Chapter 30

255 26 2
                                    

"Tum kyun mujhe force kerti ho ke mein tumharay sath zabardasti keron?" Khizar ne Haya ko wapas kamray mein lejatay hoye bola.
"Mein khud chal sakti hon. Tumhe mujhe dhaka deni ki koi zarorat nahi hai."
"Tum yahan betho aur khana khatam kero. Aur aisa kerna raat ko tayar rehna hum dono bahar chalain gay."
"Kyun? Hathkari hai kya tumharay pass?"
"Nahi mujhe pata hai ke tum nahi bhago ge. Agar bhag bhi gaye tw kahan jao ge. Police ke pass jao ge tw woh tumhe waisay gi giraftar kerlein gay. Koi prove tw hai nhi tumharay pass ke tum yahan illegal tareqe se nhi ayi."
"Tumhe yeh sab bohot mehnga pernay wala hai."
"Achi bat hai."
"Mein tumhe choron ge nahi. Aur agar mere hathon bach bhi gaye na tw tumharay apnay amaal tumhe zinda nhi chorain gay."
Haya ke yeh bat Khizar ko bullet ki tarha lagi thi. Khizar ne wapas Haya ko lock kiya aur wahan se chala gaya.
Khizar ne wapas Hiraa ko call milayi, "Hello Hira!  Yar mein Haya ko yahan se janay de raha hon. Us larki ki bhi apni koi family hai, woh pareshan horhi hoge uske liye."
"Khizar tumhe unki parwah kernay ki koi zarorat nahi hai.".
"Hira mein bohot guilty feel ker raha hon yar."
"Acha tum paresshan na ho, aisa kero ke Haya ki unse bat kerado. Lekin usse phele samjha dena ke woh apnay parents ke samnay kuch bolay nahi."
Thori dair bad Khizar Haya ka phone leker unke kamray mein gaya.
"Suno. Tum apnay parents se bat kerlo. Lekin ek bat ka deehan rakhana..."
"Kisi se kuch nhi bolon ge. Waisay bhi 7 samandar par unhe kyun parehsan keron."
Khizar wahin khara raha jab Haya ne apne abbu ko call milayi.
"Hello Haya beta tum kahan thi, hum kabse call try ker rahay hain."
"Woh abbu mere phone mein kuch problem chal rahi hai. Aur yeh ke abhi mujhe sahi keranay ka time bhi nhi mila raha. Kuch din problem rhay ge hi."
"Acha yeh btao ke tum kaisi ho?"
"Abbu mein theek hon. Acha mein apse bat mein bat keron ge aap ammi ko meri khairiat btadega ga. Aur ammi kaisi hain?"
"Beta tumhari ammi bilkul theek hain aur haan mein unhe btadon ga. Khuda Hafiz."
Khizar phone leker wapas janay laga.
"Thanks."
"Kuch kaha tumne? Sorry mein zara ooncha sunta hon."
"Bohot bohot shukriya apka."
"Chalo issi bat per mein tumharay liye icecream le ker ata hon."

Haya Ka RastaWhere stories live. Discover now