh ladki kuch bhi hamare man me bhar de aur hum maan le kya..?? Yeh hame hamare bhgwaan ke khilaf jane ke liye keh rahi hai.. Aisa paap hamare haat se bilkul nai hoga.. " Komal's mother said.

"Par main apko bhgwaan ke khilaf jane ke liye nai keh rahi.. Main bas apko aap par ho rahe atyachaar ke khilaf khade rehne ke liye keh rahi hoon.." Devaki explained.

Everyone became serious. Devaki understood that & decided to take advantage of the situation.

"Yeh dekhiye.. Hamari Sarita ke haat ka yeh nishaan.. Kitni berahmi se mara hai.. Shayad... Shayad garm lohe se jalne ka nishaan hai yeh.. Kitna dard hua hoga... Yeh dard bhi Sarita chup chaap seh gyi.. Aap sab bhi sehte ho.. Yeh galat hai.. Apko samjhna chahiye.. Kisi ko bhi haq nai hai apko aise maar pit karne ka.. Aap pe haat uthane ka.. Aapko yeh nai sehna chahiye... " Devaki tried his best to explain her thinking.

"Hame bachpan se jo sikhaya hai wo sab hum mante hai.. Pati bhgwaan ka roop hai.. Aur wo jo bhi kehta hai wo ashirwaad hi hota hai.  Aur jo deta hai wo prashad.. Chahe wo yeh ghaav hi kyu na ho... Aurat ka janam hai.. Aisa hi hoga.. " Komal's mother said.

Devaki gave a helpless look to everyone.

"Main bhi to Aurat hoon.. Mera bhi pati hai.. Par meri jindagi aisi nai hai.. Aap pichle ek mahine se mujhe aur Aadi dono ko janti hai.. Maar pit to door kya kabhi apne use mujhse unchi aawaj me baat karte hue suna hai..?? Kya kabhi apne dekha hai ki wo mujhe marta hai..? Kabhi aise nishaan dekhe apne mere upar..??? Kabhi nai.. Matlab aisa ho sakta hai.. Aise bhi log hai.. " Devaki said.

Aaditya came there with Akshayaa in his hands.

"Dekho to.. Mard hoke bhi bacche ko sambhal raha hai.. " Sarita said.

"To kya hua..?? Hum dono sambhalte hai Akshayaa ko.. Uski beti hai.. Uski bhi jimmedari hai.. " Devaki said.

"Ajib hai yeh.. " Everyone said.

   
                          **********

"Hume dekhna chahiye... Jo Murti Devaki aur Aaditya ke paas hai wo kis darwaje ke liye bani hai..?? Jaroor aur koi darwaja hai jo kahi aur hai.. Kisi aur jagah khulta hai.. " Jamnabai said.

"Haan.. Ho sakta hai.. Agli baar aap chaliye na hamare sath.. " Aaru said.

"Hmm.. Agli baar main bhi aati hoon.. Jaroor uss khufiya raste me hi kuch hoga.. " Jamnabai said

"Maine suna hai ki aise khufiya raste hamare roads ke jaise ek dusre se jude hue hote hai.. Koi aur rasta bhi shayad wahi mile hame.  " Sumedh said

"Tabhi main chalungi agli baar.. Tayyar rehna tum log.. " Jamnabai said.

Aaru & Sumedh nodded. They came back home.

"Sumedh... Mujhe bahot jyada dar lagne laga hai.. Pata nai kya hoga.. " Aaru said.

Sumedh hugged her.

"Daro mat baby... Sab kuch thik hoga..hum yaha se jaroor bahar niklenge... " Sumedh assured her.

Aarushi hugged him back & smiled.

"Aur hum hamare bacche ko ek acche environment me.. Acchi life denge.. " Sumedh kissed her on forehead.

"Waise Dr. Sumedh.. Aap aaj kal bahot responsible insan jaisa behave kar rahe ho.. Baatein bhi ekdum mature karne lage ho.. Kya baat hai..? " Aarushi teased him.

"Wo kya hai na Dr Aarushi.. Meri life me mujhse chhota bhi koi aa raha hai.. Thanks to u for that.. To ab mujhe responsible insan banana padega.. " Sumedh answered.

Aarushi chuckled. Sumedh pulled her close.

"Waise iska matlab yeh bilkul nai hai ki tum chhut jaogi asani se... " Sumedh said.

"Tumhe kisne kaha ki main chutna chahti hoon..?? " Aaru whispered seductively.

Sumedh took a deep breath.

"My god... Batein bahot badal gyi hai aaj kal tumhari.. " Sumedh cocked his eyebrows.

"Tumhare sath jo reh rahi hoon.. " Aarushi answered.

"Yess... " He brushed his nose on her cheeks.

                         **********

इस आज़ादी की कभी भी शाम होने नही होंगी.
बरसो से की गई कुर्बानी हम बदनाम होने न देंगे.
जो बचाई गई हर एक गरम बूँद लहू की.
नही होने देंगे भारत माता का आँचल नीलाम हम.
यह भारत की आर्मी का वादा है.

वतन हमारा मिसाल मोहब्बत की,
तोड़ता है दीवार नफ़रत की,
मेरी खुश नसीबी, मिली ज़िंदगी इस चमन में,
भुला ना सके कोई इसकी खुशबू सातों जनम मे,

Kudos to Indian Army..
#Lots_of_respect

NagtaniWhere stories live. Discover now