Chapter 45

6.6K 430 74
                                    

*Aslesha*



Beep beep.. beep beep.. beep beep.

My annoying alarm starts buzzing and I curse under my breath as I drowsily wake up and turn it off.

Wait what the hell.

Ye mera room nahi hai!

For a moment I panic but then my sleepy haze clears away.

Bangalore.

Mai abhi apne hotel room me hu aur aaj competition hai. I groan and rub my forehead. Aaj kal sarr bahot dukhne laga hai.

The competition is in the afternoon and the venue is not very far from here. All the hotel and travel expenses were provided by the college. Isliye mai kisi aur ko laa nahi paayi.

Sab log bahot zidd kar rahe the passes ke liye but outsiders allowed nahi the. Just the performers.

And so, for the very first time in my life, I traveled alone. Itne dur tak. This is a big achievement.

Issi baat pe aaj mujhe khud ko extra butter wale parathe kha ke treat karna chahiye.

Waise kal maine extra cheese wale pizza se treat kiya tha khud ko issi achievement ke liye but as long as college paise bhar raha hai, kya tension hai.

Free ka khana kabhi chhodna nahi chahiye.

I brush my teeth and take a really long shower thinking about Viraj.

Vo dumb ass kal mujhe jaane hi nahi de raha tha. Final announcement tak rukaa ke rakha airport pe. Hugs kar ke mann nahi bhar raha tha, na hi kiss kar ke. Waise mera bhi vohi haal tha.

Also maine finally decide kar liya hai ke mai usse I love you kehne wali hu. Jo hoga dekha jaayega. Accept kiya toh thik aur darr ke bhaag gaya toh bhi thik. Actually darr ke bhaag gaya toh mai uske peeche danda leke bhaagungi.

Bahot ho gaya pyaar se darna warna. Pyaar hi toh hai. Shark thodi. Vo ladka toh aisa hai ke shark ko face kar lega but pyaar ko nahi.

I smile at that thought.

After getting out of the shower I waste no time in ordering food and decide to call papa.

"Hello Aashu. Sab thik toh hai na?" He says as soon as he answers and I roll my eyes.

"Ha papa. Bass aise hi call ki thi. Aap nikle office ke liye?" I ask.

"Ha"

"Naashta kar liya?"

"Ha"

"Canteen se Chinese vagera mat khana. Aapko acidity ho jaati hai fir" I say.

"Arre meri maa. Meri beti ho ke kya ho tum" he chuckles and I start laughing.

"Ye sab mujhe bolna chahiye tumhe" he says.

"Aap meri tension mat lo papa" I say.

"Achha thik hai. Competition ke liye all the best" he says.

"Thank you" I say.

"Toh mai ab office pahoch gaya hu. Karte hai baad me baat. Call karna mujhe competition ke time. Flight ka schedule change hua toh bhi call karna ok? Mai tumhe lene aa raha hu, akele mat aa jaana".

"Ok. I'll call you" I promise him.

"Chalo bye. Love you Aashu"

"I love you more" I say and hang up.

I sigh and scroll through the contact list and see the name 'dummy'. Pehle sirf dummy kar ke naam save tha lekin ab side me heart ka emoji bhi aa gaya hai.

Clean BowledΌπου ζουν οι ιστορίες. Ανακάλυψε τώρα