Chaptar 1

1.4K 63 14
                                    

"Haya ke Sydney janay ke saray intezamat mukamal hogye hain, bus ab jaisay hi bhaijan ke ghar shadi ka function khtm hoga hamari Haya Sydney chali jaye ge." Faizan ne khana khatay hoye Naghma ko btaya tw Naghma ka chamach plate mein gir gaya, iski jaisay sans ruk gye thi.
"Kya? Kya kaha apnay? Jab apnay Haya se uski yeh khahish manay ki bat ji thi tw mujhe lga tha ke ap usse tal rhay hain, lekin ap tw."
Naghma bohot pareshan thi, akhir Haya unki akloti beti thi jisse inhone bohot nazo nakron se pala tha.
Haya filhal apnay taya ki beti Afreen ki shadi ki shopping mein masroof thi, haseen tw woh thi hi lekin uska maqsad har mehfil mein jagmagana hota tha. Woh chahti thi ke har kisi ki nazar bus ushi per peray. Naghma ko yeh bat gawara nahi thi. Woh ek deen dar aur khoof e Khuda rakhnay wali khatoon thin.
Haya apna laptop kholay kamray mein leti hoi thi jab Afreen dakhil hoi, Haya usko dekh ker muskuranay lagi.
" Yar tum ko bhi Saudi Arabia hi mila tha shadi kerke janay ke liye."
Haya ki yeh bat sunker Afreen bolti hai:"Arey! Woh kyun? "
"Kya matlab kyun? Shadi ke bad tw moqa milta hai apni marzi ki dressing kernay ka. Aur tum hokey burqha pehenay ko tyaar ho."
"Mujhe tw koi problem nahi hai."
"Mujhe tw yeh patla sa dupata bhi galay mein phanda lagta hai.
"Haya! Kuch tw apnay nam ka lihaaz kero yar."
"Arey acha yad dilaya btao zara Haya bhi koi nam hai, bus ek baar mein Sydney chali jaon paka yeh nam change kerlon ge."
"Chachi sunna Haya kya bol rhi hai."
Haya dar ker peche murti hai:"Nahi ami woh mein.."
Wahan dor dor tak koi nahi khara hota. Haya ghusse mein Afreen ko takya utha ker marti hai.
Afreen hanstay hoye bolti hai:"Arey baba naraz na ho, jarhi ho na Sydney chala lena apni marzi."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now