Aalmi Yoam Khawateen

84 3 0
                                    

"International women's day"

"Orat ko azaad karo
Orat par zulm band Karo
Orat ko insaaf do"

Aik orat loudspeaker meh poori qowat sy chilla rahi thi

"We want freedom"

Pant ky sath short shirt pehny be parda or makeup sy atty chahero'n ky sath sarko'n par dandanati howi khawateen ko dekh kar dil chaha ky in sy pochon ky " or kitni azaadi chahiye??"

Ye humary Islami mulk ki khwateen hain jo maghrib ki roshan khayali ky changal meh phasni haqooq e niswa'n ky naary lagaati Alami Yoam Khawateen mana rhi hain.

Islam sy qabal orat ka kiya maqam tha ussy pao'n ki jooti samjhna to door ki baat wo loog uska wajood Tak bardasht nhi karty thy.

Larki sy nafrat is qadar thi ky ussy paalne ki byaje ussy zinda dafan karna pasand karty thy,
Islam ny orat ko wo izat wo maqam diya diya jo door e jahalat sy le kar majooda jadeed door mein koi bhi na de saka,
Us door mein jahan orat ka wajood jillat ka bais tha ussi door"دور" mein Nabi Kareem SAW ne beti ko rehmat qarar diya,

Uski achi parwarish karny wale maa baap ko jannat ki basharat khud di , Nabi Muhammad SAW ny khud apni betion sy mohabat or shafqat sy ye zahir kar diya ky Islam un jahalat ky asoloo'n ky sakht khilaaf hai jis meh orat ko haqeer samjha jaye , phir ussy jaidaad mein hissa dilwa kar ye bawar kar diya ky orat ka apny baap , bhai wagera ky pesoo'n par poora huq hai .

ALLAH ky Nabi SAW jang par jaane wale mujaahideen ke lashkar ko alvidaa kehte howy ye nasihat zaror karte " orto'n or bachon par hath mat uthana"

Islam ne orat ko zameen se utha kar ghar ki malka bana diya, maghrib ussy roshan khayali ky changal mein phasa kar ussy ghar sy ghaseet kar phir darbadar karna chahta hai,
Haqooq e niswa'n ky khokhle naare laga kar mardoo'n ky khilaaf be bunyad or be maqsad jang meh dhakel raha hai,
Pakistani orat ko mazloom or bechari zahir karny ky liye lakhoo'n rupea kharch kar raha hai .

Sharmeen Obaid Chinoy ne 2012 mein " saving face " nami film bnayi jo un mazloom ortoo'n ke halaat e zindagi par mabni thi ,
Kin par un ky khawand teejab phenkty thy,
Is film ky badoolat Muslim moashara duniya bhar mein behad roswa howa or sharmeen sahiba ko filmi duniya meh Sab se badhe oscar award sy nawaza gaya.

Maghrib jo itni door Pakistani ortoo'n ko haqooq dilwane ke liye mehnat kar raha hai iska matlab ye hargiz nhi ky wo pakistani ortoo'n ka humdard hai, balky wo ye Sab Islam sy dushmani ki bina par kar raha hai wo baqaida planing ke tehat ortoo'n ke zehnoo'n mein mardoo'n ke khilaf fitoor bhar kar ussy mazloom or bechari zahir kar ke be parda or be haya bana raha hai.

Pakistani ortoo'n ke dukh mein pareeshan America ko chaiye ky apny mulk ki un betiyo'n ke liye kuch kary jo nashy meh dhat sari sari raat sarkoo'n ke kinare madhosh padhi rehti hain ,
Jahan rishto'n ka koi taqadus nhi , baap ky hatoo beeti mehfooz nhi or beety ki nazar meh maa or girlfriend ky rishty meh koi farq Nahi ,

Mukhtaran mai waly case mein barh charh kar hissa leny waly ortoo'n ke humdard America me kya Mukhtaran maio'n ki kami hai?
Jinka maal wa jaan or izat apne sage rishton ky hatoo'n mein bhi mehfooz Nahi .

Pakistan mein Malala par lagi goli tumhe nazar agyi or apne ghar mein qaid howi Aafia nazar nhi aati??
Malala wale case ko ochal kar talbaan ki aarh mein jihaad or mujahideen ko duniya bhar mein badnaam kiya gaya .

Malala ko bachane doore chale aye or jo Palestine or Iraq mein lakho'n ortee'n tumhari sangdili or drindagi ka shikar hoti hain,
Unky liye kuch nahi karo ge??

Wo bhi Malala ki trah musalman hain ....
Pakistani Awaam ko bhekany ke liye Tumne malala ko award diya , Aafia jo itny saloo'n sy tumhare mazalim ke saamne diwaar ban kar khari hai uski jurat tumhy mutasir nhi krti??

Sirf Pakistani Orto'n ky liye America ky dil meh is qadar naram gosha hai , kabhi Malala ky liye pareshan hota hai to kabhi Mukhtaraan mai ky liye....
Kisi ko bulaa kar award de raha hai to ksi ko apne pas rehayish de raha hai ....

Sawal ye hai Ky agar Sharmeen obaid" Aafia " ki jurat or usky halaat e zindagi par film bnaye to kya America ussy oscar award de ga?

Pakistan mein orat qaid nhi hai ,
Na hi un par be baja zulm hota hai ,
Har orat be sahara nhi hoti har orat ke chehry par tezaab nhi phinka jata , Pakistan meh rehna or wala har mard zalim nhi hai .

Aisi ortoon ky liye Islam meh reham koi gunjayish Nahi hai ,
Humary mulk mein jo orat ALLAH ki qaaim karda hadood mein reh kar islami asoloon ke mutabik zindagi basar kar rahi hai wo humary muashery ki kamiyab tareen orat hai ,

Humary mulk meh orteen har chobe "شعبے mein majood hain
,kahin burqa mein kahri teacher or kahin niqab mein operation karti doctor ke roop mein kiun ky Islam na to orat ko ghar meh qaid karny ka hukam deta hai or na usky haqooq ghasb karta hai balky jitni azaadi or haqooq Islam ne orat ko diye hain itny haqooq kisi dosry mazhab ne nhi diye .

Ye theek hai humare muashry "society " mein kuch manfi "negative " pehlo bhi hain likan hum apni burayon ko duniya ky saamny khud peash karty hain,
Humara media bejli sy le kar gattar ka dhakan na hone Tak ki khabar deta hai , you'n sari duniya humari choti choti kamzorio'n sy waaqif hai .

Dosry mamalik mein bhi bhut z manfi pehlo majood hain magar wo media par koi khabar nahi aany dety , America mein is qadar ghurbat hai Ky choty choty bachy gariyo'n ky tire chori kar rahe hain, wahan 50,000 salana qatal ho rahy hain magar kisi ko khabar nhi ....

Bharat mein ortoon ke sath is qadar ziyadti hori hai , basoo'n mein ,sarkoo'n par rah chalti orat ki izat louti jaa rahi hai , Singapore or Dubai meh media ko ijazat nhi ky wo apne mulk ki koi buri khabar paish kary.

Duniya ka har mulk apni khrabian duniya ky samny btany ki bjaye us khrabi ko khtam karny ki koshish karta hai or hum lakhoo'n pessy laga kar apne muashry ki buraiyon par paqaida films bana kar duniya ko entertain karty hain or btaty hain hum kis qadar zaalim hain...

Halanka Ba hasiyat Pakistani humara farz banta hai Ky hum apni khrabion ko door karein

Mazloom ortoon par film bana kar orat ke naam badhy badhy adaary bana kar pessa kama rahy hain hain

Is sab mein mazloom ortoon ko to koi faida nhi ho raha
Agar hum waqai in ortoon ky liye apne dil mein dard mehsos karty hain to humein chaiye wahan talimi adaary khulwain taky un logo'n mein shaor paida ho or is trah duniya ko bhi Pata chaly ga Pakistani awaam apni khrabio'n ko theek karny ka honar bhi janty hain or dukh , tangi pareshani har qisam ky halat mein aik dosre ky sath hain .

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 07, 2018 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

"Sweet diary "Where stories live. Discover now